~Ankhein bheeg gayi~ by Rahim

by dead heart on August 23, 2010, 07:46:35 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1119 times)
dead heart
Guest
Hum main se kuch log shayad ateet main lautne ka sochte honge..Shayad kuch galtiyan kuch cheezein hai jinhe hum badalna chahte hai..Main ateet main laut kar bas woh lamehin dobara jeena chahta hoon..
Kal raat kisi kay khat dobara parre toh ankhein bheeg gayi..Bas ussi waqt dil ne chand alfaaz kehdiye jinhe kagaaz par utar raha hoon..

Ek aur baat kehna chahta hoon;

Ager aap iss waqt itne khushnaseeb hai kay apke pas koi khas shaks hai, toh har lamhe ko jee bhar kay jeeyein..Shukar mane Allah ka kay apke paas woh hai jo kayi logon kay paas nahin hai..
Aur yeh baat yaad rakhiyega kay ap bahaut zada khushnaseeb hai..Kuch logon kay paas sirf yaadein hai, yaadein dene wala woh shaks nahin..! tearyeyed



Woh tere khat parr kar ankhein bheeg gayi,
Woh guzre zamane yaad kar ankhein bheeg gayi..

Mehfilon main tanha mehsoos karna bhi ab ada hai meri,
Tera haath tha mere haath main kabhi; yeh soch ankhein bheeg gayi..

‘Khamosh’ puchta hai kay gulab ne sheeshe sa dil kaise torra,
Aj saath apne sirf apni parchayi dekh ankhein bheeg gayi..

Dil ka dard bayan karne kay liye kalam ne misalein saja di,
Kehna toh bas itna tha kay teri yaad main Zalim ankhein bheeg gayi..

~Rahim~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Ankhein Bheeg Jaaye.............. by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
:Bheeg jaati hain..: by sanya310 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
::::Chaand Bheeg Jaata Hai:::: by angel4u in Shayri-E-Dard
apki yaad aati hai to kabhi ankhein bheeg jati hai by irshad ahmed siddiqui in Shayri for Dard -e- Judai
~*~Nam hai dil..ankhein nahin..~*~by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2010, 08:01:07 PM »
Raheem Sahab Aadaab!

janab aapki yeh koshish ke bhi khayaal aafrin hai... dilfareb ahsaas o khayaal per Daad Janab....

Humne kuch tarmeem ki hai gar aapko achcha lage to modify kar lijiye.... Thik nahi lage to mazharrat khwaaN hai...

Likhate rahiye...
Khush rahiye....
Khuda hafez.....          




Woh tere khat parr parr kar ankhein bheeg gayi,
Woh guzre zamane ko yaad kar ankhein bheeg gayi..

Mehfilon main tanha mehsoos karna bhi ab ada hai meri,
Tera haath tha haathoN main kabhi soch kar ankhein bheeg gayi..

‘Khamosh’ puchta hai kay gulab ne sheeshe sa dil kaise torra,
Aj saath apne apni parchayi dekh kar ankhein bheeg gayi..

Dil ka dard bayan karne kay liye kalam ne misalein saja di,
Kehna toh bas itna tujh ko yaad kar ankhein bheeg gayi..

~Rahim~


[/quote]
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2010, 08:03:02 PM »
Shukriya Parwaaz Saheb..
Teh dil se shukriya.!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 24, 2010, 04:14:46 AM »
rahim....
ek yaadon se saji kisi ki kami bayan karti hui ye peshkash...
sach me ye feel de gai k aaj jo lamhe hain use har lihaz se jii bhar k ji lo...
waise main yehi karne ki koshish karti hun...ab se aur jyada koshish karungi.....
shukriya bhai ek bht pyari nazm k liye
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: August 24, 2010, 06:51:59 AM »
Shukriya Anamika di pasand karne kay liye..Haan jee bhar kay jee lena chahiye..Lamhe jo guzar jate hai aur wapis nahin ate, bahaut dard dete hai..Khubsoorat yaadein bhi rula deti hai..!
Teh dil se shukriya.!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 24, 2010, 06:55:16 AM »
Aakhri sher To lajawaab hai Bhai Rahim!!!!

Huemsha Ki tarah bahut Bahut Khoob Mere Bhai..

Humesha Khush Raho Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: August 24, 2010, 07:15:29 PM »
Shukriya Khwaish Dost..
Khush rahiye!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: August 25, 2010, 02:18:53 AM »
wah dost wah.. kya khoob likha hai aapne... bahut bahut khoob... dard me dooba hua hai ek ek shabd.. aise poems ko padha nahi feel kiya jaata hai.. jo ki kiya maine... aur chhoo gayi hamaare dil ko... sach dost bahut hi pyaari kavita hai ye....

 Applause Applause Applause

hum dard me tadapkar aansoo bahaate hain,
aur wo hamaare aansuon pe wah wah kehte hain....

wah dost... wah... bahut khoob...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: August 25, 2010, 07:09:18 PM »
Kapil Dost...dil khush kardia apne..apne feel kiya aur apke dil ko choo gayi toh is'se zada kya chahiye kisi likhne wale ko..bahaut shukriya..

Apne do lines main bahaut kuch kehdiya..! Applause
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: August 25, 2010, 10:35:26 PM »
Bahut hi behetreen nazm hai rahiim ji..bahut khoob...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: August 26, 2010, 03:49:20 AM »
Shukriya Geet jee.!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 10:09:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer