Ashq....

by ranjana on January 09, 2007, 05:18:07 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1320 times)
ranjana
Guest
meri aankho mein uski chahato ke deep jalte hain
mere aansu ab aksar tanhaai mein chalkate hain

aankho ne meri dekha nahi hai mudaat se koi khwaab
ek pal  inmein  neend bhar kar sapano ke nagar chalte hain

woh na samjhe hain na samjhenge kabhi mere pyaar ko
chalo ab hum apne dil ka aaiena badal kar dekhate hain

nahi hai naseeb mein mere shayad chain-o-sakoon
yeh dil ke chiraag ab mayussi se bujhate jalte hain

bikahre they kuch lafaz maine mohbaat ke kagaaj per
ab dekhte hain ki unke dil per kab yeh utarate hain  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ASHQ....... by Gaurang in Shayri-E-Dard
AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
ASHQ..........................................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
Kuch ashq hi to hai.... by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
ASHQ by kamal aggarwal in Shayri for Khumar -e- Ishq
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: January 09, 2007, 06:39:14 AM »
kaa baat hai dard aur ishq ka sangam.. bahut khoob.

intezaar hai mujhe tere kuch kehne ka
dart hun pehal karne se ab to mai
yeh ishq ka zehar hai itna zehreela
ke abhi tak ubar nahi paya hun pehle dank se....
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #2 on: January 09, 2007, 01:05:04 PM »
bhoot khoob ranjhana ji.. kamaal ka likhte ho aap.. aor vikas bhai too gud as always..!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: January 09, 2007, 05:20:48 PM »
Bohot khoob Ranju....and Vikas....!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: January 10, 2007, 06:43:02 AM »
shukriya....JEET ..TALAT ...BAHUT KHOOB VIKAS......


mat talash kar yahan khuda ko ishq mein
yahan dil ka lagaana mushkil hai
dard hi dard se saja hai is dil ka veraana
yahan har baat per muskarna muhskil hai!!
Logged
paani
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2007, 04:42:41 AM »
Quote from: "ranjana"
meri aankho mein uski chahato ke deep jalte hain
mere aansu ab aksar tanhaai mein chalkate hain

aankho ne meri dekha nahi hai mudaat se koi khwaab
ek pal  inmein  neend bhar kar sapano ke nagar chalte hain

woh na samjhe hain na samjhenge kabhi mere pyaar ko
chalo ab hum apne dil ka aaiena badal kar dekhate hain

nahi hai naseeb mein mere shayad chain-o-sakoon
yeh dil ke chiraag ab mayussi se bujhate jalte hain

bikahre they kuch lafaz maine mohbaat ke kagaaj per
ab dekhte hain ki unke dil per kab yeh utarate hain  


///////////////////////////
"woh na samjhe hain na samjhenge kabhi mere pyaar ko
chalo ab hum apne dil ka aaiena badal kar dekhate hain "

Wah ji wah, bahut hi umda ranjana ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2007, 06:14:39 PM »
Bahut achhe ranju di,and vikas...

Kuch ashq mere mujhse aaj sawal karne aaye,
Chhupe the kahin aankhon mein apni jhalak dikhane aaye,
ruke jo gaalon pe ye kaanch ke dard,
sochne lage ankhon se bewafai karke haay hum ye kya karne aaye...
Logged
phoenix
Guest
«Reply #7 on: January 22, 2007, 01:37:41 PM »
inn ashqo.n ka suna hai  imaan nahi hota
ye unke ho jatae hain jo hamara nahi hota

beh jaate hain bina bataye humko ye aankho k raaste
jo bund karun aankhe toh palko pe theharna bhi gawara nahi hota

din toh guzar hai raah taakte hue unki
raat dhale toh subah tak koi sahara nahi hota

sambhal kar rakhna apne aansuon ko tum bhi
kehte hain aansuon k siwa koi bhi hamara nahi hota
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: January 22, 2007, 03:11:25 PM »
bahut achche ranjana di.................. :razz:  :razz:  :razz:
Logged
anu_love91
Guest
«Reply #9 on: January 22, 2007, 03:56:17 PM »
nice .....!!!!!!!!!!!!!!!!!1
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: January 22, 2007, 05:20:11 PM »
Bohat khoob Ranjana ji Usual Smile .
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: February 03, 2007, 04:40:16 AM »
bahut khoob nittu ......bahut dino baad aapaka likha padha maine ...


khawaab bahut rangeen in aankho mein chhaaye they
kuch teri yaado ko saath le ke paas mere aaye they
aankh khuli toh tanah they hum fir se
yah tere khawaab bhi hamko teri hi tarah rulaaye they
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: February 03, 2007, 04:42:36 AM »
shukriya salil ....nidhi ...angle ..and anu ... Usual Smile
Logged
kamal aggarwal
Guest
«Reply #13 on: February 08, 2011, 07:55:27 AM »
dil ke jazbaaton ko bahut khubsurti se utara hai RANJANA JI  Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 01:21:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer