hijer .. duri
wasl .. milan ki ghari
dasht e talb .. kisi ko mangnay ka chahnaay ka pannay ki khwahish ka sehra ,a desert of lust for love may be
zaib e dastan .. means jaisay baat ko khubsurat bananay ko koi khayal hakeekat main shamil karain jo keh sirf khayal ho sach na ho.baat ko berhana kisi se piyar karain to kuch fantacies hakeekaat lagnay lagti hain.yeh jo fantacies hum apni zindagyion main sach samjhnay lagtay jo sach nahin hotay bih sach lagta hain ..
khushgumani .. kisi se piyar karain to uski buri batain bhi achi lagti hain sara zamana sab duniya jo bhi bolay to ekhtay hain hum keh nahin woh aisa hai woh wesa hai .means kisi ki burayi bhi achi lagay to hum khushguman ho rahay hotay hain so khushgumani aiay hi kisi kaliye nayi nayi batain dhoondti rehti hai.
raks e bekasi ...bekasi ka raks .bebas hota hai insan to yeh duniya ussay khoob satati hai jalati hai .mano sari khudayi uskay khilaf ho jati hai to aesay main jo jo baten jo jo kuch insan karta hai tou woh raqs hi hota hai na duniya kai lagaye zakhmon per merham rakhnay ki koshish shayad raks e bekasi hi hoti hai
tairagi ... means tareeki main udassi ko milla do to tairgi banti hai
wehshat e shab e hijran .. duri ki raat main honay wali wehshat.woh dukh jo ik aisi raat bitanay main hai
der ayi... means jab koi cheez baghair bulaye khud say aa pohanchay aur dil ka derwaza khol ker khud hi kahin bass jaye to ussay der ana kehtay hain
i hope meray keh main clear ker paya honga .kuch kami rah gayi to shamma keejay ga ..cuz matlab samjhanay main ajtak nakam raha hon main