ajeeb ajeeb rishtey

by phoenix on June 10, 2006, 06:38:18 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
Print
Author  (Read 21466 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #105 on: July 18, 2006, 07:55:00 AM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob bahi ....

yeh rishta dil ka kuch yun nibha diya
apne daaman ko khud hamne jala liya

ki har kadam per hamne unse wafa
fir bhi apne dil tutane ka ilzaam unhone hum per laga diya


Shukriya Ranjana Sis,..

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
Ye pal hai ajeeb sa .........!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Zindagi morr ajeeb ajeeb leti hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #106 on: July 20, 2006, 01:26:12 AM »
shukriya Azeem bhai,
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #107 on: July 20, 2006, 12:21:56 PM »
Ur Welcome Ranjana Sis,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #108 on: July 21, 2006, 06:28:27 PM »
jab sochkar hi aaye thi ki tabah kar k jaana hai
toh aaj fir kis baat ka gum mana rahe ho

mein bhi wahi hun tum bhi wahi ho
fir aaj kiski maut ka mataam mana rahe ho

kyun dard ki numaindagi karte ho
jab dard ki dukaan jaante ho

kyun aashiqo.n ka imtihaan lete ho
jab is dard ka mukaam jaante ho

kyun aaj bhi mujhe ek khayal kehte ho
jab tum mera naam jaante ho

kyun mujhe badnaam karte ho
jab meri bewafai ka sabab jaante ho

na ho sakegi mohabbat ab kisi se
jaante ho fir bhi mujhe badnaam karna chahte ho
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #109 on: July 21, 2006, 06:57:26 PM »
Quote
kyun mujhe badnaam karte ho
jab meri bewafai ka sabab jaante ho

na ho sakegi mohabbat ab kisi se
jaante ho fir bhi mujhe badnaam karna chahte ho


Gud lines Nittu

Nahi tha Asaan woh Badnaami ke Manzar dekh pana.....
Dekhe bhi toh kya Namumkin tha uss Manzar se ubhar kar wapis Insaan bann pana......

Kya kahun ise Dil ki lagi ya Mahobbat ka Jadu kahein.....
Ya Khuda bas isi Kadar yeh meetha Dard me lahoo me Tah-Umr bahe.....

Dekhna kabhi Musafir Badnaam hone me bhi ek Maza hai......
JO hona hoga nahi rok payega tu Kamjor Insaan yeh sab Khuda ki raza hai.......!!!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #110 on: July 21, 2006, 07:23:49 PM »
badnaam to ho chuke hain zindagi k safar mein
bas chahte hain kuch naam kar jaaen

no ho koi aur mere baad bhi badnaam
jeete jeete kuch aisa kaam kar jaaen.n
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #111 on: July 24, 2006, 10:13:02 AM »
Bahoot Khoob Pheonix And Gaurav bhai,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #112 on: July 24, 2006, 06:37:05 PM »
thnx azeem bhai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #113 on: July 26, 2006, 05:52:13 AM »
riwazon ki bandagi karte karte hum ek saza ho gaye
na mila khuda na mili manzil aur karwan se bhi juda ho gaye

wo manzil hume aaj bhi talashti rahi
aur ek hum the jo raasto.n ko koste rahe

bas yun hi basar ho gayi sham e tanhai aaj bhi
ek deepak tha jalta hua aur hum bhi jalkar in aandhero mein raakh ho gaye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #114 on: July 26, 2006, 12:45:52 PM »
Quote from: "phoenix"
thnx azeem bhai


Ur Welcome Bhai And Nice One,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #115 on: July 27, 2006, 04:52:59 AM »
kuch lehro.n ko kinara kabhi haasil nahi hota
ho jati hai subah par sapna kabhi gawara nahi hota
bikhar jati hain ladiyan kuch is tarah zindagi mein
jab hoti hain raatein toh khwabon k bina guzara nahi hota
Logged
ranjana
Guest
«Reply #116 on: July 27, 2006, 05:07:43 AM »
lehro.n ko kinaare bhi milte hain
andheri raat ke baad ujiyaare bhi khilte hain
jab zindagi ki ladai mein ho vishwas ki taqat
toh fir zindagi mein sabhi rishte asaani se nibhate hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #117 on: July 28, 2006, 02:48:34 PM »
bahoot Khoob Ranjana And Phenix Kamaal Ka Likh rahe Ho L;age raho,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #118 on: August 03, 2006, 07:05:13 PM »
saagar ki kokh mein ja k dekh liya
maut se rubaro ho k dekh liya
ye dil toh bechain tha aur bechain rahega
humne aag ko bhi dil se laga kar dekh liya

ek bewafa ko dil mein basa k dekh liya
khud ka mazaak bana k dekh liya
apne aks ko bhi rula k dekh liya
aey dil ab tu hi jatan bata de
humne sab kuch aazma k dekh liya

baazar mein khud ko bikwa k dekh liya
saanso mein zehar mila k dekh liya
khoon ko apne sukha k dekh liya
wo khuda bhi ro hi pada
jab khanjar se lakeeron ko bana k dekh liya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #119 on: August 04, 2006, 04:07:59 AM »
shukriya Azeem bhai .....

wafa ke kisse ho ya rishto ki baate
ab nahi milte hain kisi bhi duniya ke bazaar mein yeh baate
tod ke chal dete hain sab dil har kisi ka
ab labo per tharati nahi hai muskarahte

dete hain wahi zakam dil ki log aksar
jin se ki kabhi hamne apne dil ki baate
jahan mein chaha thaa bas ek baar kisi ko
unke dard bhi na hua kabhi hamara dil dukhaate

dekha hai sab ko yun gair bante hue
koi toh hota jo hame do chaar pal ke liye hi apna baante
tham ke rah gayi ab har raha meri wahi ki wahi
jaha se unhone hame chhoora thaa manzilo per laate laate
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:34:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer