akela

by salil2002 on October 07, 2008, 12:03:21 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1364 times)
salil2002
Guest
na jaane mujhe kyun dhoondte ho tum bheed main
jara tanhaayee main dhoondo ab akela hoon main
kii mehfil mein na kheench kar le jao mujhe
wahan sab mere Gair hain kyunki akela hoon main

na koi ummeeed hai na koi yaad ab baaki hai
tum kyun nahin samajhte kii akela hoon main
tumhe ab kaise batlaun kii main kaun hoon
haan main ek deewana tha ab akela hoon main

mein reh raha hoon is kaanch kii bani duniya main
main ek patthar hoon isliye akela hoon main
hai har taraf nafraton ka samandar
main mohabbat ka saahil isliye akela hoon main

hai har rishte main dhoka aur fareb
har chehre main chhupe hai chehre anek
koi kissii k ghaav par marham nahin lagata
main ek hakim hoon isliye akela hoon main

chalo achcha hi hai kii main akela hoon
na kissii ko meri parvaah na koi mere gham mein shareek
main bhi ap pattharon se sar takraata hoon
kii ab main kyun jiyun jab akela hon main
 
 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: October 07, 2008, 01:22:47 PM »
Nice One salil,.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2008, 02:07:31 PM »
thnks janasheen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 12, 2008, 08:20:02 AM »
U Are Welcome,.

Akela Urdta Chaloon Kahin Main, Baadalon Ki Tarah,.
Gungunaaoon Dil Ka Haal Apna, Paagalon Ki Tarah,.

Tanhaa Pasand Aadmi Hoon Main, Mehfil Ka Shauk Nahi,.
Tadap Ta Hoon Yaad Mein Kisi Ki, Ghayalon Ki Tarah,.

__________________________________-Jaanasheen-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: January 17, 2009, 09:21:28 AM »
U Are Welcome,.

Akela Urdta Chaloon Kahin Main, Baadalon Ki Tarah,.
Gungunaaoon Dil Ka Haal Apna, Paagalon Ki Tarah,.

Tanhaa Pasand Aadmi Hoon Main, Mehfil Ka Shauk Nahi,.
Tadap Ta Hoon Yaad Mein Kisi Ki, Ghayalon Ki Tarah,.

__________________________________-Jaanasheen-
bahut khoob azeem bhai

mere marne k baad bhi akela na chhoda mujhe
mujhe dafanaya wahan jahan karwan gujarta tha...........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 21, 2009, 01:38:07 PM »
Shukriya Salil Bhai,.
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #6 on: January 21, 2009, 02:25:01 PM »
bahut accha likha hai salil ji.....

Bheed mei Tanhaayi mei kisi ko talash te chale gaye...
mud kar dekha toh khuli mehfil mei bhi akele reh gaye...
jab koi na aaya nazar..hum akelepan ko apna saathi
maan kar chale gaye.......
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: June 17, 2009, 02:42:08 PM »
thanks fairy and a nice reply from u
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2009, 02:43:33 PM »
Wah wah.. Aaj aapka likha sab kavita ek se badkar ek rahi Saahil dear... Keep up.. Thumbs UP
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: June 24, 2010, 10:30:08 AM »
Good one Saahil Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:53:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer