Ao sunaoon tumhe apni Zindagi ki dastaan

by ~princess~ on December 23, 2007, 08:46:51 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2370 times)
~princess~
Guest
Zindagi ne kayi naye chehre har roz dikhaye the
ismein zyada humne udaasi k lamhe hi bitaye the
ek pal khushi phir humesha tanhai mein rona tha
Jawani k din humne mohobbat-e-dard mein bitaye the

Tumne to ki hogi sirf yun dil lagi khabi kisi gair se
Hum to Apno ki nafrat ke sataye the
Reza reza dil hua tha aur asuon ki barsaat hui
Ik shaam jhonke jab unki bewafai k paigam laye the

Tuta hua dil bhi humne rakha tha pairon mein unke
Aj bhi yaad hai hume wo pal bebasi ka
Jab wo un tukdon ko renk kar mushkuraye the
Ao Suno meri zindagi mein kaise kaise mausam aye the

Humse kaha tha usne karlo shikwa kal waqt mile na mile
Sach hoga khabi yeh aise khyal bhi khabi na aye the
Humne muthi mein bandi thi yaadein jeene k liye
Waqt ki leher mein us khushi ko bhi baha kar aye the

Le chalo hume aye maut k farishton is duniya se
Jawani mein humne isi dua ki tabdili ko haath uthaye the
Mohobbat na karna k yehi hai meri halaat ki waje
Isi galti mein dil tham humne har shaam ansun bahaye the




~Roshni~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: December 23, 2007, 09:43:08 PM »
Roshu

Excellent ! Bahut khoob !

Aaj kal har taraf shayari barsa rahi ho !

Keep going !
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #2 on: December 24, 2007, 04:10:25 AM »
e dost na baha tu aasu or na ho tu udaas,
kabhi to hogi tere jiwaan mai bhi yeh saawan ki barsaat,
kayo tu dukhi hota hai jab hamare jese dost hai tere saath,
are ek hi to dost rutha hai, jindagi jine ke shik le soo bahane or sahi.
Love/Prem
Logged
mask
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2007, 06:23:32 AM »
bahut sundar Roshni ji..
really like these lines:
Reza reza dil hua tha aur asuon ki barsaat hui
Ik shaam jhonke jab unki bewafai k paigam laye the

Zindagi ne kayi naye chehre har roz dikhaye the
ismein zyada humne udaasi k lamhe hi bitaye the
ek pal khushi phir humesha tanhai mein rona tha
Jawani k din humne mohobbat-e-dard mein bitaye the

Tumne to ki hogi sirf yun dil lagi khabi kisi gair se
Hum to Apno ki nafrat ke sataye the
Reza reza dil hua tha aur asuon ki barsaat hui
Ik shaam jhonke jab unki bewafai k paigam laye the

Tuta hua dil bhi humne rakha tha pairon mein unke
Aj bhi yaad hai hume wo pal bebasi ka
Jab wo un tukdon ko renk kar mushkuraye the
Ao Suno meri zindagi mein kaise kaise mausam aye the

Humse kaha tha usne karlo shikwa kal waqt mile na mile
Sach hoga khabi yeh aise khyal bhi khabi na aye the
Humne muthi mein bandi thi yaadein jeene k liye
Waqt ki leher mein us khushi ko bhi baha kar aye the

Le chalo hume aye maut k farishton is duniya se
Jawani mein humne isi dua ki tabdili ko haath uthaye the
Mohobbat na karna k yehi hai meri halaat ki waje
Isi galti mein dil tham humne har shaam ansun bahaye the




~Roshni~

Logged
prmchawla
Guest
«Reply #4 on: December 24, 2007, 10:25:21 AM »
g8 majid
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2007, 10:31:01 AM »
Majid

Bahut achche !

Good reply to Roshu !
Logged
~princess~
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2007, 11:39:30 AM »
Lage Raho........

Gham Andhera Hai! Roshni! kya Hai !!
Mujh Se Mat Poocho Zindagi Kya Hai !!

Ek Parbat Hai Mera Dil..e..Dost
Phir Bhi Aankhon Main Ye Nami Kya Hai !!

Kk Lamha Bhi Ek Sadi Sa Lagta Hai
Gar Na Maloom Ho Khushi Kya Hai

Rasme Duniya Hai So Nibhate chalein
Fir Mat Soche Ye Shiqwe Gile Kya Hain !!

maine likhi hai Ye Nazm Aahon Se
Mujhe Nahi Pata Ye Shayeri Kya Hai.!!



aye haye kya baat hai jawab dungi sabar
Logged
~princess~
Guest
«Reply #7 on: December 24, 2007, 04:11:39 PM »
Majid sahab apka reply Winking

Koi do pal is dard se chutkara dila do hume
Akele jiye hai sadiyon se koi behla do hume

Rang kya hai kya hoti hai Noor e Zindagi
Ek pal k liye hi wo ehsaas se mila do hume

Hum gham ke maare hai Chaht k sataye hai
Padjad ka mausam hatakar koi phool sa khila do hume

Umar bhar Jaagi hain yeh ankhein kisi k intezar mein
Koi akar ab humesha k liye chain se sulaa do hume

Zakhm hare the to koi na aya Marham lagane ko
Lillah ab maut k liye do ghunt zeher hi pila do hume


~Roshni~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 24, 2007, 04:28:17 PM »
Zindagi ne kayi naye chehre har roz dikhaye the
ismein zyada humne udaasi k lamhe hi bitaye the
ek pal khushi phir humesha tanhai mein rona tha
Jawani k din humne mohobbat-e-dard mein bitaye the

Tumne to ki hogi sirf yun dil lagi khabi kisi gair se
Hum to Apno ki nafrat ke sataye the
Reza reza dil hua tha aur asuon ki barsaat hui
Ik shaam jhonke jab unki bewafai k paigam laye the

Tuta hua dil bhi humne rakha tha pairon mein unke
Aj bhi yaad hai hume wo pal bebasi ka
Jab wo un tukdon ko renk kar mushkuraye the
Ao Suno meri zindagi mein kaise kaise mausam aye the

Humse kaha tha usne karlo shikwa kal waqt mile na mile
Sach hoga khabi yeh aise khyal bhi khabi na aye the
Humne muthi mein bandi thi yaadein jeene k liye
Waqt ki leher mein us khushi ko bhi baha kar aye the

Le chalo hume aye maut k farishton is duniya se
Jawani mein humne isi dua ki tabdili ko haath uthaye the
Mohobbat na karna k yehi hai meri halaat ki waje
Isi galti mein dil tham humne har shaam ansun bahaye the




~Roshni~


BAHUT BAHUT KHOOB.DIL SE LIKHA HAI ROSHNI AAPNE..BAHUT KHOOB
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 24, 2007, 04:29:40 PM »
Lage Raho........

Gham Andhera Hai! Roshni! kya Hai !!
Mujh Se Mat Poocho Zindagi Kya Hai !!

Ek Parbat Hai Mera Dil..e..Dost
Phir Bhi Aankhon Main Ye Nami Kya Hai !!

Kk Lamha Bhi Ek Sadi Sa Lagta Hai
Gar Na Maloom Ho Khushi Kya Hai

Rasme Duniya Hai So Nibhate chalein
Fir Mat Soche Ye Shiqwe Gile Kya Hain !!

maine likhi hai Ye Nazm Aahon Se
Mujhe Nahi Pata Ye Shayeri Kya Hai.!!


BAHUT KHOOB MAJID BHAI...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2007, 07:01:42 PM »
thanks a lot khwaish ji par aap bhi kuch likhte to sikhne ka mauka milta
Logged
~princess~
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2007, 11:57:37 AM »
oye monkey merko thx kyu nai bola be Grin Grin


Jalti reyt par hum unko pane ko chalte rahe
Har zakm si kar phir bhi mushkurate rahe

tu kya jaane kitna chupte hai tute dil k tukde
Phir bhi chun kar unhe tujhse hi tudwate rahe

Lechal hawa wahan jahan sitam dhame ki rasm na ho
Hum iltaja har lamha hawaon se bhi karte rahe

sannata mere kamre ka meri dastan sunata hai
Apna kamra bhi bewafa hua teri yad bar bar dilate rahe


~Roshni~
Logged
Anu Mirza
Guest
«Reply #12 on: December 26, 2007, 10:02:21 AM »
Hello Roshni Ji, Aap ki Poety "Ao sunaon tumhe apni zindagi ki dastann" bahot acchi hai... very nice keep going
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: December 26, 2007, 05:03:35 PM »
Roshni & Majid you both are rocking.... Very good...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2007, 07:53:13 PM »
thanks anu ji and rojaaaaaaaaaaaa
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:14:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer