ajeeb ajeeb rishtey

by phoenix on June 10, 2006, 06:38:18 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 10
Print
Author  (Read 21287 times)
phoenix
Guest
«Reply #60 on: June 26, 2006, 09:47:36 AM »
ek dor se tumko bandhne chale the dil se hum
par kya pata tha ki tum to parchai ho hamari

ab kya karte jab dil tuta tha hamara aur hum aandhero me the
tab tumhe dhundha to meri parchai bhi ja chuki thi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
Ye pal hai ajeeb sa .........!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Zindagi morr ajeeb ajeeb leti hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
ranjana
Guest
«Reply #61 on: June 26, 2006, 10:13:38 AM »
parchaiyo se rishta jode ke aakhir tum kua paaoege
yeh toh woh saaya hai jinhe andhera hote hi saath na paaoege
jodana hai agar rishta dil ka dil se jode lo
iska dard bhi agar mila toh kam se kam jee toh paaoege
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #62 on: June 26, 2006, 12:48:55 PM »
bah khoob ranju aur phoenix...........

saare rishte banae phir se koi
sabko phirse hayat jine do
sare rishton me zahar phaila hai
zindagi nafraton ka mela hai
ik naye rishte ki talash  me ham
ghar se nikalen hain aaj phir tanha
ab jo koi bhi haga ham jaisa
usko apna hi maan lena hai
saare apne parae ban baithe
ab parayon me koi apna ho
ik yahi soch dil pe bhari hai
aur koi soch ab nahi baaqi...............
Logged
Tosha
Guest
«Reply #63 on: June 26, 2006, 01:00:47 PM »
Quote from: "phoenix"
kuch ajeeb se rishtey ye dil bana leta hai
kuch ajnabi chehron se armaan jaga leta hai
lagte hai sab bhale se is dil ko
ye nadaan bhi kaise kaise swang racha leta hai

in rishto k wajood kabhi dhoond na sakenge hum
yeh to pani k bulbulo hai ubharte hi hawa ho jate hai
is dil e nadaan ko numaish ki aadat hai
har waqt mere dard ka bazaar laga leta hai

ek rishta hi to hai zameen aur asmaan ka
jab tarsate hai dono to barish aa jati hai
kuch aisa hi manzaar hai is  dil ka bhi
jab yaad aati hai rishto ki to aankh bhar aati hai




kya baat hai  :evil:  tum bhi  :twisted:
Logged
phoenix
Guest
«Reply #64 on: June 26, 2006, 01:04:08 PM »
oye tum bhi matlab kya yaar
Logged
phoenix
Guest
«Reply #65 on: June 26, 2006, 01:12:40 PM »
duniya k usool kitne ajeeb lagne lage hain
wo hain to mere apne par kitne ajnabi lagne lage hain

yun to hoti thi har din mulaqat unse
par ab to hum unki ek nazar ko bhi tarasne lage hain

kya sahi tha kya galat tha maine kabhi jaana nahi
ho sakta hai use jaan ne layak kabhi ban hi paya nahi

tum batao kya galat rishto me umeeden rakhna
agar nahi to fir kyun aaj mein itna pareshaan hun
Logged
Tosha
Guest
«Reply #66 on: June 26, 2006, 01:14:33 PM »
Quote from: "phoenix"
oye tum bhi matlab kya yaar


tum bhi matlab ... ki shayar ... hum to sari shayari bhool gaye :evil:
Logged
phoenix
Guest
«Reply #67 on: June 26, 2006, 01:19:30 PM »
hm

complimant diya ya taana mara
Logged
Tosha
Guest
«Reply #68 on: June 26, 2006, 01:22:47 PM »
jo samjho Winking
Logged
ranjana
Guest
«Reply #69 on: June 26, 2006, 02:10:07 PM »
Puzzled ! yeh kya ho raha hai........ Puzzled !
 

rishto ki yeh dor jab tak hai saath saath
har koi likhega yahan apni har baat
dard ho ya khushi ,sabke hain saanjhe
har koi isko likh ke yahan apna sukh- dukh   hain baante......... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #70 on: June 27, 2006, 01:32:47 PM »
jindagi ki raha mein dekhe hain kuch khubsurat rishte bhi aise hamne
jo baahar se chamakte hai sone jaise aur ander se peetal ki tarah hote hain


jitna bhi nibhana  chaho tum inko kisi bhi dang se
yeh bas bilkul khoakle aur bejaan se hote hain.........

ek khaali se bartan ki tarah yeh bedhangi se awaz mein bolte hain
kaise nibhaye in rishto ka saath hum ab ,yeh har pal bas apni pechaan hi khote hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #71 on: June 29, 2006, 06:42:00 AM »
Bahoot Badiya Likha Hai App Sabne,..
Lage Raho,.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #72 on: June 30, 2006, 03:07:15 AM »
shukriya Azeem bhai............aapne nahi likha kuch......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #73 on: June 30, 2006, 06:15:49 AM »
Quote from: "ranjana"
shukriya Azeem bhai............aapne nahi likha kuch......


Pardhne Mein Mazaa Aa Raha hai Apki Shayarion Ko,..
Likhne Ke Liye Alfaaz Nahi Mil Rahe Hain,..

Inshallah Likhoonga,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #74 on: July 03, 2006, 04:15:35 PM »
thnx azeeem ji  and ranjana ji



nakabo.n ko benakab karte karte zindagi beet gayi
na haasil hua mukaam na manzil ka nishan mila
kuch rishtey aise uljhe ki mein samajh na paya
ki jo chala tha kafila mera jaane kahan faana hua
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:41:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer