<>*Apna humsafar paya hai*<>

by *KasaK*....Dil Ki on July 22, 2010, 06:53:28 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2016 times)
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #15 on: July 24, 2010, 11:49:44 AM »
good one kasak ji...

hume andhere se bahar koi laa nhi sakta,
khud se itna door hai ki koi hume paa nhi sakta.
tanhayiyan mili hume pyaar ki virasa mein,
inki bediyon se hume koi chuda nhi sakta..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #16 on: July 24, 2010, 12:01:06 PM »
bht khubbb....

ye bediyon ko chhudana koi mushhkil kaam nahin...
tumhe tumse churana koi mushkil kaam nahin

mere pyaar ka sar hai itna k tum khud  nahin jante
mujhse nazar mili to tera bach pana aasan nahin...
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #17 on: July 24, 2010, 12:16:04 PM »
bahut aache kasak ji..

ye bediyon ki ghutan to mujhe saans deti hai,
tanhayee mujhe apne dard ka ehsaash deti hai,
pyaar ka sar abhi humne bhi bada kiya tha lekin,
pyaar hi to aksar dard ko talaash deti hai...
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #18 on: July 24, 2010, 12:16:24 PM »
Wah wah kya baat hai......Anaamika-ji....Pasand aaya aapka ye logical jawaab...
"Saaye" ko bahut he naye andaaj se nawaajaa hai aapne.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Saaya andhero me khudko mitake hum me samaaya
Qurbaan khudko kar key ussne apnaapan jataaya


sahi kaha aapne Bhondu ji...
par mera manna hai....

andhere me saaya sath chhod deta nahin
wo humme hi kahin chhup jata hai

mita kar khudko hamare jism me
wo hume andhere se bahar le aata hai

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: July 26, 2010, 04:59:23 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob likha hai aapne Kasak ji... bahut sundar kavita likhi hai aaapne...!!!

aaj fir yunhi chalte chalte tujhse nazar mil gayi,
na chahte huye bhi meri raahon pe tu kyun mil gayi,

teri raah ko bhulaake main apni raah pe chal raha tha,
jaane kyun aaj fir meri raah teri raaahon se mil gayi,

bhool chuka tha mai tujhe, teri yaadon ko dil se mitaake,
par tu aaj phir ek jhalak dikha ke mujhko paagal kar gayi,

na to main tujhse nazrein mila paaya na hi nazrein churaa paya,
meri dushman nazrein khud se hi jaake teri nazron se mil gayi,

thi tu kisi aur ke sang khush, haathon me uska haath liye,
tabhi meri nazar tere maathe pe lagi sindoor pe pad gayi...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #20 on: July 26, 2010, 12:21:10 PM »
bht hi pyara likha hai aapne klaskar ji....words nahin mil rahe aage likhneko...par likhna hai...chaliye koshish karti hun...

kal achanak yunhi jab hum takra gaye
raahon me sare beete lamhe bikhar gaye

jin lamhon ko maine aankhon me qaid kar rakha tha
aaj wahi lamhe sabki nazaron me aagaye

dekh kar tumhe apni taraf dekhta
yadon pe pade jale bhi sare hut gaye

wahi nazar wahi pyaar wahi khud me sama lene ki chaah
aaj bhi wahi sabkuch teri aankhon me nazar agaye

hum kehna chahte the bht kuch tumse mere janu
lekin jab badhe tumhari aur to raahon me apne aagaye

thama diya unhone nanhe ka hath mere hathon me
aur hum uski ungli thaame fir ghar pe apne aagaye...!!!



Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #21 on: July 26, 2010, 12:26:13 PM »
Bahut khoobsurat aur umda mehfil jama rakkhi hai aap logon ne
Keep it up
Logged
veenavarsha
Guest
«Reply #22 on: July 26, 2010, 12:57:57 PM »
<>*Apna humsafar paya hai*<>

Aaj muddaton k baad unka deedar paya hai
Jo har pal meri aankhon me hi samaya hai

Dekh rahe hain wo mujhe chor nazar se
Jisne kabhi mujhpe unki hone ka haq jataya hai

Khamosh hain lub unke kehte nahin kuch mere samne
Aankhon me unki lekin ab bhi mera pyar hi samaya hai

Larajte honth aaj bhi karna chahte hain unse pyaar ka izhaar
Lekin kya kahen sath me mere kisi gair ka saaya hai

Main aaj bhi hun unki aur sirf unki rahungi har janam
Jisne mere naam k sath kisi aur ka naam sajaya hai

Hogi unki koi majburi k apna na paye wo mujhe
Lekin meri ruuh ne sirf unhi ko  apna humsafar paya hai...!!

badiya
 gairo ka saya,jiske usne kya apnaya hai
pyaar ko viswaas ko to bharmaya hi bharmaya hai
pyaar roshni jisme bharam kaha tik paya hai
apne hone ka hak, didaar se tabhi to kahlaya hai


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #23 on: July 27, 2010, 01:29:20 PM »
bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Bahut khoobsurat aur umda mehfil jama rakkhi hai aap logon ne
Keep it up
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #24 on: July 27, 2010, 01:31:07 PM »
shukriya Kasak ji.... aapne kahaa words nahi mil rahe kuch likhne ko... bina words ke itna pyaara likha hai agar words mil jaata to fir kya likhti aap... bahut bahut sundar shabdon me aapne apne haal ko bayaan kiya hai... bahut khoob...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wo beete huye lamhe jab tum bas hamaare the,
aur hum saari duniya bhulaake bas tumhaare the,

un yaadon ko seene se lagake jee lenge hum apni zindagi,
apne aansuon ko mitaa ke jee lenge hum apni zindagi,

samajh sakte hain hum bhi kya haal-e-dil hai tumhaara,
chaah ke bhi nahi thaam sakti ab tum haath hamaara,

ajeeb ye bandhan hain is jahaan ke, ajeeb dastoor hain,
yahi wajah hai ki itne kareeb hote huye bhi hum dur hain,

na to chaah ke tum meri ho sakti ho ab , na hum tumhaare,
bas ab to tumhaara saath na paake reh lenge yaadon ka sahaare,

yunhi kabhi socha na tha ki fir se mulakaat hogi tumse,
bas kuch hi duri pe hogi tum, aur baat tak na hogi tumse,

chalo achcha huwa jo tumhe unke saath dekh liya humne,
jo bachi kuch ummeeden thi wo bhi ab chhod hi humne,

karenge yahi duwa ki khush raho tum saath unka paake,
koshish karenga hum bhi jeene ki tumhaare yaadon ko bhulaake..
.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #25 on: July 27, 2010, 05:02:42 PM »
sad5 sad5 sad5 ab kuch nahin kehna humko klaskar ji.....
 aapki tehreer ne sab keh diya....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: July 28, 2010, 02:25:16 AM »
Aisa kyun keh rahi hain Kasak ji... aap agar aisa kahenge to hum likhenge kaise fir... aapko dekh dekh hi to likh rahe hain...!!!

sad5 sad5 sad5 ab kuch nahin kehna humko klaskar ji.....
 aapki tehreer ne sab keh diya....

Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #27 on: July 30, 2010, 08:02:07 AM »
wo beete huye lamhe jab tum bas hamaare the,
aur hum saari duniya bhulaake bas tumhaare the,

un yaadon ko seene se lagake jee lenge hum apni zindagi,
apne aansuon ko mitaa ke jee lenge hum apni zindagi,

samajh sakte hain hum bhi kya haal-e-dil hai tumhaara,
chaah ke bhi nahi thaam sakti ab tum haath hamaara,

ajeeb ye bandhan hain is jahaan ke, ajeeb dastoor hain,
yahi wajah hai ki itne kareeb hote huye bhi hum dur hain,

na to chaah ke tum meri ho sakti ho ab , na hum tumhaare,
bas ab to tumhaara saath na paake reh lenge yaadon ka sahaare,

yunhi kabhi socha na tha ki fir se mulakaat hogi tumse,
bas kuch hi duri pe hogi tum, aur baat tak na hogi tumse,

chalo achcha huwa jo tumhe unke saath dekh liya humne,
jo bachi kuch ummeeden thi wo bhi ab chhod hi humne,

karenge yahi duwa ki khush raho tum saath unka paake,
koshish karenga hum bhi jeene ki tumhaare yaadon ko bhulaake..
bahut hi umda likha hai aapne ..klaskar ji...

koshish karunga jeene ki tumhari yaadon ko bhulake,
jub ki jaanta hu tumhari yaad hi jeene ka sahara hai..
koshis karunga kabbhi tumse mulakaat na ho,
jub ki tumse milna hi zindgi ka kinara hai...
koisis karunga kabhi tumhari awaaz na sun paaun,
jub ki us awaaz per hi dil ke sab saaz hai,
kosis karunga kabhi tum mera naam na lo,
per usko sunney ki dil ki awaaz hai...
kosis karunga kabhi tumhara naam mere lab per na aaye,
kyn ki meri mohabbat aaj bhi raaz hai hai.
khuda se chahunga teri mohabbat kerne ka haq na le,
is mohabbat per mujhe humesha se naaj hai...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #28 on: July 30, 2010, 11:47:10 AM »
bahut hi umda likha hai aapne ..klaskar ji...

koshish karunga jeene ki tumhari yaadon ko bhulake,
jub ki jaanta hu tumhari yaad hi jeene ka sahara hai..
koshis karunga kabbhi tumse mulakaat na ho,
jub ki tumse milna hi zindgi ka kinara hai...
koisis karunga kabhi tumhari awaaz na sun paaun,
jub ki us awaaz per hi dil ke sab saaz hai,
kosis karunga kabhi tum mera naam na lo,
per usko sunney ki dil ki awaaz hai...
kosis karunga kabhi tumhara naam mere lab per na aaye,
kyn ki meri mohabbat aaj bhi raaz hai hai.
khuda se chahunga teri mohabbat kerne ka haq na le,
is mohabbat per mujhe humesha se naaj hai...

ufffffff bhondu ji....ye kya likh gaye aap.....
itni khubsurti se ye tadap ye majbuuri keh gaye...dhundh rahe the shabd kuch kehne ko...aapki post se sare mil gaye...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #29 on: July 30, 2010, 12:30:41 PM »
bahut bahut shukriya Bhondu ji...aur aapne bhi bahut hi khoob likha hai...!!!

bahut hi umda likha hai aapne ..klaskar ji...

koshish karunga jeene ki tumhari yaadon ko bhulake,
jub ki jaanta hu tumhari yaad hi jeene ka sahara hai..
koshis karunga kabbhi tumse mulakaat na ho,
jub ki tumse milna hi zindgi ka kinara hai...
koisis karunga kabhi tumhari awaaz na sun paaun,
jub ki us awaaz per hi dil ke sab saaz hai,
kosis karunga kabhi tum mera naam na lo,
per usko sunney ki dil ki awaaz hai...
kosis karunga kabhi tumhara naam mere lab per na aaye,
kyn ki meri mohabbat aaj bhi raaz hai hai.
khuda se chahunga teri mohabbat kerne ka haq na le,
is mohabbat per mujhe humesha se naaj hai...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 02:36:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer