Nino
Guest
|
«Reply #30 on: September 21, 2004, 07:45:31 AM » |
|
Kasak ke alfaaz
uski yaad mein dekho hum kya karte hain bikhri hui zindagi mein deewaronse baatein karte hain dekha usse kal maine par woh ek chalava nikla meri kismat dekho jo mera tha woh paraya nikla
ye yaadein hi hai jiska sahra mila hai hume bich mahjdhar mein kinara mila hai hume hum to tasvur bhi nahi kar sakte unke anne ka sirf ek ehsass hai unke aane ka
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #31 on: September 21, 2004, 08:33:35 AM » |
|
Nice ones Nino!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #32 on: September 21, 2004, 09:52:24 AM » |
|
nice nino....talat...........
Wo mery Shab o roz sanwarny nahi deta Hallat ki sooli se uterny nahi deta
Ander se mujhy torr tta rehta hai maslsal Bahir se mager mujh ko bikherny nahi deta
Jangoo k azaaboon se drata bhe hai mujh ko Samjhota bhe dushman se wo kerny nahi deta
Rakhta hai lahoo germ mera uss ka tasawer Yakh basta hawaoon main Thetherny nahi deta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
yasir_sensitive
Guest
|
|
«Reply #33 on: September 21, 2004, 09:49:38 PM » |
|
AANSUO SE PALKE BHIGO LETA HOON... YAAD TERI AATI HAI TO RO LETA HOON... SOCHA KI BHULA DUN TUJHE MAGAR.. HAR BAAR FAISLA BADAL DETA HUN...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #34 on: September 22, 2004, 04:55:57 AM » |
|
wah!!!! bahoot khoob all.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #35 on: September 22, 2004, 09:38:28 AM » |
|
Wah! Yasir...............Bahot Acchi Line Aap ne Likhi.........
HAR BAAR FAISLA BADAL DETA HUN...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #36 on: September 22, 2004, 09:40:04 AM » |
|
janaza rok kar mera woh is andaaz se bole gaali humne kahee thi tum to duniya chod jaate ho,.....................
|
|
|
Logged
|
|
|
|
yasir_sensitive
Guest
|
|
«Reply #37 on: September 23, 2004, 02:48:26 PM » |
|
ansoo bhetein rahain , apne par youn jaltein rahain dehke kar apnain qalam ke sath hum kuch youn likhte rahain
koun manega baat ab humary tumhary mehfil main justmohabat jaltain rahee qalam apni tara chalta rahain
saza ye kam nahi jaza ab or nahi khedoun tum bhi yaha khetee ho jese tum shahyar parwane se bhi kamm nahi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
yasir_sensitive
Guest
|
|
«Reply #38 on: September 23, 2004, 10:56:43 PM » |
|
In aankhon aur palkon ke beech kuch bhi tow nahi hai Mere aasuvon ke liye yeh safar lamba hai magar.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed_rose2004
Guest
|
|
«Reply #39 on: September 24, 2004, 11:30:42 AM » |
|
WAH!!!!!!!!! YASIR..............BAHOT KHOOB..........
Ai Gardish E Zamana Mujhay Aankhoon Mein Apni Dekh Main Hoon, Magar Yeh Khawaab Nahin Mere...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waheed
Guest
|
|
«Reply #40 on: September 24, 2004, 01:23:48 PM » |
|
nice work all
ab is zindagi mien kuch na raha sonchta hoon khud ko khatam kardoo per khuda ko kya kahoonga kaise moo dikhaonga
per ek baat yaaad rakhna carol main agar tumhaare liey mar sakta hoon toh main tumhaare liey kisi ko bhi maar sakta hoon
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pooja
Guest
|
|
«Reply #41 on: September 27, 2004, 08:54:45 PM » |
|
nice waheed, lagta hai ek aor category banani pregi ishaq-mai-qatal...
bas yahi sadma muje bar bar raha ban kar tera dost wo tamam umar mera rakib raha har pal usse marane ke liye, pal pal mai mara jab bhi yah baat man mai aai, bas ek tere lub ki muskaan dekh kar chup raha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #42 on: September 28, 2004, 04:05:31 AM » |
|
Wah! Pooja...
Rafeeqon se rakheeb achche jo jal kar naam lete hain Gulon se khar behtar hain jo daaman thaam lete hain! (NM)
Rafeeq=Dost Rakheeb=Dushman Gul=Phool Khaar=Kaanta
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nishita
Guest
|
|
«Reply #43 on: September 28, 2004, 08:40:03 AM » |
|
good all
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Nino
Guest
|
|
«Reply #44 on: September 28, 2004, 03:28:38 PM » |
|
Na rafeeqon ne saath diya na raqeebon se gila muhjko ye to kismat mein likha tha jo pyaar ka mila hai sila muhjko
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|