- Ansoon -

by Meena on July 27, 2005, 04:05:01 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1743 times)
Meena
Guest
dosto... dard aur ansowon ka rishta kuch ajeeb sa hai...issi ansowon pe maine ek poem likhi... :D

Dard ke garv me pal rahe te yeh ashk mere,
Par ankhon ki dehelez se humne inhe kabhi milaya hi nahin,

Jab raha nahin gaya gunamie me to bahar ki aur aye,
Rasta bhi unone chuna woh jo humne kabhi chaha hi nahin,

Mere tabassum se lar kar mer i ankhon me baith gaye,
Tak gaye phir jab hum, phir humne unko chupaya hi nahin,

Ek ek karke behene lage woh ankhon se mere,
Rokhna chahate ta unhe, jinhe humne kabhi bulaya hi nahin,

Chupke se hata diya unhe anpne galon se, ke koi dekh na le,
Phir se hum muskurane lage, jaise hume kisi ne kabhi rulaya hi nahin,

Kahi inhe bhi cheen na le yeh duniya wale humse,
Tanha hojayenge hum inke bina, jo kisi aur ka saath humne kabhi paya hi nahin!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUMARE ansoon .... by roshni246 in Shayri-E-Dard
Roker ansoon TO..... by nikss in Shayri-E-Dard
-AnsooN (A True Friend)- by HumTum in Shayri-E-Dard
Ansoon deyneywala muskan bhi deygaa by Abhishek thakur in Shayri-E-Dard
ANSOON KE DE GYA WO NAALE MUJE by Asghr in Shayri for Khumar -e- Ishq
HumTum
Guest
«Reply #1 on: July 27, 2005, 04:24:22 PM »
waah waah Meena ji .. mashaash allah .... khoob byaan kiye hai aap ne jazbaat ..... tabhi to hum aap ke har sher har gazal ke qaiil hai !! sari kalaam badi khubsuraat hai .. lekin yeh lines bahut achi hai !!

Ek ek karke behene lage woh ankhon se mere,
Rokhna chahate ta unhe, jinhe humne kabhi bulaya hi nahin


ik hum hai ke mar gaye teri judai mein ro ro ke har shab
ik tu hai itni zalim ke muuh se mere kafan uthaya bhi nahin


aap ke jasisa to nhi likh paunga mohtrama lekin phir bhi chen sher arz hai .. mulaiza farmaiye !!

zinda tha mai to kadar jaani nahi
ab maut ke aagosh se bulate ho kyon

waqt rahta nahi sada achchha yaa bura
kuch sambhal lo aansu sare bahate ho kyon

sangdil tum nahi bevafa bhi nahi fir is mod par
sath chalne se ghabrate ho kyon

ye kya abhi shikaytein ki hi kahan hain
tum abhi se Ruthh ke dikhate ho kyon

Aakhri mulakat pe dekh lo jee bhar ke
naa fir mil paayenge aankh churate ho kyon

tera naam hi kafi hai baichain karne ko
mujhe saare kisse mujhe yaad dilate ho kyon
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: July 27, 2005, 04:27:13 PM »
Quote from: "Meena"
dosto... dard aur ansowon ka rishta kuch ajeeb sa hai...issi ansowon pe maine ek poem likhi... :D

Dard ke garv me pal rahe te yeh ashk mere,
Par ankhon ki dehelez se humne inhe kabhi milaya hi nahin,

Jab raha nahin gaya gunamie me to bahar ki aur aye,
Rasta bhi unone chuna woh jo humne kabhi chaha hi nahin,

Mere tabassum se lar kar mer i ankhon me baith gaye,
Tak gaye phir jab hum, phir humne unko chupaya hi nahin,

Ek ek karke behene lage woh ankhon se mere,
Rokhna chahate ta unhe, jinhe humne kabhi bulaya hi nahin,

Chupke se hata diya unhe anpne galon se, ke koi dekh na le,
Phir se hum muskurane lage, jaise hume kisi ne kabhi rulaya hi nahin,

Kahi inhe bhi cheen na le yeh duniya wale humse,
Tanha hojayenge hum inke bina, jo kisi aur ka saath humne kabhi paya hi nahin!


wow  .................kya baat  hai  meenu..............every  words  is  very touching...............very   nice................:oops:

yeh  ask  tumhare  dekh  meri  aankhen  num  ho  gayee
kaun sa  dard  hai  jisne tumhein aaj itna  rulaaya  hai
ho  jaayega  fanah  yeh shaher  agar tumne askon ko  roka nahi
bata  de  mujhko  kisne  tere seene mein kaanta chubhaya hai.............
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: July 27, 2005, 04:35:28 PM »
wow meena sis,bohat hi deep wordings hain,excellent humtum and waheed Usual Smile .
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: July 27, 2005, 04:48:28 PM »
shukriya humtum jio, waheed and nidhi kuddiye!!

humtum...aap to khud bohot hi super duper likhte ho aur yeh apki poem to bohot hi zada achi lagi mujhe!!!! kaise likh lete ho itna acha?  :D

waheed...yaar bohot acha likhna tumne bhi...touching as usual!!  :D

aap dono ne itna acha likha to kuch meri taraf se bhi:

askh bahane kismat me likha hai,
tabhi to yeh pani bahate hai,
kuch humari muskurahat pe hi zinda hai,
ro kar unka bhi dil dukhate hai,
bohot rokhna chahate hai par rukhte nahin yeh ansoon,
jane kyu bar bar aa kar hume yeh kyu itna satate hai!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: July 27, 2005, 04:58:21 PM »
wah meena,bohat khoob Usual Smile

"Kehne wale keh jaate hain ashqon ko paani,
      koi kya samjhe hai ye ishq hi yaara rawani,
      nasamajh ham nahi,na ye duniya hai nasamajh,
      har koi lekin jaanta nahi,ashkon ke peeche chupi kahani."
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: July 27, 2005, 05:04:40 PM »
thanx nidhi tum to kamal ka likhti ho!!!!!!!

ashkon se likhna chaha chehre pe apni kahani ko,
par kya kare, pani ke lafz de so behe gaye,
dard ki aag bhi buj na payi is samundar se,
rakh hogaye dil jab to bar kuch zakhm hi rehe gaye!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: July 27, 2005, 05:14:00 PM »
Thanxxxxxxx  alot  meenu.............vey  nice.........Nidhi........meenu...........hum tum.......sabhi  logon ne  bahot hi accha likha...... tongue3

main kya  likhunga  aap  logon  ke saamne  lekin  try karta  hoon......

le gaya cheen kar kaun mera chain  va karaar
ai "Waheed" itna  udaas  too kabhi aise nahin tha...
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: July 27, 2005, 05:15:09 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
Thanxxxxxxx  alot  meenu.............vey  nice.........Nidhi........meenu...........hum tum.......sabhi  logon ne  bahot hi accha likha...... tongue3

main kya  likhunga  aap  logon  ke saamne  lekin  try karta  hoon......

le gaya cheen kar kaun mera chain  va karaar
ai "Waheed" itna  udaas  too kabhi aise nahin tha...


thank u waheed and nice one again!!

 :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #9 on: July 27, 2005, 05:20:55 PM »
thanks dear.....u too great :thumb:

"Rahe sahe zakhmon ko kuredne wo aaj bhi aa jate hain,
 nahi samajhte wo,kya kayamat hampe dhaa jaate hain,
 mere saamne khilkhilaakar hanste ho tum,
 mere ashkon pe reham kar lena kabhi to,
 jo hai mere paas teri hi di hui nishaani hai,
 samajh lena dil ko mere kabhi to............"
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: July 27, 2005, 05:32:06 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
wah meena,bohat khoob Usual Smile

"Kehne wale keh jaate hain ashqon ko paani,
      koi kya samjhe hai ye ishq hi yaara rawani,
      nasamajh ham nahi,na ye duniya hai nasamajh,
      har koi lekin jaanta nahi,ashkon ke peeche chupi kahani."


bahoot khoob nidhi ji ....


ghum e duraan mein yeh sougat hai ishq ke ansooN
yhi to iss duniya mein diljalo ki pechchan hai
ishq ke dariya mein hi dubta hai har baar
kaseey samjhu isse yeh dil bda hi nadaan hai !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: July 27, 2005, 05:37:28 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
thanks dear.....you too great :thumb:

"Rahe sahe zakhmon ko kuredne wo aaj bhi aa jate hain,
 nahi samajhte wo,kya kayamat hampe dhaa jaate hain,
 mere saamne khilkhilaakar hanste ho tum,
 mere ashkon pe reham kar lena kabhi to,
 jo hai mere paas teri hi di hui nishaani hai,
 samajh lena dil ko mere kabhi to............"


Thanxxxxxxxxxxx Meenu............Nidhi...................tongue3

wonderfullllllllllllll   Nidhi............bahot  khoob........

meri  saanson  ki  mahakti heu  khusboo  tum  ho
ab  na  sonchenge  kabhi  hum na  tumhare siwa
jo  meri  rooh ko  jaga de aisi cheez  tum  ho
kabhi  jannat  ki  bhi khwahis na karunga tumhare siwa.................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #12 on: July 27, 2005, 05:49:42 PM »
thanx humtum and waheed Usual Smile .

Bohat khoob humtum and waheed,kya baat keh di .

"Na jannat ki khwahish hai mujhe,veerane hi rehne do,
 jo ek baar jaag gayi main,na jaane kya ho jaaye phir,
 acha hoga mere toote is dil ko tum toota hi rehne do."
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #13 on: July 27, 2005, 05:58:02 PM »
Wah sab na kya khoob likha hai........................good work u all!!!!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: July 28, 2005, 02:15:18 AM »
Wah Meena bohat khoob..... baaqi sab ne bhi bohat acha likha...

Aaj phir chasm-e-numm se harf-e-dua likha hai
Manzoor Aandhiyon ki guzar mein lafz diya likha hai
Sab chaahatein uss se mansoob kar ke
Main ne khud ko akser tanha likha hai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:20:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer