AJAB TAMAASHA

by asma zehra on March 05, 2009, 08:34:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1027 times)
asma zehra
Guest

Khudaa ne banaai thi jannat mohabbat ki khaak se
Aadam khudaa banne chalaa duniyaa banaa diya

Na suraj banaa sakaa na chaandni hi bani
Hasraton ki chingaari se aashiyaana jalaa diya

Oonche pahaadon se bhi ooncha takabbur ka darakth
Har shaakh par gam ka ek patta latkaa diya

Pyaas bujhi na phir bhi jab aansuon ke chashme se
Khoon ki nadiyaan bahaa di, rishton mein zeher milaa diya

Ab yeh aalam hai Zehra ka, saaye se dar lagta hai
Maati ke putle ne dekho kya ajab tamaashaa dikhaa diya…..kya ajab tamaashaa dikhaa diya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ajab Shaam.....! by lovebites in Shayri for Khumar -e- Ishq
ajab see tees by sachin nagar in Shayri for Khumar -e- Ishq
ajab say din hain by faiiz_76 in Shayri-E-Dard
***zindgi ka ajab itifaq hai*** by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
AJAB kahaani~~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 05, 2009, 01:44:20 PM »
Bohot khoob likha hai aapne Asma Ji Applause Applause ...Keep writing!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 05, 2009, 01:47:52 PM »
Waah Kya Khoob Salma Zehra Ji, Mashallah, Kya Mayne Hain Aapki Shayari Ke, Bohat Achche,.
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #3 on: March 05, 2009, 08:10:25 PM »
wah nice feelings zehra ji kiya baat hay ,isi treh likhti rahiyay
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: March 05, 2009, 09:23:40 PM »
Teri baat tera lehza tera bayaan samaj nahi aaya
Khuda banna chaha aadam ne, yeh tujhe kisne bataya

-SG-
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: April 14, 2009, 06:10:34 AM »

Khudaa ne banaai thi jannat mohabbat ki khaak se
Aadam khudaa banne chalaa duniyaa banaa diya



Na suraj banaa sakaa na chaandni hi bani
Hasraton ki chingaari se aashiyaana jalaa diya

Oonche pahaadon se bhi ooncha takabbur ka darakth
Har shaakh par gam ka ek patta latkaa diya

Pyaas bujhi na phir bhi jab aansuon ke chashme se
Khoon ki nadiyaan bahaa di, rishton mein zeher milaa diya

Ab yeh aalam hai Zehra ka, saaye se dar lagta hai
Maati ke putle ne dekho kya ajab tamaashaa dikhaa diya…..kya ajab tamaashaa dikhaa diya.


Jee Zehra..aap k awaal sher K Ma'ni B'zahir Kya Hote Hai Inkishaf ho..? Baraa e Qaram Tawajjoh Farmayein aap.
Adam Aur B'ni Aadam...Ard o Sama Ka Farq Waake'a Hai
Jaisa k Khuda Aur Gaiyr e Khuda....

Aur Baqiya ash'aar Aur Saare Lafz badi Shaguftgi K saath Aapne Likhe Hai..
Aur Aakhri ash'aar K Maati K Putle..Kya Lafz Hai..waah..ki Maati K Putle Tuze Kitna Ghumaan Hai..
 
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:24:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer