ankhon ki akhiri pias bujhane ke liye aa

by sunildehgawani on September 29, 2011, 12:05:27 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1987 times)
sunildehgawani
Guest
                        [[[ TO FIR NA AANA ]]]                          


janaza muhabbat ka zamane ko dikhne ke liye aa
  meri rukhsat ka akhiri dastur nibhane ke liye aa
   ye wada hum aaj ke baad tujhe fir na kabhi dekhenge
     chhalakti ankhon ki akhiri pias bujhane ke liye aaa

      yakin ho jaye tujhe bhi ki  mai bewafa to nahi
      tu ek  baar  mujhe  aur  aajmaane  ke   liye aa

     bahi dohra ke baat apni mujhse door chale jaane ki
   ek  baar  mera  dil  aur  dukhaane  ke  liye  aa
  gulshan to mere angan ka ab tutkar bikhar jayega
khilte foolon ki tarah ek baar muskurane ke liya aa
     
      mai tod laya hoon chand tare tujhe manane ke liye
      tu pahile ki tarah ek baar aur rooth jane ke liye aa
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ankhon ankhon sai baat karna by amit_is_always_cool in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
ashiqon ka akhiri pal by deepak_mittal143 in Shayri-E-Dard
maa ka akhiri safar by anupam saxena in Shayri-E-Dard
~~~Akhiri Intzaar~~~ by Sammual in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
LIKHTE HAIN QALAM KI PYAAS BUJHANE KE LIE by @kaash in Shairi - E - Zindagi
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 29, 2011, 05:56:31 PM »
Sunil Jee Aadaab!

Janab badi khoob kalaam kahi hai aapne.. Sabhi khayaal
behad pur asar lafzoN meiN adaa kiye hai aapne..

Hume kalaam ke sabhi ashar behad khoob lage..
Tah e dil se daad O mubarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...


                        [[[ TO FIR NA AANA ]]]                           


janaza muhabbat ka zamane ko dikhne ke liye aa
meri rukhsat ka akhiri dastur nibhane ke liye aa

Bahut khoob janab kafi achcha matla kaha hai daad..           

ye wada hum aaj ke baad tujhe fir na kabhi dekhenge
chhalakti ankhon ki akhiri pias bujhane ke liye aaa

Yeh sher bahut khoob kaha janab .. daad
Humare zaheN meiN aik khayaal aaya.. gar chalakti ki jagaaH " Khushk"
AnkheN kahe to kaisa raheNga.. sochiyeNga.. gar sher meiN gehrai bani
to apnaiye nahi to aapka sher bhi kalaam hai daad ..           


yakin ho jaye tujhe bhi ki  mai bewafa to nahi
tu ek  baar  mujhe  aur  aajmaane  ke   liye aa

Waah janab bahut khoob daad         

bahi dohra ke baat apni mujhse door chale jaane ki
ek  baar  mera  dil  aur  dukhaane  ke  liye  aa

Bahut khoob janab sani misre ko achcha adaa kiya hai..         
 
gulshan to mere angan ka ab tutkar bikhar jayega
khilte foolon ki tarah ek baar muskurane ke liya aa
     
Khayaal behad khoob hai janab.. sher meiN jyada khilaa nahi..
koi aur dusri surat meiN soch kar adaa kar lijiye..  Aik surat humare zaheN se ...         



KahiN Khiza cha na jaye mere gulshaan e dil meiN
Meri bebasi par sahi muskuraane ke liye aa         


mai tod laya hoon chand tare tujhe manane ke liye
tu pahile ki tarah ek baar aur rooth jane ke liye aa

Waah waah bahut khoob janab .. achach sher kaha daad ...           

Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #2 on: September 30, 2011, 12:58:00 PM »
parwaj ji shukriya.,,,,,jo words apne sugesstion kiye hain,,,bakai char chand laga rahe hain aur ahsason ki khubsurti doguni ho gayi hai,,,,,kisi ne sach hi kaha hai,,,seniors are always right coz,they have passed from there where u stand.....absolutly right ,,,khuda haif parwaj ji  ..
Sunil Jee Aadaab!

Janab badi khoob kalaam kahi hai aapne.. Sabhi khayaal
behad pur asar lafzoN meiN adaa kiye hai aapne..

Hume kalaam ke sabhi ashar behad khoob lage..
Tah e dil se daad O mubarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye.. Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...


Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: October 01, 2011, 07:38:28 AM »
vah sunil bhai
kuch share karna chahta hu

Hamse barbadi ka jasn manaya na jayega
humse teri arthi ka bojh uthaya na jayega
marna hai to kahi aur jakar mar
humse teri mayyam ko dafnaya na jayega
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: October 01, 2011, 07:40:32 AM »
parwaaz bhai
mai ek bar aur sunil ki taraf se shukriya ada karta hu.
apki comments pad ke mujhe bahut kuch seekhne ko mila.
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #5 on: October 02, 2011, 06:50:05 AM »
thnks mkv ,,,,unique creation ,,,,,,
i have few words ,,,pls let me allow to express
jo utahyega bojh arthi ka shayad woh tu nahi
jo jashn manayega mere marne ka shayad woh tu nahi
tika hai mere khuwabon ka marrassim jis par
koi sahjada aur hai shayad woh tu nahi
jab baqt aayega rukhshat ka to kandha lagayega 
woh bheed mai se koi ek hai shayad woh tu nahi 
parwaaz bhai
mai ek bar aur sunil ki taraf se shukriya ada karta hu.
apki comments pad ke mujhe bahut kuch seekhne ko mila.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:56:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer