Apne_______________Baadal

by baadal102 on May 12, 2010, 06:07:12 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 933 times)
baadal102
Guest
Kuch log mahobat ko aise bhi rushwa karte hai,
Duhai de ke apno ki katal wo apne yaar ka karte hai,

Karte rahte hai waade ki tum bin jinda nahi hai,
Lakin yaar apne ke saath marne se kyo wo darte hai,

Yaar ki nazar mai khud ko KHUDA bana to late hai,
Fir door reh ke us KHUDA ko ruswa kyo wo karte hai,

Jab apno ki chahat us kaatil ko itna lubhati hai,
Fir wo sachi ibadat use parayi mahsoos kyo hoti hai,

Jab pyar se bada koi rista nazro mai nahi hota hai,
Majburio ka naam le ke fir paraye kyo wo ho jaate hai,

Apne se jude har risto ka jab unhe itna khayal hota hai,
Dhoka de ke jhute wado ka pyar ko ruswa kyo wo karte hai,

Mat khelo ae kaatilo pyar ke naam pe ye jhuta khel,
Khud to rehte hai apno mai ghar us ka kyo wo ujad dete hai,

Khud to rehte hai apno mai ghar us ka kyo wo ujad dete hai............




Baadal
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2010, 06:17:15 AM »
awesome creation....... Clapping Smiley  Applause  icon_thumleft
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 12, 2010, 10:01:50 AM »
ab main kya kahun Baadal ji.... kuch bacha hi nahi likhne ko... kin shabdon se main aapke is kavita ki taarif karun... kitni sachchai hai aapke alfaazon mein... kitna dard hai... sach hi kaha hai apne apni majbooriyon ka bahana karke doosre ka dil kitni asaani se log tod dete hain...

"Khud to rehte hai apno mai ghar us ka kyo wo ujad dete hai"


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut bahut khoob baat kahi hai aapne...

agar nibha nahi sakte to kehte kyun ho ki hum mohabbat karte hain,
todte ho dil apno ka bedardi se aur kehte ho ki zamaane se darte hain...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: May 13, 2010, 05:24:23 AM »
Bahut umda peshkash hai aap ke Baadal Ji
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: May 13, 2010, 06:21:24 AM »
Wah bahut bahut khoob Baadal ji.great and mindblowing creation.lovely lines by Kapil ji, excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:19:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer