Awaara Aashiq ka Anjaam ~~~ Saahil

by salil2002 on June 16, 2009, 02:38:54 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3389 times)
salil2002
Guest
doston yeh aise awaara aashiq kii kahaani hai jo ladkiyon ko roz kaahin na kaahin mil jaayenge ............magar oonmein se qayi aise hote hai jo sachchi mohabbat karte hain


chal rahi thi saansein meri , dil tha mera dhadak raha
magar tere khushi kii khtair mein inhe aaj khamosh kiya
haan tujhe laga hoga yeh koi awaara hai aashiq nahin
magar main kya karoon maine teri har baat ko dil pe liya

maine kayi baar kaha tujhe, mujhe mohabbat hai tujhse
kar le meri mohabbat qabool, darde dil le kar kahaan jaunga
keh diya tumne bhanwra hoon main awaaara
ek phool ka ras choos kar doosre par mandraunga

main kaha aisa nahin mujhe toh sirf tujhse mohabbat hai
tere liye meri jaan , tu kahe toh mein mar jaunga
toh hans k kaha tune aisa bahuto ne kaha hai
jab kaha mar k dikhlao, oh keh gaye kiimain kal aaunga

oos roz tere jaane k baad bahut roya main
teri tasveer ko aansuon se apne bhigoya main
phir band aankhon mein karke tasveer mere sanam
kaat li nas haath kii , is tarah khatm hua main

aaj tu aayi hai maiyaat mein meri
shayad aaj tujhe meri mohabbat par vishwaas hua
magar kya mila tujhe tabaah kar sachchi mohabbat ko meri
kii tujhe chahne wala mujhsa na is jahan main hua

aaj aayi hai toh rakh k chali ja do phool meri qabra par
log kahenge toh kii mar k tera "Saahil" abaad hua
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
thora awaara chahiye by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
Aashiq--aukaat nahin~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
KAIDI ya AASHIQ~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Aashiq -- Maut mujhe maaf karna ~~ Saahil by -Saahil- in Shayri-E-Dard
Awaara kaagaz ka tukda By J N Mayyaat by J N mayyaat in Shayri for Khumar -e- Ishq
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: June 16, 2009, 02:47:55 PM »
Maarmik hai yah kahaanee, -Saahil- ji!
                   - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: June 16, 2009, 03:59:59 PM »
Bohot Khoob Salil  Applause Applause Applause

Good work dear.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #3 on: June 16, 2009, 07:20:49 PM »
Bahut khoob, Sahil Ji! Applause
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2009, 07:26:09 PM »
really nice saahil je ,
waqi mai kabi kabi hum waqi mai goher e nayaab kho daitay hain mager ehsaas tubhi hota hai jub waqat hath sai rait ki manind phisal jata hay aur hum baibus aur tamhaa hojatay hain
Logged
shab
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2009, 08:04:07 PM »
   BAHUT ACHCHE SAAHIL JI,
MANN KO BHAA GAYI AAPKA WAKIYA
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #6 on: June 17, 2009, 02:00:58 AM »
Wah wah Saahil Ji, BAHUT KHOOB
SARVESH RASTOGI
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: June 17, 2009, 02:31:46 AM »
Quote
oos roz tere jaane k baad bahut roya main
teri tasveer ko aansuon se apne bhigoya main
phir band aankhon mein karke tasveer mere sanam
kaat li nas haath kii , is tarah khatm hua main

aaj tu aayi hai maiyaat mein meri
shayad aaj tujhe meri mohabbat par vishwaas hua
magar kya mila tujhe tabaah kar sachchi mohabbat ko meri
kii tujhe chahne wala mujhsa na is jahan main hua

aaj aayi hai toh rakh k chali ja do phool meri qabra par
log kahenge toh kii mar k tera "Saahil" abaad hua

Salil... mai kya kahu... poora shyayari padkar aankhein num ho gayi thi... Bahut accha likha hai aapne... her alfaz dil ko bahut asar kiya.. Kuch aashiq aisa b hote hai... Well expressed lines dear God bless 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2009, 02:57:41 AM »
Bahut khoobsurat likha hia Salil. Iska climax itna dard bhara hai, Par dilmein ye sawal bhi aata hia ke kya mohabbat mein jaan dena matlab isi tarah jaan dena hota hai? Khuda ki naemat se to mukar nahi sakte.... khair.

But really loved the way you have expressed it, Always there is a pain in your poem which we feel in each and every word.

Take care
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2009, 04:36:22 AM »
Wow Saahil ji,mindblowing,kitna dard se bhara hua hai,beautiful
creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hello
Logged
mistufer
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2009, 04:42:44 AM »
saahil ji aadaab

bahut dard se bharee hai aapki nazm
it just touched my heart
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2009, 05:16:37 AM »
Salilllllllllll Bhaiiiiiiiiii...... Aapki Har Rachna Kuch sochne par Majboor Kar deti hai.. Aur Humesha Padhte Padhte Aankhon ke aage us Kahani Ki Ek Film si, Ek Tasveer si Ban jati hai..!! Applause Applause

Kya Kahun Dost.. Dard Bhari Yeh Rachna Dil Ko Chhoo gai.. Bahut Bahut Khoooooooob Daad Kubool karen.. !!!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**


Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: June 17, 2009, 06:26:30 AM »
Maarmik hai yah kahaanee, -Saahil- ji!
                   - abd bundeli
shukriya abd bhai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: June 17, 2009, 06:27:22 AM »
Bohot Khoob Salil  Applause Applause Applause

Good work dear.
thnks a lot di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: June 17, 2009, 06:28:42 AM »
Bahut khoob, Sahil Ji! Applause
Bahot bahot khoob likha hai Sahil aapne,yun hi likhte rahiye
Wow Saahil ji,mindblowing,kitna dard se bhara hua hai,beautiful
creation. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley hello
Wah wah Saahil Ji, BAHUT KHOOB
SARVESH RASTOGI
thanks a lot .deepati,madhu dear, sarvesh bhai aur kaash bhai
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:28:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer