Ashaar Mere Yun To Zamaane Ke Liye Hain,.

by Jaanasheen on May 11, 2009, 09:05:33 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 5057 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile

ashaar mere yun to zamaane ke liye hain
kuch sher faqat unko sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahi theek ki har dard mita dein
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khvaab to palkon pe sajaane ke liye hain

dekhuun tere haathon ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahziib badan ki
varna to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

_____________________________-Not Mine,.

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2009, 09:09:22 AM »
Very nIce Sharing Azeem.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 11, 2009, 09:12:27 AM »
Shukriya Sophi,.
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2009, 09:37:41 AM »
Kya khoob ghazal pesh ki hai Azeem
Kafi pahile ye ghazal padhi ya suni thi phir dhyan se utar gai
Aapne badi achchhi rachna yaad dila di
Is ghazal ka har ashaar ek moti hai, beshkimti hai
KUCHH DARD KALEJE SE LAGANE KE LIYE HAIN
Yahi hai ek shayar ka hunar ki lafzon ka jadoo sar chadhkar bole.
Very very nice Azeem.
SARVESH RASTOGI
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2009, 09:45:13 AM »
Nice sharing Azeem
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: May 11, 2009, 09:50:23 AM »
Shukriya Sarvesh Bhaiya, And Talat Didi,.

Thank U,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: May 11, 2009, 10:02:25 AM »
Bada khoobsurat kalam Marhoom Jan Nissar Akhtar Saheb ka share kiya hain tumne chote "Khuda unhe jannat ata kare" unhi ka ek aur kalam share kar raha hu....

ham se bhaagaa na karo duur Gazaalo.n kii tarah
hamane chaahaa hai tumhe.n chaahane vaalo.n kii tarah

Khud-ba-Khud nii.nd-sii aa.Nkho.n me.n ghulii jaatii hai
mahakii mahakii hai shab-e-Gam tere baalo.n kii tarah

aur kyaa is se zyaadaa ko_ii narmii baratuu.N
dil ke zaKhmo.n ko chhuaa hai tere gaalo.n kii tarah

aur to mujh ko milaa kyaa merii mehanat kaa silaa
cha.nd sikke hai.n mere haath me.n chhaalo.n kii tarah

zindagii jis ko teraa pyaar milaa vo jaane
ham to naakaam rahe chaahane vaalo.n kii tarah

Jan Nissar Akhtar
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 11, 2009, 10:45:36 AM »
Mashallah Ek Aur Achchi Sharing Ki Hai Aapne, Akhtar Ji Ki,.
Allah Kareem Unhe Jannat Bakshe,.
Aameen,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: May 11, 2009, 11:40:28 AM »
Yahi to khoobsurti hain Chote hamare Yoindians ki, ke hum apne khoobsurat kalam share karne ke sath sath Azeem shayro ke kalam bhi post karte hain aur unke kalamo ko zinda rakhte hain.......Khuda Yoindians ka yeh jazba kayem rakhe AAMEEN.

fursat-e-kaar faqat chaar gha.Dii hai yaaro
ye na socho ke abhii umr pa.Dii hai yaaro


apane taariik makaano.n se to baahar jhaa.Nko
zindagii shammaa liye dar pe kha.Dii hai yaaro


unake bin jii ke dikhaa de.nge chalo yuu.N hii sahii
baat itanii sii hai ke zid aan pa.Dii hai yaaro


faasalaa cha.nd qadam kaa hai manaa le.n chal kar
subah aa_ii hai magar duur kha.Dii hai yaaro


kis kii dahaliiz pe le jaake sajaauu.N is ko
biich raste me.n ko_ii laash pa.Dii hai yaaro

jab bhii chaahe.nge zamaane ko badal Daale.nge
sirf kahane ke liye baat ba.Dii hai yaaro


-Jan Nissar Akhtar-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: May 11, 2009, 11:44:31 AM »
Aameen, Sahi Farmaaya Aapne,.
Allah Sab Ko KHushi Bakshe,.

And Nice Sharing Again Brother, Bohat Zabardast Hai,.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #10 on: May 11, 2009, 12:08:53 PM »
Nice sharing Dear Azeem ....

Nice sharing by u too Ghayel Ji...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 11, 2009, 12:16:10 PM »
Nice sharing Dear Azeem ....

Nice sharing by u too Ghayel Ji...

Shukriya Shweta
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #12 on: May 11, 2009, 12:34:41 PM »
Aaj wakai is thread per maza aa gaya.  Jan Nissar Sahib ki itani khubsurat teen ghazalen ek saath mil gain.  Normally to time nahin milta books dekhne ka per jab samne computer per itni great rachnaen readily available hon to samay nikaal hi liya jata hai. 
Very nice Ghayal Ji, very nice Azeem Ji, aap logo ne tabiet khush kar di.
Ghayal Ji "Gazaalon" word ka meaning explain kar den to meri jankari me izafa ho jayega.
SARVESH RASTOGI
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: May 11, 2009, 10:16:46 PM »
very nice sharing azeem nd sajid sahab dil khush ho gaya............


aakho.n mein bas ke dil mai sama kar chale gaye
khaabeeda zindagi thi jaga kar chale gaye

chehre tak aastin wo laakar chale gaye
kyaa raaz tha ke jis ko chupa kar chale gaye

rag rag mai is tarhan wo sama kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujh se churaakar chale gaye

aaye the dil ki piyaas bhujhaane ke waaste
ik aag sii wo aur laga kar chale gaye

lab thar-thara ke reh gaye lakin wo ey jigar
jaate huway nigaah mila kar chale gaye

   (poetry by jigar muradabaadi)
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: May 11, 2009, 10:19:42 PM »

ashaar mere yun to zamaane ke liye hain
kuch sher faqat unko sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahi theek ki har dard mita dein
kuch dard kaleje se lagaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanton se chubhenge
ye khvaab to palkon pe sajaane ke liye hain

dekhuun tere haathon ko to lagata hai tere haath
mandir mein faqat deep jalaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahziib badan ki
varna to badan aag bujhaane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaabein
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

_____________________________-Not Mine,.



THANKS FOR SHARING!! Gulam Ali ji ki awaz main yah Gazal suno.. wow kaya gaya hai unhonene!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 03:00:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer