*Andhiyara Hoga*

by Roja on February 28, 2008, 02:38:22 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1109 times)
Roja
Guest
Unke hoton pe na tabassum ka nazara hoga
Bicharkar humse kahan unka guzara hoga

Waqt ki lehron pe chalne do kashtiyan
Gam ke samandhar ka kahi to kinara hoga

Zameen aanchal hogi, aur chat hoga aasmaa.n
Basti hai tanhayiyan wahi ghar hamara hoga

Kaam aayegi raah chalte wafa ki roshni
Chiraag na bhujao ki aage andhiyara hoga

Mizaj hawaon ke bhi dekhna jalanewalo
Verna, jalte gharon main ghar bhi tumhara hoga

Matlabon ki raah per aa gaya hai aadmi
Kaho "Roja" kaun aise main kiska sahara hoga?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Des ka kya hoga by Amit Janglan in Shairy-E-Watan « 1 2 3 4  All »
Kya hoga? by prempagla in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Na Ho Gar Hum To Kya Hoga? by sashe75 in Shairi - E - Zindagi « 1 2 ... 7 8 »
!!!koi tu hoga!! by nice_off_me in Shayri for Khumar -e- Ishq
Raat aur din diya jale, mere man me phir bhi andhiyara hai by Mast Khalander in Share Poetry You Like
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: February 28, 2008, 04:21:18 AM »
 
Bohat khoob Roja acha likha hai dear.. Usual Smile

 
Logged
baadal102
Guest
«Reply #2 on: February 28, 2008, 05:58:08 AM »
kya baat hai roja bahut aache




Baadal
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: February 28, 2008, 06:02:36 AM »
Wah Kya Baat Hai ROJA.. Behad Khubsoorat Rachna Pesh Ki Hai aapne..!!
Ek ek Lafz Dard Bhara Such Hai.. Bahut bahut Khooooooooob..!!

Vicky
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #4 on: February 28, 2008, 06:18:52 AM »
Roja ji aapke Andhiyaron ki baat sunkar yeh dhyan aa gaya...

wohh kehtey hain humsey andheron mein ab ghar se na nikalna
insaan ab hevaan ban gaye hain
Koyi bhatka raahi miley raahon mein toh ussey bhool ke bhiraah na batana
yehe aajkal ke insaano ki peihchaan ban gayi hai

Magar main Bhala kyon maan lun in tamaam baaton ko
jab yeh ghatna din mein bhi mere saath sareyaam ho gayi hai
bhool ja dost tu wohh lutney ka gum
aajkal duniya advance ho gayi hai
kehtey hain jamana badal gaya hai
haan shayad yeh haqikat he toh hai
vakayi mein jamana badal gaya hai

Pehley Pee ke Dushmanyi thi
ab majhabi dushmanayi hai
pehley darte the murda laashon sey
aajkal zinda zyada rulatey hain

fir bhala kyon na nikley hum andhreon mein
ek woohi toh saathi hai mera gum baantney ka
bhaley hi main shikar ho jaaun andhron mein kisi ka
par din ki maut sey toh yeh sab theek he hai na

Din mein hazaron aankhon ka dekh kar andekha kar deina
Shyad yehe toh hashra hai Din ki maut ka
Fir apna toh koyi bhi nahin hai yahan par jaan ney waala
jaan ney waaley bhi waqt par sab anjaan baney baithey hain
aur hashra Aey Zindgi maut he toh hai BAs
Fir mujhey kya
aajkal kaun kisko yaad karta hai....aajkal kaun kisko yaad karta hai.......
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 28, 2008, 06:45:52 AM »
Unke hoton pe na tabassum ka nazara hoga
Bicharkar humse kahan unka guzara hoga

Waqt ki lehron pe chalne do kashtiyan
Gam ke samandhar ka kahi to kinara hoga

Zameen aanchal hogi, aur chat hoga aasmaa.n
Basti hai tanhayiyan wahi ghar hamara hoga

Kaam aayegi raah chalte wafa ki roshni
Chiraag na bhujao ki aage andhiyara hoga

Mizaj hawaon ke bhi dekhna jalanewalo
Verna, jalte gharon main ghar bhi tumhara hoga

Matlabon ki raah er aa gaya hai aadmi
Kaho "Roja" kaun aise main kiska sahara hoga?


Wah! Wah! Wah!...Bahut khoob roja..har ek line mein zindagi ki sachai aur gehrai hai...bahut hi khoob likha hai..jazbaato se bharpoor...tooo good!!!!

zakhmolaji really a nice one by you....
Logged
choubsrk
Guest
«Reply #6 on: February 28, 2008, 09:40:37 AM »
Beautiful & Meaninful Shers. Keep it up!

Unhi dil se likhtee raho,
ek na ek din,Sukhan ki duniya me,
Naam raushan Tumahara hoga!
Logged
farawaynuts123
Guest
«Reply #7 on: February 28, 2008, 01:57:00 PM »
rojaa,

taarif-e-kaabil ye dard-e-bayaa lagaa aapka,
Aankhe thahar gayi har shabd pe,Aisaa andaaz-e--bayaa lagaa aapka..

Likhte rahiye....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 28, 2008, 04:22:08 PM »
BAHOOT KHOOB ROJA.. BAHOOT HI ACHA AOR GAHRA LIKHA HAI...

BAHOOT HI ACHA REPLY DIYA HAI APNE ZAKHMOLA JI!!!

GOOD JOB BY BOTH!!!!!!
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: February 29, 2008, 07:23:14 AM »
chahat ki had se chaha tha jise
rab se b jyada puja tha hamne jise
wahi bhari mehfil me ye kaam kar gaye
chod kar gaye wo khud hame aur bewafa hame naam de gaye
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 01, 2008, 09:36:37 PM »
Bohot khoob Roja..Beautiful !

Very good reply Zakhmola and a nice one Kaushik
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: March 02, 2008, 02:25:43 PM »
Thank you very much friends...
and Nice lines Zakhmola ...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:39:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.178 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer