******ASHK******

by baadal102 on January 20, 2008, 03:54:07 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1986 times)
baadal102
Guest
Ashk jab bhi gire un ke hi aanchal pe gire,
Har ashk ko ponch ke wo khud ro pade,

Kehte the hum se roya na karo,
Ye kehte-kehte wo khud ro pade,

Ye ashk kimti hai inhe na bahao,
Ye samjhate hue wo khud ro pade,

Wada karte hai aap se kabhi na rulayenge,
Wada karte hue wo khud ro pade,

Hum samjhte hai apne ko gunahgaar,
Ye batate hue wo khud ro pade,

Ashko ke baarish yu hoti rahe,
Or wo use mai bhig ke khud ro pade,

Wada kiya tha jo unhone kabhi na rulane ka,
Use wade ko yaad ker ke BAADAL aaj khud hi ro pade.


Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ashk by nishita in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
ashk*************** by Naya_Daur in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ashk... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Ashk Nadaamat Ke by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ashk.....,, by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Roja
Guest
«Reply #1 on: January 20, 2008, 04:35:34 PM »
Quote
Ashko ke baarish yu hoti rahe,
Or wo use mai bhig ke khud ro pade,

Wada kiya tha jo unhone kabhi na rulane ka,
Use wade ko yaad ker ke BAADAL aaj khud hi ro pade.

Wah bahut khoob. bahut accha likha hai aapne Baadal ji.

Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: January 21, 2008, 11:01:35 AM »
Bahot khoob baadal ji..

kabhi ashq mere girne se dil unka rota tha
dard unko hota tha..

ashq na bahane ki jo kabhi kasam diya karta tha
aaj mere ashqon k peeche uska hi haath tha..

jo mere hothon pe ek muskan k liye tarasta tha
aaj zakhm dene me uska hi haath tha...

dard kya hai mujhe nahi pata tha..
aaj dard hi dard..shayad yahi naseeb me likha tha..
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: January 21, 2008, 11:30:08 AM »
Thanx a lot for reply punam ji
Ek choti se koshis mere taref se...


Naseeb mai jo Ashk de gaye,
Wo gair nahi sirf mere apne the,

Girne se Ashk hota tha dard jinhe,
Wo gair nahi sirf mere apne the,

Na rulane ki jo kasme dete the,
Wo gair nahi sirf mere apne the,

Hothon se hanshi chin-ne wale,
Wo gair nahi sirf mere apne the,

Zakhm aisa diya ki nasoor ban gaya,
Wo zakhm dene wale gair nahi sirf mere apne the,

Naseeb mai mere the sirf khushiyan,
Unhe chin-ne wale gair nahi sirf mere apne the.

Ashk dene wale gair nahi BAADAL ke apne the...
Ashk dene wale gair nahi BAADAL ke apne the...


Baadal

Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: January 21, 2008, 11:34:31 AM »
Bahot khoob likha aap ne baadal ji...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: January 21, 2008, 11:39:56 AM »
thanx punam ji lakin mujhe to iss ke reply ka intzaar hai aap ki taref se.


Baadal
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: January 21, 2008, 12:03:20 PM »
Bohat acha likha hai punam aur baadal ji..

Ashk toh humne bahaye hai bohat..
Unki yaadein ne sataya hai bohat..

Aur kya karein iss bojh se zindagi hai bohat..
Nazar aayeeghi humhe unki ruswa-e-mohabatt..

Jeevan mein kya paaya hai kya koh jayee. ..
Tumhare siva humare hai kon  ....

Gili mithi ki tarah hum bandhe hai tujse..
Aur aasuon ki sailab na dilao..

Kasam liya hai meine na toh dunghi yei vachan..
Chahe toh imtihan deh dhu yah ekrar karoon..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #7 on: January 21, 2008, 12:06:26 PM »
Very Touching... Well written Baadal...
Good Replies Punam and HoneyRose...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: January 21, 2008, 12:07:47 PM »
thanx rose ji & shikha ji

Baadal
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: January 22, 2008, 05:46:34 AM »
thanx punam ji lakin mujhe to iss ke reply ka intzaar hai aap ki taref se.


Baadal

well baadal ji ..chalo kuch likh toh di pata nahi aap ko kaisa lagega..

ashq poch kar mujhe hasane wala
aaj ashq k samandar me mujhe dubo ke chal diya..

usne dil lagane ka mujhe yeh tohfa diya
aankhon me ashq dil me dard diya...

mere dil ne ashqon ko zuban diya
dard ko ashq k roop me behne diya..
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2008, 06:00:41 AM »
Bohat acha reply hai punam.. Usual Smile
Logged
punam
Guest
«Reply #11 on: January 22, 2008, 06:20:26 AM »
Thanx di...
Logged
baadal102
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2008, 07:49:43 AM »
Ashk bahte rahe dard kam hota raha,
Safar-e-zindgee yu kam hota raha,

Dil un ka intzaar karta raha,
Daaman hamara yu hi bhigta raha,

Kabhi zakhm mai to kabhi dil mai dard badta raha,
Baadal us dard ko Ashko se kam karta raha,

Saath ta-umar ashko ka hi raha,
Intzaar mai safar-e-zindgee yu hi kam hota raha....




Baadal
 


 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: January 23, 2008, 12:41:59 AM »
bahoot khoob baadal ji!! bahoot hi acha likha hai apne!!
Good one Punam and Honeyrose!!!!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #14 on: January 23, 2008, 10:29:59 AM »
Thanx pooja ji
but aap ka reply kaha hai


Baadal
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:37:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer