ashk***************

by Naya_Daur on November 01, 2006, 06:47:01 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1967 times)
Naya_Daur
Guest
di hai saughaat ajj phirse tumNe ashKon ki
Na Bhoola paunga dastaan teri in zulamo ki

laggi hai chott,rounga jee bhar ajj
par awaaz na hogi meri in siskyon ki

mashroof ho jo tum,toh mashroof hi rehna
na tumhein hai mera sath ek bhi sath gawara

jee lunga main bhi,aapni tanhai mein
JEET ko na jarorrat rahi abb kissi ke sahare ki...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ashk by nishita in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
******ASHK****** by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ashk Nadaamat Ke by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ashk.....,, by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Naya_Daur
Guest
«Reply #1 on: November 01, 2006, 06:50:50 AM »
karta raha mehboob mera
ta.umar sath ke jhoothe vadde
JEET na samjh paya unka
Vadde karne ka hunar.....

sabar toh mujhe tha bahoot
sehta rehta tera har ilzaam
yu hath chordna teri majboori sahi
ya meri mohabbat hi hai be-Asar
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: November 01, 2006, 06:58:42 AM »
wwwooooowwww very nice Jeet  bhai,,,,,,
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: November 01, 2006, 07:02:10 AM »
na jane kyo chae aaye hai aansu meri aankho mai
na jane kyo phir se tu yaad aaya mujhe tanha palo mai

jeeta to mai the un bhi gamo ke saaye mai
na jane kyon aaj mai roya tere intezaar mai

maut ka karta raha mai intezaar ma saari umar
na jane kyo tera chera yaad aya aye zindgi maut ko samne dekh......
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: November 01, 2006, 07:13:24 AM »
Quote from: "vikas2210"
na jane kyo chae aaye hai aansu meri aankho mai
na jane kyo phir se tu yaad aaya mujhe tanha palo mai

jeeta to mai the un bhi gamo ke saaye mai
na jane kyon aaj mai roya tere intezaar mai

maut ka karta raha mai intezaar ma saari umar
na jane kyo tera chera yaad aya aye zindgi maut ko samne dekh......


thanks

Mil jaye agar pata tujhe 'Vikas',batana
hai mud'dat se talash mujhe maut ki

bahoot jee liye hain hum,
abb kahwaish mujhe hai marne ki

dil ki nagari doondne nikale the hum
pathar ke bhuton* se raha saho.kar mujhe

Thakk gaya hu in Bojil saanson ka bhoj dhote dhote
bhikhar gaya hai JEET,ban ke kathputli majbooriyon ki

*bhuton=statue
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2006, 07:23:08 AM »
Nice one again Jeet Bahi


Pathar dil walo ke shahar mai
hum sheehaye dil liye phirte hai
Har chot pe hum tut ke bikhar jate hai
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2006, 07:29:20 AM »
Quote from: "vikas2210"
Nice one again Jeet Bahi


Pathar dil walo ke shahar mai
hum sheehaye dil liye phirte hai
Har chot pe hum tut ke bikhar jate hai


kya baat hai ....

pathar dil walo,jitna chahe ajmalo
kabhi toh tuttoge tum bhi,kissi pathar ki chot se....
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #7 on: November 01, 2006, 07:54:57 AM »
wah wah wah bahut khoob.......

apne hi tod sakte the hume
gairon main kaha dum tha
ki thi mohabaat humne jisse
dard dene ka dum bhi ussi mai tha
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2006, 06:05:00 PM »

Isse Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Aye Dost HuM Juda Ho Jayein,

Tu Bhi Heere Se Ban Gaya Patthar,
HuM Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,

HuM Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
Aur Kahin Aur Mubtala Ho Jayein,

Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
Khaak Ho Jayein KeeMiya Ho Jayein,

Ab Ke Gar Tu Mile To HuM Tujhse,
Aise Liptein Tera Qaba Ho Jayein,

Bandagi HuMne Chhod Di Hai SanaM,
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein...{NM}
* * * * *
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #9 on: November 02, 2006, 06:04:55 AM »
very nice jeet and vikas...................

  kabhi tanhaiyon me tum jab yun ghut se jaaoge
koi na chain jab hoga koi aahat nahi hogi
na kuch achcha lagega jab tab bas us ik pal ko
zehan ki band vo khidaki zara si khol dena tum
jise tumne kiya tha band jab tum ham se bichhade the
mera vaada hai meri yaad foran ud ke aaegi
tumhari sari bechaini vo apne saath lejaegi
tumhe phir yaad aaega koi tum pe yun marta tha
ki ik din me hazaron baar tumko yaad karta tha
tasalli tumko tab hogi hamare ashq sochoge
koi tum ko tha yun chahta zara tum yaad kar loge
tumhe phir ranj na hoga kisiko tum kyun rote ho
tasalli ek ye hogi koi tumko bhi rota hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2006, 05:47:24 AM »

Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi,
Jaante The Sab Hai Mujhe Pehchanta Koi Nahi,

HuM Ne Khud Se Paida Kiye Hai Zindagi Mein Masle,
Warna Sachi Baat Ye Hai Masla Koi Nahi,

Khudkushi Bhi JurM Hai Aur Udasi Bhi MujriM,
Kaun Kis Mushkil Mein Hai Ye Dekhta Koi Nahi,

Saaf Lafzon Mein Hai Ye Ab Mizaj-E-Dosti,
Rabta Hia Shak Hai Sab Se Waasta Koi Nahi...
* * * * *
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #11 on: November 04, 2006, 06:22:25 AM »
Quote from: "angel4u"

Aashna Hote Hue Bhi Aashna Koi Nahi,
Jaante The Sab Hai Mujhe Pehchanta Koi Nahi,

HuM Ne Khud Se Paida Kiye Hai Zindagi Mein Masle,
Warna Sachi Baat Ye Hai Masla Koi Nahi,


yeh lines khoob kahi .... bohat hi achhi...
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #12 on: November 06, 2006, 07:15:39 PM »
Ek ansu tha jo gir gaya
mitti mein mil kar kho gaya
na gila kijiye zamane se JEET
kismat mein tha jo wo ho gaya
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: November 07, 2006, 01:54:23 PM »
nice!!

haton ki lakeeron ko aab mitane ki koshish nahin hoti,
ke jo milna tha taqdeer se woh humne pa hi liya,
jaghaye  te bohot kabhi umeedo ke diye "Meena",
par khud apne haton se aab har ek diya buja hi diya!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: November 07, 2006, 05:08:09 PM »
Bahut achhe meena ji and jeet ji. thanks jeet ji


HuM Hijr Ke Raaste Par Safar Kar Nahi Sakte,
Ek LaMha Tere Bina Basar Kar Nahi Sakte,

Wo Aakhri LaMho Mein Mujhe Maang Raha Hai,
Ye Waqt Aisa Ke Guzar Kar Nahi Sakte,

Khud Haath Se Apne Use Khona Hi Padega,
Ye Zabt Bhi Karna Hai Magar Kar Nahi Sakte,

Yun Apni Nigahon Ko Chhura Lete Hai Tujhse,
Ke Dil Ke Iraadon Ki Khabar Kar Nahi Sakte,

TuM Khwab Jalate Rahe HuM Aaj Tak Chup The,
Ab Dilke Yun Jalne Par Sabar Kar Nahi Sakte,

Ye Aankh Andheron Mein Hai Pyaas Ka Sehra,
Is Noor Ke Dariya Par Nazar Kar Nahi Sakte,

Har Chand Ke Meri Aankh Mein Aansu Hai Larazte
Jalte Hue Shole Is Par Asar Kar Nahi Sakte,

Ab Chahein Bandh Lenge TuMhe Apni Nazar Se,
HuM Isliye Khuda Se Khafa Ho Nahi Sakte...
* * * * *
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:34:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer