Apni Socho se

by Pooja on March 02, 2007, 07:36:54 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Author  (Read 4176 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: March 20, 2007, 06:29:59 PM »
bahoot khoob

ek uske payaar ke siwa jaanu na kuch aor
bolu ka uske siwa, pata nahi kuch bhi aor
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zara Socho by Safi Yani in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Marz ab ho rahaa hai laailaaj: socho to! by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
zaraa socho...(K_A) by khamosh_aawaaz in Ghazals « 1 2  All »
yu na socho ki mai udaas hu....... by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Socho uss pe kya guzri hogi by Iftakhar Ahmad in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
niraj_191
Guest
«Reply #31 on: March 20, 2007, 06:37:32 PM »
ab unhe dekhenge nahi , ye dil par chalta nahi unka zor
deedar jo unka hua, dil ne kaha thodi der aor (2)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: March 20, 2007, 07:03:41 PM »
bahoot khoob!!

dekh kar unko, ab to, sirf ashaq hai bah jaate
unki yah berukhi, jakham kuch aor gahre hote jaate
Logged
Pooja
Guest
«Reply #33 on: March 23, 2007, 04:18:28 AM »
khayalo main jab wo meri atte hai
ansuo ke badal, gahra jaate hai

nahi hai wo is layak yah janati hu main
magar khayal kaha kab ruk paate hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: April 04, 2007, 07:22:39 PM »
Apni Soch se, kab kaha, koi galat hota hai
Magar kismat ka likha kis ko pata hota hai

Louti hu ajj wahin, jahan se safar shuru hota hai
Waqat se lard lo jitna bhi, hota hai wahi, jo hona hota hai

Armaano ki holi main, dafan, dil ka lahu rota hai
Apni jeet per, wo shakas, door khara, tamshaibeen hota hai

Apni Soch se, kab kaha, koi galat hota hai
Magar kismat ka likha kis ko pata hota hai
Logged
paani
Guest
«Reply #35 on: April 05, 2007, 05:25:28 AM »
Quote from: "Pooja"
Apni Soch se, kab kaha, koi galat hota hai
Magar kismat ka likha kis ko pata hota hai

Louti hu ajj wahin, jahan se safar shuru hota hai
Waqat se lard lo jitna bhi, hota hai wahi, jo hona hota hai

Armaano ki holi main, dafan, dil ka lahu rota hai
Apni jeet per, wo shakas, door khara, tamshaibeen hota hai

Apni Soch se, kab kaha, koi galat hota hai
Magar kismat ka likha kis ko pata hota hai


Sahi kaha pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: April 05, 2007, 12:36:17 PM »
Shukaria Paani ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: April 13, 2007, 04:19:27 PM »
Apni socho mai ulajh gai hu
Na jaane kaha pahunch gai hu

Socho mai chaye hai kale badal
Ansoo ki Barsaat main bheeg gai hu

Jitana sochu, utna tadpu
Jitna tadpu utani socho mai doob gai hu

Apni socho mai ulajh gai hu
Na jaane kaha pahunch gai hu
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #38 on: April 13, 2007, 04:24:20 PM »
aapni soch mein aaise bhi kya tum ulaj gayi
sath chalte hum-raahi ko peeche chord gayi

kaise vishwas ko tinka tinka bikhera tumne
har apna vaada kiya hua,khud hi tord gayi
Logged
Roja
Guest
«Reply #39 on: April 14, 2007, 05:38:54 PM »
Quote from: "Burniing Desiires"
aapni soch mein aaise bhi kya tum ulaj gayi
sath chalte hum-raahi ko peeche chord gayi

kaise vishwas ko tinka tinka bikhera tumne
har apna vaada kiya hua,khud hi tord gayi


wah wah bahut khoob jawab hai ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: April 14, 2007, 08:24:59 PM »
bahoot khoob BD JI,....

NAHI CHORA KISI KO PICHE
BAS SOCHNE KI BAAT HAI

CHAL RAHE HAI RASTE SATH SATH
SIRF DIL SE DEKHNE KI BAAT HAI

TORA NAHI KOI WADA
AJJ BHI WAFA KA SATH HAI

NAJAR SE NA TU KABHI GIRANA
IS DUNIYA MAI EK TERA HI TO SATH HAI
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #41 on: April 15, 2007, 04:38:29 AM »
Quote from: "Roja"
Quote from: "Burniing Desiires"
aapni soch mein aaise bhi kya tum ulaj gayi
sath chalte hum-raahi ko peeche chord gayi

kaise vishwas ko tinka tinka bikhera tumne
har apna vaada kiya hua,khud hi tord gayi


wah wah bahut khoob jawab hai ...


Thanks
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #42 on: April 15, 2007, 04:42:38 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob BD JI,....

NAHI CHORA KISI KO PICHE
BAS SOCHNE KI BAAT HAI

CHAL RAHE HAI RASTE SATH SATH
SIRF DIL SE DEKHNE KI BAAT HAI

TORA NAHI KOI WADA
AJJ BHI WAFA KA SATH HAI

NAJAR SE NA TU KABHI GIRANA
IS DUNIYA MAI EK TERA HI TO SATH HAI



Ankhein band,dhadkan tujhse hai abb jord layi
sach-jhooth tu jane,maine apni kismat tujh pe chord di

Qatal kar,ya de mujhe aapna payar bhara anchal
maine saare jaag se abb,har umeed hai mord layi....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: April 15, 2007, 07:53:47 AM »
bahoot khoob BD JI....

Ankhon mai hai nami
dhadkanp par magar ikhtiyaar hai

dil ajj bhi sirf tera
tujhi se mujhko payaar hai

kismat banai Rub ne
dil per jakham hajaar hai

Qatal kiya her baar armaano ka
phir bhi dil mai payaar hai

Umeend per kayam hai duniya
apne per ajj bhi wo hi Vishwaas hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: May 09, 2007, 06:01:31 PM »
Karu tujhko khud se juda
Tere hi liye phir rou main
Kaya hai man main mere
Khud hi yah sochu main !!!

Na sung tere gujara
Na bin tere gujara
Kaya karu jatan
Kaise yah chakarview torru main !!!

Socho mai ghira her pal
Her pal Dard main siskata hua
Kyun hota hai aise jeevan main
Bas yahi ab to sochu main !!!

Karu tujhko khud se juda
Tere hi liye phir rou main
Kaya hai man main mere
Khud hi yah sochu main !!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:43:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer