...~~Apni lash ko apney khandhe per~~...

by HumTum on May 14, 2005, 06:37:32 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1874 times)
HumTum
Guest

ek bikhri si zindagi ka bojh uthaye jaa rahe hai
Apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hai

tutta sa sheesha, murjhaye se phool, aur kuch yaadein
nishaniya bitey hue waqt ki hum sanjoye jaa rahe hai

jabh zindagi bikhri thi ushke solah tukde hue they
abh aanchal mein samet unhi ko uthaye jaa rahe hai

ush haadse ki yaadon mein kuch tabahiya milli hai
tabaahi ke us dariya mein hum khoye jaa rahe hai

armaan ban gaye aanshu, aur aanshu ki barsaat hai
ann mein bheege lamho ko aaj sukhaye jaa rahe hai

zindagi bhi lutt gayi aur khoya kya pucch rahe hai "HumTum"
dekho! apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hai


HumTum  sad5

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Checking Your Emotions - Why We Lash Out by Pooja in Inspirational Stories and real life Incidences.
yun dost saarey apney apney rastey badal gaey by sunny_bewafa in Shayri for Khumar -e- Ishq
Lash uthai logo ne by baldev1953 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Zinda Lash by tamanna1 in Shayri-E-Dard
Lash Parwane Ki by dksaxenabsnl in Share Poetry You Like
isha_verma7
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2005, 06:47:48 AM »
wah wah wah........kya baat hai .......OH MY GOD this is so nice.....so touching......just WOW, AMAZING dude......
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2005, 06:55:29 AM »
IN GHAMZADA ANKOO MEIN EK FARYAAD AYEE HAI
WAJA KUCH NAHEE BAS APNOO KE YAAD AYEE HAI
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2005, 06:57:03 AM »
Quote from: "isha_verma7"
wah wah wah........kya baat hai .......OH MY GOD this is so nice.....so touching......just WOW, AMAZING dude......


Shukriya Isha ji ....

jo Poochta Hai koi surkh ankhen hain kyon aaj
to anKh mal kar kehta ho raat sona saka
hazar chahon magar yeh keh na saKonga Kabhi
ke raat rone ki khuwahish thi magar ro na saKa...

HumTum sad5
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2005, 10:01:12 AM »
Quote from: "HumTum"
Quote from: "isha_verma7"
wah wah wah........kya baat hai .......OH MY GOD this is so nice.....so touching......just WOW, AMAZING dude......


Shukriya Isha ji ....

jo Poochta Hai koi surkh ankhen hain kyon aaj
to anKh mal kar kehta ho raat sona saka
hazar chahon magar yeh keh na saKonga Kabhi
ke raat rone ki khuwahish thi magar ro na saKa...

HumTum sad5
good HUmtum

tuh kiski yaad main rone ki khwaish rakhta hai
vo tuh khamosh hai sab jaan ke bhi, teri aur takta hai
ki kyun karta hai tuh beaabru khudko zamane ke samane Humtum
ki tera chahne wla tuh bas teri barbadi ki khwaisah rakhta hai
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2005, 10:26:51 AM »
nice humtum , sandhyaa!!

Jinki yaad main hum deewane ho gyee.
vo hum hi se begaane ho gye..
shayad unhe talaash hai ab naye dost ki..
kyunki unki nazar mein ab hum purane ho gyee..!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2005, 10:52:29 AM »
Quote from: "thelostworld"
nice humtum , sandhyaa!!

Jinki yaad main hum deewane ho gyee.
vo hum hi se begaane ho gye..
shayad unhe talaash hai ab naye dost ki..
kyunki unki nazar mein ab hum purane ho gyee..!!
sukhriya lostworld ji

teri duniya main aaye tera karam tha
tujhe chaha humne ye dil ka karam tha
vo bhi chahenge hume ye ajib sa mera baram tha
tutta ye baram uss wakt humara Humtum
kisi aur ki bahaon main khusi se chala gaya jab humara sanam tha
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2005, 04:06:16 PM »
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "HumTum"
Quote from: "isha_verma7"
wah wah wah........kya baat hai .......OH MY GOD this is so nice.....so touching......just WOW, AMAZING dude......


Shukriya Isha ji ....

jo Poochta Hai koi surkh ankhen hain kyon aaj
to anKh mal kar kehta ho raat sona saka
hazar chahon magar yeh keh na saKonga Kabhi
ke raat rone ki khuwahish thi magar ro na saKa...

HumTum sad5
good HUmtum

tuh kiski yaad main rone ki khwaish rakhta hai
vo tuh khamosh hai sab jaan ke bhi, teri aur takta hai
ki kyun karta hai tuh beaabru khudko zamane ke samane Humtum
ki tera chahne wla tuh bas teri barbadi ki khwaisah rakhta hai


shu kha apney Sandhaya ji ...

gar woh rakhta hai khwaish hamey rulaney ki
to hum bhi uski khawish pe jee sadkey rolengey
daag de gya jo damaan ko mere "HumTum"
gira ke Ansoon un daagooN ko dho lengey  sad5
Logged
HumTum
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2005, 04:08:25 PM »
Quote from: "thelostworld"
nice humtum , sandhyaa!!

Jinki yaad main hum deewane ho gyee.
vo hum hi se begaane ho gye..
shayad unhe talaash hai ab naye dost ki..
kyunki unki nazar mein ab hum purane ho gyee..!!


Shukriya ji .....

jise legayi hai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka...
Kahen anso'on se mita hua, kahen anso'on se liKha hua!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: May 14, 2005, 04:10:51 PM »
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "thelostworld"
nice humtum , sandhyaa!!

Jinki yaad main hum deewane ho gyee.
vo hum hi se begaane ho gye..
shayad unhe talaash hai ab naye dost ki..
kyunki unki nazar mein ab hum purane ho gyee..!!
sukhriya lostworld ji

teri duniya main aaye tera karam tha
tujhe chaha humne ye dil ka karam tha
vo bhi chahenge hume ye ajib sa mera baram tha
tutta ye baram uss wakt humara Humtum
kisi aur ki bahaon main khusi se chala gaya jab humara sanam tha


Sandhaya ji ....

qadam qadam Pe waqt ka ataab deKhte hoye
guzargaye hai zindagi azab dekhte hoye
kahen ghamon ka tazkara kahen dukhon ki dastaan
mien rodiya Hayat ki kitab dekhte hoye....  sad5
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: May 14, 2005, 06:14:59 PM »
wah humtum,bohat khoob,sandhaya,lostworld,naveed everyone is too good.
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #11 on: May 14, 2005, 06:54:08 PM »
wah wah wah goes to all ........u guys r WONDERFUL!!!!!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #12 on: May 14, 2005, 09:34:13 PM »
Thanx NIDHI dear.................


SACHA HAI AGAR PYAAR MERA SANAM
HOGE JAHAN TUM VAHA HONGE HUM
YEH DAR KAHE BHI AGAR JAYE KAM
JAB BHI PUKAARON SADA DENGE HUM.....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: May 15, 2005, 06:35:23 AM »
Shukriya   Nidhi Ji n Isha Ji  !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
vitasta
Guest
«Reply #14 on: May 15, 2005, 10:00:21 AM »
Quote from: "HumTum"

ek bikhri si zindagi ka bojh uthaye jaa rahe hai
Apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hai

tutta sa sheesha, murjhaye se phool, aur kuch yaadein
nishaniya bitey hue waqt ki hum sanjoye jaa rahe hai

jabh zindagi bikhri thi ushke solah tukde hue they
abh aanchal mein samet unhi ko uthaye jaa rahe hai

ush haadse ki yaadon mein kuch tabahiya milli hai
tabaahi ke us dariya mein hum khoye jaa rahe hai

armaan ban gaye aanshu, aur aanshu ki barsaat hai
ann mein bheege lamho ko aaj sukhaye jaa rahe hai

zindagi bhi lutt gayi aur khoya kya pucch rahe hai "HumTum"
dekho! apni laash ko apne kaandhe per dhoye jaa rahe hai


HumTum  sad5

bahut hi achcha likha hai humtum its really nice and touching......
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:25:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer