~~ Akela Kamra ~~

by angel4u on March 25, 2009, 05:46:00 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 824 times)
angel4u
Guest

Akela Kamra,
Jahan Khamoshi Thi Aur Wo Tha,
Wo Aankh Moonde Bhi To Andhera,
Jo Aankh Khole To Bhi Andhera,
Ajab Khamoshi, Ajab Andhera,
Wo Jiska Aadi Kabhi Nahi Tha,
Wo Ek Ladka,
Jo Ab Bhi Bachpan Ki Sarhadon Mein,
Bhatak Raha Tha,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Tamaam Kamra, Tamaam Chizein,
Ye Lag Raha Tha Ke Ajnabi Hai,
Syaah Shab Ne Phir Apna Jaadu
Wahan Ke Manzar Pe Aazmaya,
Jo Ek Parda,
Hawa Se Khidki Pe Lehlahaata Raha Tha,
Usne
Bas Ekdam Se Hi Roop Badla,
Aur Ek Bhut Ka Roop Dhara,
Use Laga Ke
Wo Uski Janib Lapak Raha Hai,
Wo Ek Paudha
Jo Bas Wahan Par
Mehez Sajawat Ke Waaste Tha,
Use Laga Ke
Us Ek Paudhe Ne
Apni Shaakhon Ko,
Uski Jaanib Badha Diya Hai,
Ke Jaise Usko
Wo Apni Shaakhon Mein Bandh Lega,
Hawa Ki Halki Si Sarsarahat,
Use Laga Yun
Ke Chupke Chupke Se Koi,
Kamre Mein Chal Raha Hai,
Ab Uski Aankhon Mein,
Shab Ki Dehshat Thi, Bebasi Thi,
Akele Kamre Mein Wo Bechara,
Laraz Raha Tha,
Bil-Aakhir Usne Panaah Dhoondi,
Wo Is Tarahse Ke
Sar Se Paanv Tak Lehaaf Taana,
To Uski Dharas Bandhi Zara Si,
Magar Ye Kya Ke,
Lehaaf Mein Bhi
Khayal Uska Bahut Si Shaklein,
Bana Raha Tha, Dara Raha Tha,
Wo Bekhabar Tha,
Ke Aaj Uska,
Ye Khauf Saara,
To Uske Wehmon Ki Dastan Hai,
Andhera Kamra,
Ghadi Ki Tik Tik, Hawa Ki Sar Sar,
Talism Shab Ka Urooj Par Tha,
Bechara Shab Bhar Wo So Na Paaya,
Bil-Aakhir Aaya,
Payaam Subah Ki Roshni Ka,
Ke Raat Bhar Ki
Tamaam Baaton Ko Yaad Karke,
Ab Usne Kamre Ko Phir Se Dekha,
Wo Raat Jaisa To Ab Nahi Tha,
Ke Thoda Thoda,
Wo Dil Hi Dil Mein,
Bechara Naadim Sa Ho Raha Tha,
Wo Kisse Kehta
Wo Kya Batata
Ke Raat Kamre Mein Kya Hua Tha,
Wo Kya Dikhata,
Ke Ab To Kamra Bhi Raat Jaisa,
Nahi Raha Tha,
Ajeeb Sochon Mein Uljha Uljha,
Badi Khamoshi Ke Sath Utha,
Aur Apne Kamre Se
Sar Jhukaye Nikal Gaya Wo...


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~:: Wo kamra baatein karta tha ::~ by nirbhay in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Woh KaMra Yaad Aata Hai by angel4u in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
aik kamra-e-Imtehan (by Amjad Islam Amjad) by vb in Share:Miscellaneous Shayari
Ye mera Kamra by Ameer Hasan Malik in Shayri for Khumar -e- Ishq
Akela Kamra (Shani) by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 08:04:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer