Ansoo Bane Lafz..

by Prashant_Orissa on October 21, 2006, 09:36:25 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2781 times)
Prashant_Orissa
Guest
Panese khone ka maza aur hai,
Band ankhon me rone ka maza aur hai,

Ansoo bane lafz aur lafz bane gazal,
Aur uss gazal me tere hone ka maza aur hai..[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jaanbujh kar nasamaj bane bathy hai by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 12 13 »
Aap dost bane ho es hayat main by abida sifar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
ham aapka dewane bane by sunil4lov in Shayri for Khumar -e- Ishq
Insaan Bane To Koi by syednaami in Shairy-E-Watan « 1 2 3  All »
*Lakshay Raah Bane* by Roja in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #1 on: October 21, 2006, 09:39:56 AM »
Khamosh raat ki pehlu me ye sitaren bejuban hai
kuchh tum sa anjaan hai kuchh mujh sa be-naam hai

Tammam umra ye sochta raha ye kaisa paheli hai
har kisi ke chehre pe yahan kaisa ye nakab hai

Kabhi sach me jhoot hai to kabhi jhoot me sachai hai
kaisa ye raaz hai yahan kaisa ye dil ka khel hai..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: October 21, 2006, 06:01:16 PM »
nices ones prashant...

welcome to yoindia buddy...


BenaaM Sa Ye Dard Theher Kyon Nahi Jaata!
Jo Beet Gaya Hai Wo Guzar Kyon Nahi Jaata!

Sab Kuch To Hai Kya Dhundti Hai Nigahein,
Kya Baat Hai Suraj Wakt Par Ghar Kyon Nai Jaata!

Wo Ek Hi Chehra To Nahi Saare Jahan Mein,
Jo Door Hai Wo Dil Se Utar Kyon Nahi Jaata!

Main Apni Hi Uljhi Hui Raahon Ka TaMasha,
Jaate Hai Jidhar Sab Man Udhar Kyon Nahi Jaata!

Wo NaaM Jo Na Jane Kab Se Na Chehre Na Badan Hai,
Wo Khwab Agar Hai To Bikhar Kyon Nahi Jaata!!!
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: October 21, 2006, 06:42:10 PM »
very  nice  Prashant...........Angel.......... ur welcome to Yoindia............ Prashant....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2006, 05:10:32 PM »
Thanks Waheeeeedddddddddddddd......


HaMari Mohabbat Par Wo Waqt Bhi Aaye Hai,
Khud Qatal Hue Aur Khud Qaatil Kehlaye Hai,

Roye To Hai Ruswai Chup Rehne Pe DaM Toote,
Phoolon Ke Haathon HuMne Wo ZakhaM Bhi Khaye Hai,

Apno Ki Mohabbat Ki Itni Si Haqeeqat Hai,
Jitna Bhi Gale Mile Utne Hi Paraye Hai,

Is Daur Me Bach Kar Bhi Kahan Jayein,
Jo Aag Barsate Hai Wo Apno Ke Hi Saaye Hai...
* * * * *
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #5 on: October 23, 2006, 11:06:35 AM »
Thanks a lot.. Angel and Waheed..


Suni jindagi tha anjan tha ye safar,
Safar me chalne ke liye mile ek HUMSAFAR,

HUMSAFAR se wo hamara har safar ki sathi hue,
Manzil ko talaste safar me chalte hi rahe,

Dhere dhere manzil duur se kareeb ane laga,
Dil me umange dhadkan bhi tej hone lage,

Dekhte dekhte ye mausam badal ne laga,
Badalte mausam se har taraf baris hone laga,

Ankhon ke ansoo bhi baris jaise lagne laga,

Dil jala arman jale khwab sare bikhar gaya,
Manzil jo duur tha kahin andheron me kho gaya,

Suni jindagi tha anjana tha ye safar ki anjam,
Pyar ko tarasta tha "Prashant" pyar ko tarasta hi reh gaya..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: October 23, 2006, 11:46:43 AM »
Prashant, Angel

Bahut he achcha likha hai aap dono ne !

Prashant aap ka Yoindia par swaagat hai !

Keep it up !

Rajbir
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #7 on: October 23, 2006, 02:53:35 PM »
Thank u Rajbir..U all r ek se badh kar ek..

Itna duur ja chuke ho ki bulane se darr lag raha hai,
Dil ki dard ko dil me hi dafna dena sahi lag raha hai,

Hume bhulane ke liye najane kya kya tum kar rahe ho,
Har ek ehsas ko tumhari andaz se ek naya naam jo de rahe ho,

Zaroori to nahin bhulne ke liye duur hi jana hota,
Safar me chalne ke liye rasta hi badalna padta,

Hum tumhare nahin hue to kya hua tum to hamre ho,
Hume dil se mita die to kya hua hamare dil me to ho,

Kuchh kahenge nahin kabhi puchhenge bhi nahin tum se,
Sadiyon se mere the tum aur sadiyon tak mere hi rahoge dil me,

Ladkhadate hue kadmo se phir bhi tumhe saath liye chal rahe hain,
Kap kapate hue hoton se ye aaj tumse kuchh keh rahe hain..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: October 23, 2006, 03:06:23 PM »
Quote from: "Prashant_Orissa"
Itna duur ja chuke ho ki bulane se darr lag raha hai,
Dil ki dard ko dil me hi dafna dena sahi lag raha hai,
..........
..........
Ladkhadate hue kadmo se phir bhi tumhe saath liye chal rahe hain,
Kap kapate hue hoton se ye aaj tumse kuchh keh rahe hain..


Prashant

Behtareen andaaz se dard ka izhaar kiya hai !

Keep going  :arrow:

Rajbir
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: October 23, 2006, 05:14:43 PM »
Thanks Bhaiya tongue3
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #10 on: October 23, 2006, 07:10:21 PM »
Thank u Rajbir jii..

Jo tumne socha tha woh sab kuchh karke dikha diye,
Dil me jo chahat tha usse pyar me badal ke dikha diye,

Hamari bebasi ko tumhari andaz me rang ke dikha diye,
Kuchh yaad rakhne ke liye bahut kuchh bhul ke dikha diye,

Tumhe maloom hai hum aise hain tumne mujhe tumsa bana ke dikha diye,
Phir bhi jo tum ne chaha hai wohi hua ye hum ne kar ke dikha diye..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: October 26, 2006, 05:25:21 AM »
Quote from: "Prashant_Orissa"
Thanks a lot.. Angel and Waheed..


Suni jindagi tha anjan tha ye safar,
Safar me chalne ke liye mile ek HUMSAFAR,

HUMSAFAR se wo hamara har safar ki sathi hue,
Manzil ko talaste safar me chalte hi rahe,

Dhere dhere manzil duur se kareeb ane laga,
Dil me umange dhadkan bhi tej hone lage,

Dekhte dekhte ye mausam badal ne laga,
Badalte mausam se har taraf baris hone laga,

Ankhon ke ansoo bhi baris jaise lagne laga,

Dil jala arman jale khwab sare bikhar gaya,
Manzil jo duur tha kahin andheron me kho gaya,

Suni jindagi tha anjana tha ye safar ki anjam,
Pyar ko tarasta tha "Prashant" pyar ko tarasta hi reh gaya..


wah wah PRASHANT BHAI... behad khubsoorat aur dard bhara kalaam
likha hai aapne... bahut khoob.............
YOINDIA par aapka swagat hai..................!!!!!!!!!

Aapse dil ko haar ke, is kadar khush hain ki aapki kasam,
tere dard ka hi bas sahara hai, warna mar gaye hote hum........!!!!!
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: October 26, 2006, 07:51:40 AM »
Vicky

Kya jawab diya hai !

Keep it up !

Rajbir
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: October 26, 2006, 07:59:21 AM »
shukriya RAJBIR BHAI............

aur aapnse sahi kaha........ behtreen shayar hain
PRASHANT JI..............
Logged
Prashant_Orissa
Guest
«Reply #14 on: October 26, 2006, 05:58:00 PM »
Hi VICKY ..Thanks ye dost..Baas kuchh likhney ki kosish kar raha hun yahan..
Thank u Rajbir jii ...Aap sabhi ke sath aur hoshla hi baas hai mere liye ...


Raat ke andheron me jab sara jahan soya karta tha
Khuli ankhon me adhure kuchh khwab maine dekha hai

Khamoshi ki darmiyan tale jab ye dil tadap raha tha
Pyar ki angan me phool ko khilte hue maine dekha hai

Kuchh sachhai kuchh jhoot me bani hui imaraten jab gir raha tha
Naye mukam pe naye makan ki buniyad bannte hue maine dekha hai

Jab pyar bebas aur haath ki lakeeren dhundla dhundla sa tha
Chahaton ko apney daman pe saja lene ki bekarari maine dekha hai

Rastey gumnam manzil anjaan jab sara ye jahan hairan tha
Naye rastey pe purani manzil tak kuchh kadmo ki nishani maine dekha hai

Dil me toofan zindagi benaam ankhon me jab phuhar tha
Dil ki irshad se nayi zindagi ko muskurate hue maine dekha hai

Yaad rakhne ki kuchh fasley pe bhul jane ki faryad jab hua karta tha
BEWAFAI ki rehguzar main wafa ki dava karte hue ek saks ko maine dekha hai..
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:16:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer