Andhiyon Ki Zadd me !!

by abdulqadeer on January 28, 2009, 04:17:44 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1644 times)
abdulqadeer
Guest
Is Ghazal me eak ashar Tanziya hai !! Ab wo kaunsa ap log guess karo !! ye Ghazal maine shayad paheli yoindia post ki hogi too maafi chahata hon mujhe yaad nahi ke maine post ki ya nahi !! isiliye fir se post kar raha hon ye Ghazal maine 3 mahine pahele likhi thi !!



tere inkaar karne ka andaaz bhi ajjeeb lagta hai ..
nazokh se hatoon me jaise tez qanjar lagta hai..

karde qatal mujhe ab jina ki arzoo nahi..
tere bagiar ye shaher bhi jungle lagta hai ..

hamre bagair unper kya guzri hum kya jane .
hame to har waqath har ghadi mauth ka manzar lagta hai.

Wo so raha hai chain se hame jaga ke rataun me !!
Jala de koi charag  aye khuda hame andhere me dar lagta hai ..

Ab mazhabon ki baten karne lage hai watan ke rahenuma !!
Fir se andhiyon ki zadd me mera shaher lagta hai !!

Unko mahefiloon  ne gher rakha  hai Qadeer !!
Hame to tanha-e-yoon me apna ghar lagta hai !!

Qadeer Toopchi

From Dubai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zadd........A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
k.shael
Guest
«Reply #1 on: January 28, 2009, 05:28:33 AM »
Wah Wah Wah Bahut hi khoob,
Bahut Umda likha aapne Qadeer ji,

Aapke jaisa to nahi par kuch likhne ki koshish ki hai
kabool farmayiyega...aur gustakhi maaf ho,



Unki khushiyoon ki khabar unhe ho,
hame to apna har gamm uski khushi ka deewana lagta hai,

Wo jaane ki manjil unki kya hai,
Hame to har rasta bhi apna begaana lagta hai,

Kya khaaq kare ham unhe paane ki chaht,
Jab unhe ye deewana bewafa lagta hai...

Shally.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #2 on: January 28, 2009, 05:39:35 AM »
Shukriya Janab is izzath afza-e-ka apke ahsan mandh hai hum Aur subhan Allah Apne Bhi bahoth qoob likha hai Janab !! Likhte rahiye yunhi !! Allah subko Qair de Ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: January 28, 2009, 05:50:01 AM »
kya baat hai qadeer ji........

tere inkar karne ka andaaz bhi ajeeb se lagta hai,
jaise mera qatal karke,mujhe naa karta hai.

karna hai kardo qatal mera,
waise bhi tere bagair jeene ka kahan mann karta hai.

hamare bagair tum par kya gujregi,wo tum jaano,
bagair tere hum toh,na jeeta hai na marta hai.


wo ashar yeh hai kya....ab mazhabon ki baaten karne lage hai rahenuma,
                        fir se andhiyon ki zadd mein mera shaher lagta hai.

Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #4 on: January 28, 2009, 06:02:04 AM »
kya baat hai qadeer ji........

tere inkar karne ka andaaz bhi ajeeb se lagta hai,
jaise mera qatal karke,mujhe naa karta hai.

karna hai kardo qatal mera,
waise bhi tere bagair jeene ka kahan mann karta hai.

hamare bagair tum par kya gujregi,wo tum jaano,
bagair tere hum toh,na jeeta hai na marta hai.


wo ashar yeh hai kya....ab mazhabon ki baaten karne lage hai rahenuma,
                        fir se andhiyon ki zadd mein mera shaher lagta hai.



Bahoth Shukriya Janab Ghazal ko Itni Dhyan se padhne ke liye Han App sahi hain Cara ji WOhi hai sher hai wo !! Aur Apne bhi Bahoth qoob likha hai janab !!

Qadeer Toopchi
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #5 on: January 28, 2009, 06:12:23 AM »
waah qadeer ji..too good...bahut khoob likha aapne...  icon_salut
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: January 28, 2009, 06:15:32 AM »
bahut achche qadeer bhai
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #7 on: January 28, 2009, 08:06:24 AM »
waah qadeer ji..too good...bahut khoob likha aapne...  icon_salut

Bahoth bahoth shukriya fairy ji !! Ahesand mand hai is nawazish ke !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #8 on: January 28, 2009, 08:26:49 AM »
Areeeeeeeee baab re shihab kya sher likh diya is nachiz ki thread me tumne kasam khuda ki jhinjood diya tumhare sher ne aur meri puri ghazal ko phika kar diya wah wah wah eak bahoth mazboot kalam padne ko mila bahoth dinoo ke baad aur tumhe ye bhi bata don mai bahoth straight forward hon shayari ke had tak sidha bol deta hon acha ho ya bora waqa-e-meri nazar bahoth acha sher hai sambhalke rakho isko !!

Qadeer Toopchi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: January 28, 2009, 08:48:15 AM »
waah .....  Janab Qadeer Sahab ....  bahut umda likha hai ... ik - ik ashaar dil ko chu gya ... waseey jo aapne pucha tha.. mere hisaab se 3rd sher Tanziya lagta hai.

kya kehte ho aap?
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #10 on: January 28, 2009, 08:50:31 AM »
waah .....  Janab Qadeer Sahab ....  bahut umda likha hai ... ik - ik ashaar dil ko chu gya ... waseey jo aapne pucha tha.. mere hisaab se 3rd sher Tanziya lagta hai.

kya kehte ho aap?

Bahoth Bahoth Shukriya Janab !! Waise Apki Nazar ki bhi daad dena padega hamari ghazal me hame hi pata nahi tha ke 2 tanzia ashar hain isme !! bath sahi kaha apne Humtum sahab !!

Qadeer toopchi
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: January 28, 2009, 01:09:32 PM »
Wah Qadeer kitni khoobsurat mehfil sajayee hain tumne. Tumhare bare kya kehna tum to hamesha khoob likhte ho. And yes Shihab ka sher muje bhi chauka gaya bohat Khoobsurat baat keh gaya woh. And shally has too wrriten very beautifully and everybodys favorite Cara woh to bas Shayri ki Machine hain. Khuda tumhari har thread ko isi tarah izzat bakshe.....Aameen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: January 28, 2009, 01:36:47 PM »
Bohat Hi Badhiya,.
Andul Qadeer Bhaiya, Shally Behna,.
Cara Ji, Majid Bhai,.

Nice One Yunhi Likhte Rahiye,.
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2009, 03:43:53 AM »
Bahoth Bahoth Shukriya sajid janab Is nacheen ki izzath afza-e-ke liye aur hausla afza-e-ke liye aur Allah apki bhi har thread ko sajate rahe !!

Qadeer Toopchi
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #14 on: January 29, 2009, 08:17:45 AM »
Bohat Hi Badhiya,.
Andul Qadeer Bhaiya, Shally Behna,.
Cara Ji, Majid Bhai,.

Nice One Yunhi Likhte Rahiye,.


Bahoth Bahoth Shukriya Azeem Allah tumhe Qair de !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:02:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer