phoenix
Guest
|
«Reply #45 on: June 19, 2006, 09:12:34 PM » |
|
thnx nikki ji
ye raahein hain meri aanthin khoj ki yahan sirf musibaaton ki dhool hai yahan sirf mushkilo ki aandhiyan hai
har disha mujhe ek aanjani raah par le jati hai har taraf samandar hi samandar hai har taraf khai hi khai hai
maine khudko rishto.n k chakrvuyh me paya hai par mein arjun nahi hun mujhe meri raahein khud khojni hain
inn rishto ki ehmiyaat ab samajh aane lagi hai thandi si ek sard hawa se meri rooh kapkapane lagi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #46 on: June 20, 2006, 02:44:06 AM » |
|
toooo good Nitiesh.........bahut hi sundar likha hai..
koi rishta aisa bhi hota hai jo dilo se jud jata hai kyu hota hai jab koi rishta sab rishto se upar ho jata hai kyu koi anjaan raahi hamari jindagi se jud kar sab dukh le jaata hai rehta hai woh khud dukh ki chhawan mein ,per hame har pal hansata hai uske pyaar ,uski chahat ke aage sirr mera natmastak ho jaata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #47 on: June 20, 2006, 04:52:10 AM » |
|
hhhmmmmm....Phonu baba Dard me IShq chaa raha hai....bahut acche
Aye mere dard tu itna bhala kyu hai...... Aati hai jab yaad unki tab tu rota kyu hai.....
Kyu cheekhta hai Tanhai ke aalam me..... Dekh ke unhe tu Zakhmo ki tarah khil jata kyu hai.......!!!!!!!!!! wah kaya shabd hai, kaya zazbaat hai.... bahoot khoob BS JI Thnx Pankhuri....... koi rishta aisa bhi hota hai jo dilo se jud jata hai kyu hota hai jab koi rishta sab rishto se upar ho jata hai kyu koi anjaan raahi hamari jindagi se jud kar sab dukh le jaata hai rehta hai woh khud dukh ki chhawan mein ,per hame har pal hansata hai uske pyaar ,uski chahat ke aage sirr mera natmastak ho jaata hai Brilliant Job Ranju Tere dard me hum jindagi jee jayenge...... Kabhi jo nikle Ashq tere toh hum khuda se mukar jayenge......!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #48 on: June 20, 2006, 07:23:22 AM » |
|
Bahoot ACHA Likha Hai app Sabne,.. Gaurav Bhai Ranjana Sis Pheonix And Pankhuri Ji,...
Lage Raho,..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #49 on: June 20, 2006, 03:03:14 PM » |
|
shukriya Azeem bhai .........aap bina likhe kaise chale gaya..........
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #50 on: June 20, 2006, 06:15:14 PM » |
|
rishto me daararen dikhne lagi hain gili lakdiyaan bhi ab sulgne lagi hain
rehte hain hum bhi mitti k gharoondo mein ye baat baadlon me hone lagi hai
maana tha jinhone kabhi humko dost apna mera khuda aaj rishto me ganth padne lagi hai
chali padi hain hawaen zor se dosto ek chingaari si is rishte me jalne lagi hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anjani_si
Guest
|
|
«Reply #51 on: June 21, 2006, 02:45:40 AM » |
|
rishtoon ki dorrh tootne laghi hai deewaarein bikharne laghi hain uski bhonyaad hil rahi hai chaath dagmagane laghi hai ye ghar aik makhan laghne lagha hai itne bebaas hum hain ke rishte toot rahe hain, ye dekh rahe hain
phonu babu......amazing yaar :D:D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #52 on: June 21, 2006, 03:13:19 AM » |
|
very nice Nitiesh and Anjani ...................
raat bhar ek khawab ka silasila chalta raha mera dil tujhse ek naya rishta bunta raha
tutate khwabo ke jhrokhe se kai baar dekha tujhe ek dard thaa saath na hone ka jo dil mein palata raha
karwate badal badal kar bitate rahe ham har raat koi apne bistar per chein ki neend sota raha
kiye they jo wada a wafa saath nibhane ke unhone wahi wada raat ki tanhai mein hame ek dilasa sa deta raha
subeh hote hi jab dekha aaeina hamne toh mera akas raat bhar ke dard ki dastaan kehta raha
yeh rishta hai dil se dil ka shayad woh nahi jaante unko paane ki chaha mein dil yeh jindagi bhar sulagata raha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #53 on: June 21, 2006, 12:04:08 PM » |
|
thanx anjani and ranjana ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #54 on: June 21, 2006, 06:21:29 PM » |
|
kabhi kabhi zindagi mein saanse kam pad jati hain kabhi kabhi jeene ki umeede tham jati hain
kabhi hota hai dosto se guzara is dil ka aur kabhi kabhi dushmano ki dua kam pad jati hai
kaun chahta hai aapne logo se dur hona yahan par kabhi kabhi haatho ki lakeeren kam pad jaati hain
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #55 on: June 22, 2006, 01:17:53 AM » |
|
duniya mein sacha dost bahut mushkil se milta hai yeh kache dhage sa hai rishta jo dil se judta hai
khareed sakate hain aap doulat se sab kuch per sache dost ka pyaar sirf dil dene se hi milta hai
apne pyaar se aap jhuka sakate hain aasman dosti hai woh jajaba jisme khuda ka nur basata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #56 on: June 22, 2006, 06:07:59 PM » |
|
kya rishto ka tutna meri galti thi kya duriyon ka badna meri galti thi hum toh yun hi rote rahe zindagi bhar kya tumhara rote hue chale jana bhi meri galti thi
mana ki badnaseebi hum likhwa kar aaye hain par kya teri lakeeron ka wahi anjaam aana meri galti thi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #57 on: June 23, 2006, 01:54:04 AM » |
|
tum kyu garo ki tarah mujhse milte ho aankhe chura chura ke kyu baat karte ho kya hai tere dil mein yeh kash jaan paati ek rishta thaa jo dil ka woh toh nibha jaati per tum toh chal diye hame beech raha chor ke hum khade hain aaj bhi wahi rishto ki dor pakad ke
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #58 on: June 25, 2006, 10:04:24 AM » |
|
aaenge bahut samjhane wale aaj humein par unhe hum tanha kar denge teri galiyon mein aaj tujhko hi ruswa kar denge
mat rokna mujhe tum aawaza de kar hum wo parinde hain jo apni udaan se iss aasman ko tinka kar denge
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #59 on: June 26, 2006, 02:41:04 AM » |
|
raat ho ya din ho .ek thand si jam gayi hai rishto mein woh ab kisi bhi tarah pighalayi nahi jaati........
unchi si in imaarato mein hain andhare bahut yahan ab rishto ki dhup nahi jaati
jab se shuru hue hain neecha dikahne ke dour dil mein bas ek dusare ko dekh kar jalan nahi jaati
sab talash kar rahe hain na jaane kya kya ab kisi bhi rishte mein woh pehle si baat nahi aa paati.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|