Apna Begana

by Meena on April 09, 2005, 08:09:23 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 4806 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #30 on: June 26, 2005, 05:17:12 PM »
Quote from: "bond"
waah  bahut achhe meena, nidhi n nikki...........................
Thanx nikki sis and bond.Very nice nikki sis Usual Smile

"Maut naseeb hui hai aaj mere khwabon ko,
  uspar se uski zindagi ki nayi shuruaat thhi,
  kaise sambhaalti main apne ashkon ko,
  din dooba kab?mere liye to ye raat thhi."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
desh begana by yog in Miscellaneous Shayri
Aarzoo Se Begana by Roja in Miscellaneous Shayri
Ho geya wo begana by faisal314 in Ghazals
begana by sanchit in Shayri for Khumar -e- Ishq
Aaj wo RAAJ begana ho gaya hai by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
nikki
Guest
«Reply #31 on: June 26, 2005, 05:18:48 PM »
thanx Bond...............................

yeh tokde hain dil ke
jo bikhar jaya karte hain
hum hi nasamjh the
jo enhe jodne ki koshish mein lage rahe

yeh to dard hai dil ka zubaan par aa jaata hai
warna hum kab haal-e-dil bayan karte hain
Logged
bond
Guest
«Reply #32 on: June 26, 2005, 05:22:28 PM »
bahut khoob nidhi......

din dooba hai to raat ko to aana hi tha
tum gaye,tumhari yaad ko to aana hi tha
majnu,ranjha.... bas naam badalte rahe
har baar jalne waala to parwaana hi tha
Logged
nikki
Guest
«Reply #33 on: June 26, 2005, 05:29:31 PM »
bahut khoob...bond n Nidhi sis.....................................

mausam wahi hai, saal badal gaye hain
dil waise hi hain, dildaar badal gaye hain
Logged
bond
Guest
«Reply #34 on: June 26, 2005, 05:35:00 PM »
good one....

pyaar ke mausam ka bas
 yahi fasaana hota hai
pehle dil ka lagana hota hai
fir aansu barsaana hota hai
iss taraf dewaani roti hai
uss taraf dewaana rota hai
Logged
nikki
Guest
«Reply #35 on: June 26, 2005, 05:38:28 PM »
nice.....

gamon ka to zindagi mein aana jaana hota hai
koi dard mein hasta, to koi rota hai
Logged
bond
Guest
«Reply #36 on: June 26, 2005, 05:42:49 PM »
good.....

aah nikalti hai munh se uski
dard mujhey jaab hota hai
meri aankhoon ke aansuu ko
woh apni aankhoin se rota hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #37 on: June 26, 2005, 05:45:35 PM »
thanx nikki sis and bond Usual Smile .Dono ne ekdam chaukas likha hai Winking

"Mausam ka kya kahein,yahan insaan badal jaate hain,
 pal do pal me logon ke armaan badal jaate hain,
 kisse kahani banke yahan insaan ke afsaane reh jaate hain,
 marte hain log,par pyaar me kya kuch seh jaate hain."
Logged
bond
Guest
«Reply #38 on: June 26, 2005, 05:49:39 PM »
grr88888...nidhi...

pyaar karne waale, jaane kaise pyaar kar paatey hain
hum to sun kar naam pyaar ka,ghabrate hain darr jatey hain
kaise gum woh pi lete hain,kaise sadme seh jaate hain
jab dil mein rehne waale hi , dil ko tod chale jaatey hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #39 on: June 26, 2005, 05:55:23 PM »
Wah! Bohat khoob Meena, Nidhi, Nikki &  Bond....

Apno ne gham diye tau mujhe yaad aa gaya
Ik ajnabi jo ghiar tha, aur gham gusaar tha..
Logged
bond
Guest
«Reply #40 on: June 26, 2005, 05:59:05 PM »
thanx ARYAAN n bahut khoob

dil ko mere kisi pe aana hi  tha, to tujhpe mere yaar aa gaya...
gum diya tuney iss andaaz se, ke uspe bhi mujhey pyaar aa gaya
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #41 on: June 26, 2005, 06:12:26 PM »
Quote from: "Aryaan"
Wah! Bohat khoob Meena, Nidhi, Nikki &  Bond....

Apno ne gham diye tau mujhe yaad aa gaya
Ik ajnabi jo ghiar tha, aur gham gusaar tha..
thanx aryaan,bond and nikki sis Usual Smile
Logged
sanya310
Guest
«Reply #42 on: June 26, 2005, 07:11:56 PM »
Quote from: "Meena"
Aye Khuda yeh kaisi hai teri Khudayi,
Jisse hum apna samajhte hai aaj woh hi hum se begana hai,

Kabhi ek pal bhi uske bin guzara na tha,
Aab tamam umar dil ko akhele jeena sikhana hai,

Uss se wafa ke badle mila bhi to dil pe ek zakhm mila,
Us ki nishani ko zindaga rakhne ke liye usse sailab-e-ashk pilana hai,

Ladte rahe sada Khuda se uske saath ki khatir,
Aaj haar man kar, Khuda ki taqdeer ko jeetana hai,

Rooh to kab ka dam tood gayi, ek bewafa ke gum me,
Aab to bas is jism ko maut se milwana hai!!



wah wah Meena...kya khoob kaha hai! :D
Logged
Meena
Guest
«Reply #43 on: June 26, 2005, 07:23:56 PM »
thank u sanya....where have u been? ayi nahin!!!!!!!!

 :D
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 02:55:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer