Apne Armano Ka Khoon Maaf Kiya.

by majid on November 26, 2008, 10:02:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 4375 times)
majid
Guest
Tanhaaiyon Main Teri Yaadon Ne Woh Kaam Kar Diya
Main Chup Raha Aur Khamoshi Ne Tera Naam Liya.

Phir Wahi Khat Aur Teri Tasveer Leke Baitha Raha Main
Bas Yahi Kaam Maine Aey Sanam Subah Shaam Kiya.

Tu Kisi Gair Ki Amanat Hai Magar Mere Dil Ke Kareeb Hai
Isme Tera Kya Kasoor Maine To Bas Ek Tarfa Pyaar Kiya.

Zindagi Guzrati Rahi Aur Main Bas Yun Hi Dekhta Raha
Ab Na Kehna Aey Janeman Ki Maine Tera Na Intazar Kiya.

Rahe Sada Khushi Aur Khilti Raho Tum Phoolon Ki Tarha
Aaj Aur Abhi Se Maine Apne Armaano Ka Khoon Maaf Kiya..


                       ~Shihab~
Logged
k.shael
Guest
«Reply #1 on: November 26, 2008, 10:07:46 AM »
WAH  Applause WAH  Applause WAH  Applause

SHIHAB JI...

KUA KHOOB AUR UMDA KALAAM NAZAR KIYA HAI...

BEHAD PYARA, DARD SE BHARA...

KEEP GOING,

BY. K.SHAEL
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: November 26, 2008, 10:20:20 AM »
Thank You So Mauch Shael Ji
Aap Bhi Kuch Likhte To Hume Sikhne Ko Milta
Khair Aapne Apna Kimti Waqt Diya Wahi Bohat Hai
Thnaks Ji....

SHUKRIYA SHIHAB JI,

AAPNE ITNE PYAR SE KAHA HAI TO KUCH LINES
LIKHNE KI KOSHISH HAI...

ITNA NA HAMNE KABHI KHUDA KO POOJA,
JITNA WAQT HAMNE TERI IBADAT ME SUBAH SHAAM
GUJAAR DIYA,

LOG TO BARSO BAAD BHI NAHI BHULAAYE JAATE,
PAR DEKH TUNE TO HAME EK PAL ME HI SARRI
ZINDAGI KE LIYE BHULA DIYA...
Logged
saloni bharani
Guest
«Reply #3 on: November 26, 2008, 11:30:48 AM »
bahut acha likha ha aap na
                                        saloni
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #4 on: November 26, 2008, 12:00:21 PM »
Tanhaaiyon Main Teri Yaadon Ne Woh Kaam Kar Diya
Main Chup Raha Aur Khamoshi Ne Tera Naam Liya.

Phir Wahi Khat Aur Teri Tasveer Leke Baitha Raha Main
Bus Yahi Kaam Maine.e.Sanam Subah Aur Shaam Kiya.

Tu Kisi Gair Ki Amanat Hai Magar Mere Dil Ke Kareeb Hai
Isme Tera Kya Kasoor Maine To Bus Ek Tarfa Pyaar Kiya.

Zindagi Guzrati Rahi Aur Main Bus Yun Hi Dekhta Raha
Ab Na Kehna.e.Jaaneman Ki Maine Tera Intazaar Na Kiya.

Rahe Sada Khushi Aur Khilti Raho Tum Phoolon Ki Tarha
Aaj Aur Abhi Se Maine Apne Armaano Ka Khoon Maaf Kiya..

Wakayi Aap Umda Shayar Hain
Bahoot Khoob Applause Applause Applause
Bahoot Khoob Applause Applause Applause
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: November 26, 2008, 03:28:20 PM »
are nahi sahab
itna aasani se aur safayi se apne alfaz bayan karna
har kisi ke liye aasan nahi hai
aur in alfazo ko jama kar likhna hi shayari me jaan daal deta hai

Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: November 27, 2008, 02:41:43 AM »
Bahut khoobsurat likha hia aapne SHIHAB ji...
keep it up...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: November 27, 2008, 04:57:44 AM »
bahoot khoob Shihab and Shally
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: November 29, 2008, 06:48:03 AM »
bahoot khoob Shihab and Shally

SHUKRIYA POOJA DIDI,
BY. K.SHAEL
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 29, 2008, 11:28:12 AM »
Bohat Badhiya Majid Bhai,.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: May 09, 2009, 01:31:57 AM »
very very nice shihab ji,
kya andaaz hai apke shayari likhne ka.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #11 on: May 10, 2009, 09:10:12 AM »
Waah Waah Waah......Bahut bahut khub Shihab ji...bade dil se likha lagta hai......Really too Gud...pehli baar aapka kalam padha.....sach me bahut bahut bahut umda peshkash hai.... Applause Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: May 10, 2009, 09:13:45 AM »
Bahut khoob Majid and dear Shally  Usual Smile
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #13 on: March 01, 2010, 10:47:44 AM »
 Clapping Smiley  Applause   Applause  icon_thumleft
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #14 on: March 01, 2010, 10:56:00 AM »
Waah Waah Kya baat hai .. Bahoot Bahoot Khoob Shihab ! Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:40:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer