Waah pooja ji...sabse pehle toh adaab baja lata hooN...hameiN aapki pesh ki hui baat bahoot pasand aayee....aise hee achchhe-achchhe lafzoN se iss bazm kee raunaq barhaate rahiye...aap hi batao ab aapse jiyada khoobsoorat our mithhas ki baat kon ker sakta hai mohtarma ji....
aapke lafzoN maiN kai baar junoon ki hud tak kashish aa jati hai....dil ki baat usi tarah keh dena har kisi ke bas ki baat nahiN pooja ji...our doosrri baat aapka lehza sadabahaar hai..hum toh musfiraat ki tarha haiN..kabhi yahaaN haiN toh kabhi nahiN....aap toh yahaaN mukammal taree^ke se haiN....hamarii tehreer pasand kerne ke liye bahoot bahoot shukriyaa^h.....Harash
Thanks Talat!! wah kaya baat hai Harsh ji!! bahoot khoob.. bas yahi ek baat na sikh sake hum... mithas ke libas mai apni baat kahna.. jo dil mai ho pathar sa munh per kah deti hu

atte ho bahoot yaad, zisam kaanp jaata hai
ek tak dekhu teri tasveer, ansoo tapak jaata hai
milte ho jab mujhse, ek nafrat ka saya muchal jaata hai
sun kar wahi teri kathor baatein, Ashqo ka mosam aa jaata hai
atte ho bahoot yaad.......
bahoot bahoot shukaria Harsh ji!! acha laga yah jaan kar meri kavitao mai apko zanoon najar ayya!! jayadatar dard mai kavitaye ek janoon mai hi likhati hu!! dil ko ek sakoon sa mila hai apki is baat se!!bahoot bahoot shukaria apka!!
Dard, dard nahi jab tak janoon ko na chu le
Ansoo, ansoo nahi, jab tak zakhamo ko na si le
Shabd kitne bhi ho likhe kisi bhi kavita main
Shabd, shabd nahi, jab tak dilo ko na chu le!!!