******ASHK******

by baadal102 on January 20, 2008, 03:54:07 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1954 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: January 23, 2008, 06:56:50 PM »
Bahot khoob baadal ji..

kabhi ashq mere girne se dil unka rota tha
dard unko hota tha..

ashq na bahane ki jo kabhi kasam diya karta tha
aaj mere ashqon k peeche uska hi haath tha..

jo mere hothon pe ek muskan k liye tarasta tha
aaj zakhm dene me uska hi haath tha...

dard kya hai mujhe nahi pata tha..
aaj dard hi dard..shayad yahi naseeb me likha tha..


Mere ashko ka dard ajj bhi hota to hoga’
Dekh kar meri tasveer wo bhi rota to hoga
Kasam khaye jaaye chahe wo jitani
Mere naam le le kar ashako se khud ko bhigota wo hoga!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ashk by nishita in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
ashk*************** by Naya_Daur in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ashk... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Ashk Nadaamat Ke by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Ashk.....,, by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #16 on: January 23, 2008, 06:57:13 PM »
Ashk jab bhi gire un ke hi aanchal pe gire,
Har ashk ko ponch ke wo khud ro pade,

Kehte the hum se roya na karo,
Ye kehte-kehte wo khud ro pade,

Ye ashk kimti hai inhe na bahao,
Ye samjhate hue wo khud ro pade,

Wada karte hai aap se kabhi na rulayenge,
Wada karte hue wo khud ro pade,

Hum samjhte hai apne ko gunahgaar,
Ye batate hue wo khud ro pade,

Ashko ke baarish yu hoti rahe,
Or wo use mai bhig ke khud ro pade,

Wada kiya tha jo unhone kabhi na rulane ka,
Use wade ko yaad ker ke BAADAL aaj khud hi ro pade.


Baadal

Ashaq girte the unke humare anchal per
Chah kar bhi unhe chup karaya na gaya

Kahna chahte the na roya karo
Shabdo ko lubo per na laay agaya

Samjh hi na paaye khud hum jab
Unko bhi na kuch samjhaya gaya

Wada lete bhi to kaya lete
Jab khud se wada na nibhaya gaya

Khud ko gunahgaar bana dala
Phir bhi na unko chup Baraya gaya

Ro parde jab hum to wo seham gaye
Ro ro kar unhe chup Baraya gaya!!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #17 on: January 24, 2008, 11:44:05 AM »
bahut aache pooja ji wah
choti se koshis ye bhi


Mere ashko ka dard ajj bhi hota to hoga’
Dekh kar meri tasveer wo bhi rota to hoga
Kasam khaye jaaye chahe wo jitani
Mere naam le le kar ashako se khud ko bhigota wo hoga!!





Simat ke apne mai ashk chupate hai hum,
Dekh un ki tasveer ashk girate hai hum,
Lakh chupaue ashk kha ke kasam unki,
Naam unhi ka le ke ashk girate hai hum.


Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #18 on: January 24, 2008, 11:48:31 AM »
pooja ji bahut aacha likha aapne
ek koshish likhne ki ye bhi


Ashk girte rahe, Raat gujarti rahe,
Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe,

Dard badta raha, khud mai marte rahe,
Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe,

Kabhi khud ko, Kabhi unhe dekhte rahe,
Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe,

Tasveer-e-yaar, Hum bhigote rahe,
Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe,

pal-pal maut ke agosh mai, Hum jaate rahe,
Yaade aate rahe, BAADAL ashk bahate rahe,

Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe...
Wo reh-reh ker, Yaad aate rahe...



Baadal
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #19 on: January 24, 2008, 12:07:28 PM »
Bohat acha likha hai Baadal ji aapne..


Kisiko apna banane mein der lagti hai..
Ek vada nibhane mein der lagti hai..
Unke isqh main hum deewane ban gaye..
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah..
Yun dur na raho humse dushmano ki tarah..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #20 on: January 24, 2008, 04:23:47 PM »
bahoot khoob baadal ji... Good one Honey!!!

Dekhate hai jab kisi ka hath kisi mai
To ro dete hai

Karte hai chand, sitaro se bahoot gilla
Aor ro dete hai

Mandir mai bhi ab kaha rahi dosti khuda se
Karte hai shikayat aor ro dete hai

Baithe baithe aa jaati hai jab tumari yaadein
Munh ko khud mai hi chipa kar, Ro dete hai

Hai tere nishan meri charo fizao main
Karte hai mehsoos, aor ro dete hai

Ban gaye ho jaise tum Ashaq mere
Rahte ho her pal mere sath, aor hum ro dete hai....
Logged
baadal102
Guest
«Reply #21 on: January 26, 2008, 07:18:09 AM »
bahot aacha likha aap ne honey ji & pooja ji

Dekh ke gair ke haath mai tumhara haath,
Hum ro dete hai,

KHUDA ki har chokhat pe rakh ke haath,
Hum ro dete hai,

The tum zindgee mari,ASHK nahi,
Yaad aate hi tumhare wo mehandi wale haath,
Hum ro dete hai....



Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #22 on: March 25, 2008, 08:44:53 AM »
pooja ji aap ka reply kaha hai



Baadal
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:21:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer