ajeeb ajeeb rishtey

by phoenix on June 10, 2006, 06:38:18 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Author  (Read 21188 times)
ranjana
Guest
«Reply #90 on: July 10, 2006, 07:09:25 AM »
manzile hain kahan ,raaho ke nishaan ka malum nahi
ab din gujarenge kaise yeh bhi kuch malum nahi

hum kya samjhenge logo ke dil ki jubaan ko
jab dard ki hai kya dastaan yeh bhi hamko malum nahi

hum barso se rehte hain patharo ke sheher mein
kaisa hain yeh seeshe ka jahan yeh bhi humko malum nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yeah ajeeb marhalay hain yeah ajeeb silsilay hain by muneeb in Shayri-E-Dard
Ye pal hai ajeeb sa .........!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Zindagi morr ajeeb ajeeb leti hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
AJEEB AJEEB CHEEZ RAKHTE HAIN.!!!!!! by qalb in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #91 on: July 11, 2006, 09:08:04 AM »
Quote from: "phoenix"
bahut khoob azeem ji kya baat kahi hai

ya khuda mein rakh ho jaun jalte jalte to koi shikwa nahi
bas unke darwaze par aandhera na hone dena

Shukriya Bhai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #92 on: July 11, 2006, 09:08:44 AM »
Quote from: "ranjana"
manzile hain kahan ,raaho ke nishaan ka malum nahi
ab din gujarenge kaise yeh bhi kuch malum nahi

hum kya samjhenge logo ke dil ki jubaan ko
jab dard ki hai kya dastaan yeh bhi hamko malum nahi

hum barso se rehte hain patharo ke sheher mein
kaisa hain yeh seeshe ka jahan yeh bhi humko malum nahi


Bahoot Khoob Ranjana Sis,..
Logged
phoenix
Guest
«Reply #93 on: July 12, 2006, 06:23:53 PM »
kabool na fizao.n ko aashiyana mera
har waqt rahi bhatak kar dar par aate the

ek raat rukta tha karvan mere ghar par
subah hote hi saare paanchi udd jate the

uss ek raat mein maine zindagi guzarna sikh liya
kahin tod na jaaye dil koi isliye dil lagana chod diya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #94 on: July 13, 2006, 02:15:54 AM »
bahut khoob nitiesh...


zamaane ka har rang hamne dekha hai
apno se apno ko badalte dekha hai

jis rishte ko banaate hue lag jaate hain barso
ek pal mein unko aaiene ki tarah tutate hue dekha hai

jo dost dam bharate hain sacchi dosti ka
dusmano ki tarah unko waar karte dekha hai

umar bhar saath nibhaane ka vaada toh de dete hain log
jara sa dard aate hi unko raha badalte maine dekha  hai
Logged
phoenix
Guest
«Reply #95 on: July 13, 2006, 08:40:46 PM »
bahut khoob

jab mehsus hui thand unhe tau rishto ko jalana munasib samjha
jab mil na saka diljala koi bhi tau iss diljale ko jalana munasib samjha

ho na jaye kissa ye aam baazar mein kahin
isliye ghar k kone mein mera pyaar dabana munasib samjha

nikla karte hain aashiq unke deedar k liye aaj bhi galiyon se
aa na jaye chaand pe daag isliye amavas ko nikalna munasib samjha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #96 on: July 14, 2006, 03:23:11 AM »
yadi munasib hota rishto ko bhulana
toh hamari har koshish kamyaab hoti

chahye aati amavas ki raat  bhi toh
tab bhi unke deedar ki hi chahat hoti

jala sakate hum unke saath gujare pal
toh aaj dil se dil ki baat na hoti

bujha bhi dete hum is dard ki chingaari ko
agar mere dil mein unke liye nafart ki barsaat hoti
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #97 on: July 14, 2006, 03:16:11 PM »
Bahoot Khoob Ranjana And Pheonix
Lage Raho,..

Dard To Rukne Ka Ab Naam Nahi Leta Hai,..
Sabar Se Dil Bhi Mera Kaam Nahi Leta Hai,..

Dooba Hoon Ghamon Mein Uske Jaane Ke Baad,..
Aur Wo Hai Ke Apne Sar Koi Ilzaam Nahi Leta Hai,..

_____________________________-Jaanasheen-
Logged
ranjana
Guest
«Reply #98 on: July 15, 2006, 02:54:37 AM »
bahut khoob bahi ....

yeh rishta dil ka kuch yun nibha diya
apne daaman ko khud hamne jala liya

ki har kadam per hamne unse wafa
fir bhi apne dil tutane ka ilzaam unhone hum per laga diya
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #99 on: July 15, 2006, 08:25:50 AM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob bahi ....

yeh rishta dil ka kuch yun nibha diya
apne daaman ko khud hamne jala liya

ki har kadam per hamne unse wafa
fir bhi apne dil tutane ka ilzaam unhone hum per laga diya


daman jalake unhone ye jata diya
rista dilon ka aaj khatam kiya
unhone apni wafaon ko ehsan bata diya
khushiyan dekar humne hishab chukta kiya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #100 on: July 15, 2006, 11:34:09 AM »
rishta dard ka kuch yun bhi nibhayaa jaaye
haal yun  apne dil ka unse chhipaaya jaaye
jo sirf hansi mein uada dete hain har baat hamaari
unko fir kis haq se apna haal- e - dil sunaya jaaye
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #101 on: July 15, 2006, 06:28:49 PM »
aaj mehfil me tanhayee ke sath jiya jaye
firse haskar dil ka gum bhulaya jaye
Logged
ranjana
Guest
«Reply #102 on: July 16, 2006, 03:00:36 AM »
tanhaiyaan bhi saath chor jaati hai
jab dard had se jayda badh jaata hai
ek kasak ek tadap si dil mein bhar jaati hai
jab yugo ka rishta pal bhar main dam tod jaata hai
kaun deta hai yahan saath zindagi bhar ka sanam
yahan toh apna saaya bhi saath chhodh jaata hai!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #103 on: July 17, 2006, 06:26:35 PM »
kyun in maunjo ka kinara nahi hota
hum ho jate hain jinke wo kyun hamara nahi hota

rehta hai wo chand bhi toh taaro.n k darmiyan magar
bheed me rehne se gamo.n ka niptara nahi hota

karta hun numendagi mein bhi husn ki
par chahne bhar koi hamara nahi hota

girti hain pani ki boondein har dehreez par yahan
par har boond pyaas bujhati toh yedil pyaasa nahi hota
Logged
ranjana
Guest
«Reply #104 on: July 18, 2006, 03:39:15 AM »
woh ek saaya ban kar mere jehan per chhaa jayega
hum na jaante they ki woh hame yum bhi satyega

hum dhoonda kiye usko shaamo seher
magar woh haat kabhi na hamare aayega

jis se bhi chhera hamne zikar unka
sabne kaha yeh atebaar aapko bahut rulayega

hum yun hi ruthe ruthe rahe kai mudaato unse
koi toh kabhi aake hamko ek din maanyega

woh toh thaa ek parchhayi ya saaya koi
woh kaise meri zindagi ko ek mukaam per pahuchyega
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:15:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer