Apni Socho se

by Pooja on March 02, 2007, 07:36:54 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Author  (Read 4152 times)
Pooja
Guest
Bhird se lagta hai dar, kahin bhatak main jaati hu
Tanhaai ka rasta hai sidha, tanhaai mai araam paati hu

Jara si bhi ho awaz, preshan ab main ho jaati hu
Apne deemag ki awazo main hi, skoon jaise paati hu

Ghanto baithi ek jagah per, na jaane kaya sochi jaati hu
Kaise ho gaya itna kuch, na jaane kaya kaya khud ko samjhati hu

Duniya ki itani bhird-bhard, dekh kar bas yahi soche jaati hu
Kayun mera nahi koi apna, apni socho se dil ko lahu ke ansoo rulaati hu
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zara Socho by Safi Yani in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Marz ab ho rahaa hai laailaaj: socho to! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
zaraa socho...(K_A) by khamosh_aawaaz in Ghazals « 1 2  All »
yu na socho ki mai udaas hu....... by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Socho uss pe kya guzri hogi by Iftakhar Ahmad in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
FAREE
Guest
«Reply #1 on: March 02, 2007, 08:39:11 PM »

love5 :flower:   angel8  love4 love9   :heart:  sad11  :heart:  color  :heart:  sad11  :heart:  color  :heart: sad11  :heart: love9   love4  angel8  :flower:  love5


Acha Intkhab hai






aapni khushi ko roote hai
hum jindagii ko rotee hai

gaamoo kee dhaagee main has has kee
aakhoo kee motii pirootey hai

Jinkoo miltii nahi yee duniyaa..
Wo phir kis jaha kee hootee hai?


Matlab paratii kee bazaar main
Hum to bas sikee khootey hai

Dostii kaa lihaaz to dekhoo
Khanjaar peeth main chuboteey hai


Aab to wahii hai skoon mujkoo
Mithu chaal Do-gaaz Zamii main sootey hai




love5 :flower:   angel8  love4 love9   :heart:  sad11  :heart:  color  :heart:  sad11  :heart:  color  :heart: sad11  :heart: love9   love4  angel8  :flower:  love5


Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: March 03, 2007, 10:00:05 PM »
Good One Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 04, 2007, 04:59:11 AM »
Thanks Aryaan and Faree!!
Nice one Faree
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: March 04, 2007, 05:26:28 AM »
Quote from: "Pooja"
Bhird se lagta hai dar, kahin bhatak main jaati hu
Tanhaai ka rasta hai sidha, tanhaai mai araam paati hu

Jara si bhi ho awaz, preshan ab main ho jaati hu
Apne deemag ki awazo main hi, skoon jaise paati hu

Ghanto baithi ek jagah per, na jaane kaya sochi jaati hu
Kaise ho gaya itna kuch, na jaane kaya kaya khud ko samjhati hu

Duniya ki itani bhird-bhard, dekh kar bas yahi soche jaati hu
Kayun mera nahi koi apna, apni socho se dil ko lahu ke ansoo rulaati hu


Bahut khoob likha hai aapne pooja. Daad kabul kijiyega[/color]
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: March 04, 2007, 05:59:06 AM »
bohaat achha likha hai aapne pooja... Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 04, 2007, 08:53:31 PM »
Thanks Roja and BD!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: March 05, 2007, 05:33:08 PM »
Wonderful Pooja ji.
No words to praise Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: March 05, 2007, 05:40:49 PM »
Thanka Angle!!

Soch mai gheeri ek raat,
raat mai hoti hai ajeeb baat
her taraf ek chup ka sannatta
sannatte ki apni hoti hai ek awaz

Sunti hu jab bhi in awazo ko’
Khayalo mai bhatak mai jaati hu
Chonk kar phir dekhu main waqat
Her kuch thuma sa phir paati hu

Tik tik gardi (clock) ki awaaz,
dhadkan ki awaaz se milati hu
dono hi chal rahe hai agar
kayun zindagi ko thuma sa paati hu
Logged
Chands
Guest
«Reply #9 on: March 06, 2007, 01:32:53 AM »
bahot khoob poojaji..

both yr creations r really gud..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: March 06, 2007, 06:11:43 PM »
Shukaria Chand ji, apka yoindia mai sawagat hai!!

Sochati hu door kahin jaaya jaaye
Sabse alag kahin ghar basaya jaaye

Apni tanhaai ko saja kar soonepan mai
Khud ko baar baar rulaaya jaaye

Ansou mai dard ghool kar jata hai beh
Yah dhoka khud ko phir se dilaya jaaye

Kuch bhi nahi hai such jab is jamane main
Kyun na apni hasti ko bhi jhuthlaya jaaye!!!!
Logged
paani
Guest
«Reply #11 on: March 08, 2007, 04:39:46 AM »
Bhaut ache pooja ji
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #12 on: March 12, 2007, 01:50:36 AM »
Nice one again Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: March 13, 2007, 04:40:22 PM »
Shukaria PAANI and Aryaan ji!!!

sochati hu soch ka dard hi bada hota hai
warna duniya main kon kaha kisi ka hota hai

Socha kisi ko apna, socha ki hum payaar kar baithe
Socho apni mai hi, ek payaar ka mehal bana baithe

Khayalo ki yah duniya, soch kaha se kaha le jaati hai
Haqiqat se kitani door, insaan ko pahuncha jaati hai

Haqiqat jab soch se takraati hai,
wo hi soch phir rula jaati hai

Sochati hu, Soch ka hi dard bada hota hai
warna kon kaha duniya main kisi ka hota hai!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: March 15, 2007, 03:14:39 PM »
Quote from: "Pooja"
Bhird se lagta hai dar, kahin bhatak main jaati hu
Tanhaai ka rasta hai sidha, tanhaai mai araam paati hu

Jara si bhi ho awaz, preshan ab main ho jaati hu
Apne deemag ki awazo main hi, skoon jaise paati hu

Ghanto baithi ek jagah per, na jaane kaya sochi jaati hu
Kaise ho gaya itna kuch, na jaane kaya kaya khud ko samjhati hu

Duniya ki itani bhird-bhard, dekh kar bas yahi soche jaati hu
Kayun mera nahi koi apna, apni socho se dil ko lahu ke ansoo rulaati hu


Bahut-Bahut Khoob POOJA ji..... Humesha ki Tarah is Baar bhi Behtreen
likha hai Aapne...... Behad Khubsoorat kalaam hai.....!!!!!! Usual Smile Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:16:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer