ajeeb ajeeb rishtey

by phoenix on June 10, 2006, 06:38:18 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Author  (Read 21288 times)
phoenix
Guest
«Reply #30 on: June 16, 2006, 06:43:18 PM »
thanx bro
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
Ye pal hai ajeeb sa .........!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Zindagi morr ajeeb ajeeb leti hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #31 on: June 17, 2006, 07:33:45 AM »
Quote from: "phoenix"
aaj in rahoon par yaado.n ka gubar sa utha hai
mein bhi hun pareshan bahut dil me ek armaan sa utha hai
aaj barasne do panni ko taki yeh gubar baith jaaye
bahut jaal raha hai mann mera kuch to aaram isko mil jaaye


very nice..........

jab nikale ham mohabbat ke safar per
toh manzil ka nishaan bhi mil gaya
dekha jo unki jindagi ki kitaab mein
toh wahan apna naam bhi likha mil gaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #32 on: June 17, 2006, 08:08:10 AM »
Nice One Phoenix,..

Rishton Ki Ehmiyat Poocho Unse,..
Jise Har Pal Gairon Ki Thokar Khaai Hai,..

___________________________-Jaanasheen-
Logged
dg_getme
Guest
«Reply #33 on: June 17, 2006, 09:30:02 AM »
:D  :D  :D  :D  :D
Logged
phoenix
Guest
«Reply #34 on: June 17, 2006, 07:25:01 PM »
patto.n mein aaj sugbugahat si hui hai
aane jane ki kuch aahat si hui hai

kahin tum to nahi the mere baageche mein
ya fir wo khoshboo kisi phool se aati si hui hai

raat ke saanate me kuch kehna chahta hai ye kamra
aaj fir isme tere aane ki kuch chahat si hui hai

ab bhala kaun samjhega is makaan ko ki
ye jo kabhi ghar tha wahan rishto se ab ruswai si hui hai
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #35 on: June 17, 2006, 07:30:54 PM »
hhhmmmmm....Phonu baba Dard me IShq chaa raha hai....bahut acche

Aye mere dard tu itna bhala kyu hai......
Aati hai jab yaad unki tab tu rota kyu hai.....

Kyu cheekhta hai Tanhai ke aalam me.....
Dekh ke unhe tu Zakhmo ki tarah khil jata kyu hai.......!!!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #36 on: June 17, 2006, 07:33:48 PM »
bahut aache gaurav
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #37 on: June 17, 2006, 08:08:05 PM »
phonu aur gaurav miyan bohat khoob.....maza agaya...yaar
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: June 18, 2006, 02:58:10 AM »
bahut hi sunder likha hai Nitiesh...Gaurav.......fiza kuch badali badali si hai :wink: ........hum bhi ek koshish karte hain........ Usual Smile

yeh sawan aaj ghir ke kahan se aagaya
rishto mein ek  nayapan sa chhaa gaya
dil mera thaa ek veeran sehara ki tarah
aaj yahan kaun aake meethe rishto ke phool khila gaya
ek aas fir se jaag uthi hai dil mein jeene ki
dard mein aaj koi ishq mil gaya......
"Maakan' thaa mere dil ka ghaoranda
aaj yeh rishta fir se dil ko Ghar bana gaya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #39 on: June 18, 2006, 10:24:07 AM »
Nice One Gaurav Bhai, Ranjana Sis, And Phoenix,..
Lage Raho,..

Abaad Rahe Khushion Se Har Pal Tera Ashiaana,..
Kabhi Naa Chaaye Tujhpar Gham Ka Zamaana,..

Ter Dum Se Sajti Rahi Hai Mehfilein Jaanasheen,..
Kabhi Paao Khushiaan To Hume Na Bhool Jaana,..

Maana Hai Maine Tujhe Zindagi Se Bhi Bardkar,..
Ke Tere Hi Dum Se Hai Abaad Apna Veeraana,..

________________-Azeem-________________
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #40 on: June 18, 2006, 10:27:53 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
hhhmmmmm....Phonu baba Dard me IShq chaa raha hai....bahut acche

Aye mere dard tu itna bhala kyu hai......
Aati hai jab yaad unki tab tu rota kyu hai.....

Kyu cheekhta hai Tanhai ke aalam me.....
Dekh ke unhe tu Zakhmo ki tarah khil jata kyu hai.......!!!!!!!!!!


wah kaya shabd hai, kaya zazbaat hai.... bahoot khoob BS JI
Logged
phoenix
Guest
«Reply #41 on: June 18, 2006, 11:11:22 AM »
rishto ki ehmiyat samjhai nahi jati
ye woh dhun hai jo har waqt gungunai nahi jati

ye sath rahengi zindagi bhar
koi parchai nahi hai jo aandhero me nahi aati
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: June 19, 2006, 02:27:48 AM »
hum apni jindagi kab hain jeeye
bas sabki khatir dafan apne jajbaat kiye
bandhe rahe na jaane kin -kin rishto se hum
aur na jaane kitne aansu chupchaap peeye
jin ke liye mangi hamne din raat duae
aur sab jagah jaa ke sadke kiye
karte rahe wahi hamhari jindagi taar-taar
yeh kaise they rishte jo hamne jeeye
Logged
phoenix
Guest
«Reply #43 on: June 19, 2006, 05:21:56 PM »
ghadi ki tik tik aaj mujhe ehsaas kara rahi hai
har lamha zindagi thamti ja rahi hai

har rishto ki kabr se aawaazen aa rahi hai
har lamha zindagi thamti ja rahi hai

use pane ki bechaini kyun badti ja rahi hai
har lamha zindagi thamti ja rahi hai

kyun mujhe ehsaas ho raha hai maut ka har pal
aur kyun ye zindagi bewafa hoti ja rahi hai

kya kasoor tha mera iske siwa ki wafa kar baitha
uski itni badi saza di ja rahi hai
har lamha zindagi thamti ja rahi hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #44 on: June 19, 2006, 05:48:37 PM »
very nice Phoenix...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:43:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer