AshQ..AshQ..likhi...Kahaani...!!!

by badnaam_shayar on December 05, 2007, 05:00:40 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2187 times)
badnaam_shayar
Guest
Kitaab ke harr Panne ki Tarah....
Meri Shyahin bhi kuch alag Dastaan jhalkaati hai....

Mohabbat Sirf Hasne ka naam nahi Doston....
Kabhi Kabhi yeh Dilon ko Ruswayi bhi de jaati hai.....

Zikr ho mera uski harr baat me jaroori toh nahi....
Mohabbat hai yeh bhi...Kayi Dafa Paighamo me Ulajh ke reh jaati hai....

Yeh toh bas rutba hai unke Pyar ka....
Jisse aaj bhi mere Jism se unhi ki Khushbu aati hai....

Kitaab ke harr Panne ki Tarah....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ashq by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
ASHQ..........................................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
ashq nazaroN ko CHUBHAAYEN to kya kareN...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ASHQ AANKHON KE ............MAMTA by mamta bajpai in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
Kuch ashq hi to hai.... by manzil-e-ishq in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: December 05, 2007, 05:32:01 AM »
Superb... Gaurav... Bahut achha likha hai...

Its good to see you back writing Usual Smile
We were Really Missing you and your shayari..
Logged
punam
Guest
«Reply #2 on: December 05, 2007, 01:46:15 PM »
Bahot khoob gaurav ji... aur sach bhi hai jo aap ne likha...

Mohabbat Sirf Hasne ka naam nahi Doston....
Kabhi Kabhi yeh Dilon ko Ruswayi bhi de jaati hai.....

bahot hi sahi kaha aap ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2007, 05:15:41 PM »
Thnx a lot Shikha and Punam...but likh ke koi nahigaya... Undecided


Khawaab me bhi kabhi maine yeh socha na tha....
Raat Gujar jayegi magar chupne ko dunia me koi kona na tha....

Khelta rahunga kya main yoon hee in Zanzeeron se....
Ya phir chot lagne par bhi Mohabbat me rona na tha....

Ghasht lagate hai aaj bhi Gum mere Aashiyaane ke....
Keh de koi unhe bhi jara ke unn Jhooti Khushion se hume Khush hona na tha....

Khawaab me bhi kabhi maine yeh socha na tha....!!!!
Logged
versaygulf
Guest
«Reply #4 on: December 10, 2007, 07:53:33 PM »
NAYE GHADE KE PANI SE BHEENI SI KHUSHBU AATI HAI,
YOON LAGTA HAI MUJHKO JAISE TERI KHUSHBU AATI HAI,
KITNE BARSON BEET GAYE HAI, USKO APNE GAANV GAYE,
AAJ BHI MERE AANGAN SE UNHI KI KHUSHBU AATI HAI

                        JAKIR KHAN
                         (GUMSUM)
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2007, 07:19:56 AM »
good one badnaam ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: May 22, 2008, 02:47:31 AM »
Wonderful.... sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: May 22, 2008, 02:47:50 AM »

Main Jab Bhi Tere Gamon Ko Bhulane Lagta Hoon,
To Aur Bhi Tere Nazdeek Aane Lagta Hoon,

Ajeeb Roshni Ulfat Mujhe Sikhati Hai,
Kisi Andhere Mein Doob Jaane Lagta Hoon,

Dukhon Se Jab Bhi Meri Aah Uthne Lagti Hai,
Sada Main Tere Geet Gungunane Lagta Hoon,

Watan Se Door Sahi Dil To Wahin Atka Hai,
Diyar-E-Gair Ko Jab Laut Jaane Lagta Hoon,

Main Teri Yad Mein Dil Gamzada Nahi Karta,
Main Tere Naam Ki Shammayein Jalane Lagta Hoon,

Meri Gazal Ko Mili Hai Bahut Pazeerai,
Mere Habeeb Main Tere Tarane Lagta Hoon,

Nikal Ke Main Dil Apna Rakhun Hatheli Par,
Teri Gali Se Main Jab Bhi Guzarne Lagta Hoon,

Thake Hue Hai Bahut Jism-O-Jaan To Aye Faisal,
Tere FiraaQ Mein Aansu Bahane Lagta Hoon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~

NM
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #8 on: July 28, 2008, 09:14:54 AM »
Kitaab ke harr Panne ki Tarah....
Meri Shyahin bhi kuch alag Dastaan jhalkaati hai....

Mohabbat Sirf Hasne ka naam nahi Doston....
Kabhi Kabhi yeh Dilon ko Ruswayi bhi de jaati hai.....

Zikr ho mera uski harr baat me jaroori toh nahi....
Mohabbat hai yeh bhi...Kayi Dafa Paighamo me Ulajh ke reh jaati hai....

Yeh toh bas rutba hai unke Pyar ka....
Jisse aaj bhi mere Jism se unhi ki Khushbu aati hai....

Kitaab ke harr Panne ki Tarah....


bohut khoob badnaam shayar ji

prem ki paheli hi hai aisi
ye bhala kab kisi se sulji hai

jitna chaha hai ise suljhana e-dost
ye utni hi aur uljhi hai

kaun jaan paaya k pyaar dard hai ya khushi
ye to har kisi ki apni apni marzi hai

kuch kho kar ise dar-b-dar bhatakte hain
to kuch paakar ise jhoome hue firte hain

kai baar jab mere dil ne chaha ise talashna
ye gumsum si tanhaiyon mei mohobbat mujhe mili hai

kehte hain zara bair hai ise mehfilon se doston
isliye ye gam  k andheron mei hi palti hain
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: July 30, 2008, 03:06:22 PM »
BAHOOT KHOOB badnaam_shayar, Nice sharing Angel, Good one Bhawna
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: July 30, 2008, 04:17:58 PM »
Kitaab ke harr Panne ki Tarah....
Meri Shyahin bhi kuch alag Dastaan jhalkaati hai....

Mohabbat Sirf Hasne ka naam nahi Doston....
Kabhi Kabhi yeh Dilon ko Ruswayi bhi de jaati hai.....

Zikr ho mera uski harr baat me jaroori toh nahi....
Mohabbat hai yeh bhi...Kayi Dafa Paighamo me Ulajh ke reh jaati hai....

Yeh toh bas rutba hai unke Pyar ka....
Jisse aaj bhi mere Jism se unhi ki Khushbu aati hai....

Kitaab ke harr Panne ki Tarah....


Good work Badnaam_shayar and everyone..
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2009, 12:58:08 AM »
Wah bahut khoob BS ji,very beautiful creation. icon_thumleft Applause Applause :clap:beautiful lines by everyone.
excellent
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:40:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer