ajeeb ajeeb rishtey

by phoenix on June 10, 2006, 06:38:18 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Author  (Read 21465 times)
ranjana
Guest
«Reply #75 on: July 03, 2006, 05:12:51 PM »
ek khamoshi si chhaayi hai is bheed mein bhi kahi-kahi
ek hagama sa nazar aata hai ab virrarno mein kahi-kahi
har chehra yahan dhaka se ek naqab se kahi kahi
har koi pechaan ke apno ko begana sa ho jaata hai kahi- kahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
Ye pal hai ajeeb sa .........!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Zindagi morr ajeeb ajeeb leti hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
phoenix
Guest
«Reply #76 on: July 03, 2006, 05:20:02 PM »
aaj hangaama sa kyun hai inn veeraon mein
lagta hai koi aaya hai jaagane mujhe aanjane mein

mujhe tum kyun har waqt sharminda karte ho
mein hun na kafi har cheez k liye to kyun mera imtihaan lete ho

kyun meri har baar ko naap tol kar dekha jaata hai
kya thi meri galti aur aaj kyun ye pachtava hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #77 on: July 04, 2006, 03:07:47 AM »
jitna unse judte gaye hum utne khote gaye tanahai mein
gum kiye bethe hain hum khud ko rishto ke bazaar mein

jab bhi payaa hamne ujaalo ko woh bhi thaa andhkaar mein
aapse jayda mila hai aapka saath hamko aapke diye darde bahaar mein
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #78 on: July 04, 2006, 06:48:19 AM »
Shukriya Pheonix.,..
Nice One Pheonix And Ranjana,..

Mera Haal Dekh Kar Saare Sheher Mein Matam Hone Laga,..
Suna Jisne Bhi Fasaana Meri Chahat Ka Wo Bhi Rone Laga,..

Jaane Kaisa Dard Degaya Wo Mujhe "Jaanasheen",..
Milkar Har Koi Mujhse Mere Ghamon Mein Khone Laga,..

Naaz Bahoot Karta Tha Main Apni Chahat Par Apni Wafaa Par,..
Aaya Jab Toofan Chahat Par Meri Mera Apna Tha Jo Whi Meri Kashti Dobone Laga,..

Dekha Jab Usko Maine Mere Haal Par Muskuraate Hue "Jaanasheen",..
Main Aaj Khud Apna Hi Daman Ghamon Se Bheegone Laga,..
Aksar Mere Saath Aisa Hi Hone Laga,..

________________________-Azeem-________________________

Logged
phoenix
Guest
«Reply #79 on: July 04, 2006, 03:06:28 PM »
bahut khoob azeem bhai
Logged
roshni246
Guest
«Reply #80 on: July 04, 2006, 08:08:22 PM »
Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Pheonix.,..
Nice One Pheonix And Ranjana,..

Mera Haal Dekh Kar Saare Sheher Mein Matam Hone Laga,..
Suna Jisne Bhi Fasaana Meri Chahat Ka Wo Bhi Rone Laga,..

Jaane Kaisa Dard Degaya Wo Mujhe "Jaanasheen",..
Milkar Har Koi Mujhse Mere Ghamon Mein Khone Laga,..

Naaz Bahoot Karta Tha Main Apni Chahat Par Apni Wafaa Par,..
Aaya Jab Toofan Chahat Par Meri Mera Apna Tha Jo Whi Meri Kashti Dobone Laga,..

Dekha Jab Usko Maine Mere Haal Par Muskuraate Hue "Jaanasheen",..
Main Aaj Khud Apna Hi Daman Ghamon Se Bheegone Laga,..
Aksar Mere Saath Aisa Hi Hone Laga,..

________________________-Azeem-________________________



bohot ache JS ji !!!
aksar mere saath aisa hone laga...
bewafaon pe naaz hone laga..

jisne dil thora ussi pe hum marte dum tak aithbar karte rahe..
aur unhe meri wafa par bhi shak hone laga...

palat kar jaraha tha jab wo rishte thod kar...
mera dil reza reza hokar bhikarne laga...

ab to dastan-e-ishq ek kahani bangayi logon k  liye...
har jageh mera charcha hone laga...

bohot log roye mera fasana sun k .....
log aise bhi the jinhe mera jeena bematlab laga...

khuda se se unka dedar humne mangliya...
maut se pehle kuch lamho ka pyaar mangna mukarar laga...!!


~rosh~
Logged
ranjana
Guest
«Reply #81 on: July 05, 2006, 04:28:45 PM »
bahut khoob Roshu and Azeem bhai.............
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #82 on: July 06, 2006, 12:07:29 PM »
Shukriya Pheonix Ranjana And Roshni Sis,..

Bahoot Khoob Likha Hai Roshni Sis Apne,..
Logged
ranjana
Guest
«Reply #83 on: July 07, 2006, 04:35:00 AM »
shukriya Azeem bhai............

ek kohara hai dhuan sa hai in khoye se rasto per
jiske ek taraf tum ho aur ek taraf se ruke hue se hum hai
parchayion ke jungle mein daraate hai mujhe benaam se rishte
karte hain woh jab kai sawal toh ghabara jaate hain hum
umar ke paadavo ko paar karti yeh zinadgi......
ab ek apni talash dhoondati hai,pehchaan talashti hai
jo rishte reh gaye they benaam se ab unke liye koi naam dhoondati hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #84 on: July 07, 2006, 12:42:16 PM »
Ur Welcome Ranjana Sis And Nice One,..

Raste Kho Gaye Apni Manzil Ke Kahin,..
Jab Humsafar Ne Hi Raah Mein Kantein Bichaaye,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #85 on: July 07, 2006, 07:12:08 PM »
bahut khoob roshni and azeem bhai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #86 on: July 07, 2006, 07:23:40 PM »
Quote from: "roshni246"
Quote from: "Jaanasheen"
Shukriya Pheonix.,..
Nice One Pheonix And Ranjana,..

Mera Haal Dekh Kar Saare Sheher Mein Matam Hone Laga,..
Suna Jisne Bhi Fasaana Meri Chahat Ka Wo Bhi Rone Laga,..

Jaane Kaisa Dard Degaya Wo Mujhe "Jaanasheen",..
Milkar Har Koi Mujhse Mere Ghamon Mein Khone Laga,..

Naaz Bahoot Karta Tha Main Apni Chahat Par Apni Wafaa Par,..
Aaya Jab Toofan Chahat Par Meri Mera Apna Tha Jo Whi Meri Kashti Dobone Laga,..

Dekha Jab Usko Maine Mere Haal Par Muskuraate Hue "Jaanasheen",..
Main Aaj Khud Apna Hi Daman Ghamon Se Bheegone Laga,..
Aksar Mere Saath Aisa Hi Hone Laga,..

________________________-Azeem-________________________



bohot ache JS ji !!!
aksar mere saath aisa hone laga...
bewafaon pe naaz hone laga..

jisne dil thora ussi pe hum marte dum tak aithbar karte rahe..
aur unhe meri wafa par bhi shak hone laga...

palat kar jaraha tha jab wo rishte thod kar...
mera dil reza reza hokar bhikarne laga...

ab to dastan-e-ishq ek kahani bangayi logon k  liye...
har jageh mera charcha hone laga...

bohot log roye mera fasana sun k .....
log aise bhi the jinhe mera jeena bematlab laga...

khuda se se unka dedar humne mangliya...
maut se pehle kuch lamho ka pyaar mangna mukarar laga...!!


~rosh~


rosh di..............wow......di too good................too good...~chutki~

jeena mera unhe bematlab laghta hai
sunke mera afsana unhe rona acha laghta hai

hotha aghar woh bhi yahan
tu mujhe dekhar unhe bhi bohra laghta :D:D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #87 on: July 08, 2006, 07:39:22 AM »
Quote from: "phoenix"
bahut khoob roshni and azeem bhai


Shukriya Bhai,...

Khushi Milti Hai Kisi Ko Meri Barbaadion Se,..
Tamanna Hai Ki Main Barbaad Ho Jaaon Unhe Khushiaan Dete Dete,..

____________________________________-Jaanasheen-
Logged
phoenix
Guest
«Reply #88 on: July 08, 2006, 05:48:40 PM »
bahut khoob azeem ji kya baat kahi hai

ya khuda mein rakh ho jaun jalte jalte to koi shikwa nahi
bas unke darwaze par aandhera na hone dena
Logged
phoenix
Guest
«Reply #89 on: July 10, 2006, 06:33:19 AM »
wo thi andheri kali raat par mujhe chalna pada
aakhri diya tha mein isliye mujhe toofan mein bhi jalna pada

kahin ho na jaye guum aandhero.n me wajood tera
yahi sochkar tere liye mujhe bhi chalna pada

yun to hum kar dete hain bayan haal e dil apna
par kahin bura na lage tumhe yahi sochkar hont ko seena pada

rishto ki dor ko sambhale rakhna tha zaruri
teri doli k liye apna kafan bhi nilaam mujhe karna pada
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:28:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer