kuch ajeeb se rishtey ye dil bana leta hai
kuch ajnabi chehron se armaan jaga leta hai
lagte hai sab bhale se is dil ko
ye nadaan bhi kaise kaise swang racha leta hai
in rishto k wajood kabhi dhoond na sakenge hum
yeh to pani k bulbulo hai ubharte hi hawa ho jate hai
is dil e nadaan ko numaish ki aadat hai
har waqt mere dard ka bazaar laga leta hai
ek rishta hi to hai zameen aur asmaan ka
jab tarsate hai dono to barish aa jati hai
kuch aisa hi manzaar hai is dil ka bhi
jab yaad aati hai rishto ki to aankh bhar aati hai Kya baat hai Rishton ki baat Nittu bhai ke saath....ab ayega maza
Yeh kya hua Tujhe tyu kyu aisi baatein karta hai......
Shayad karta hai pyar kisi se uske liye pal pal tadapta hai......
Hai yeh galiaan Dard ki phir tu kyu Ashiq bana phirta hai......
Jaa chor de yeh Rishtey yahan Insaan khushion ko tadapta hai......
Naam toh bata jisne bhi tujhe paagal kia hai......
Kon hai woh jisne tujhe itna gehra Dard dia hai.........!!!!!!!!!mazza toh zaroor aaega gaurav, bas aap yunhi likhte rahiyega
bas aise hi dil aaj kuch udaas sa hai
malaal to dil mein chubi ek baat ka hai
socha tha in rishto se bahut dur apni duniya banaunga
ek baar jo manzil chod gaya to phir na wapas aaunga
fir bhi iss dil ne kal raat ek dard bhari fariyaad suni
meri na maana yeh aur isne wahi raah chuni
ab phir se savera hua hai raat k baad
mujhe yaad aa raha hai koi har baat k baad
teri dosti me ek dilnashin dildaar ki jhalak dekhi hai
yaad aa gaya woh manzar jahan rishto ki kabr dekhi hai
bas aaj rishto par mera vishwas uthta jaa raha hai
koi rok lo aaj phir ek insaan rishto par kurban hone ja raha hai