Baadal hain aankh ke...

by diya786 on December 18, 2008, 10:45:46 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2336 times)
diya786
Guest
Baadal hain aankh ke jo baraste hi nahin hain
Kuch beete lamhe hain jo guzarte hi nahin hain

Aaj hain woh to unka deedar kar lene do
Ki roz farishte aasmaan se utarte hi nahin hain

unko maaloom hai ki hans kar main gham ko chupata hoon
Yun dikhate hain ki jaise mujhko samajhte hi nahin hain

Jab bhi dau maangu unki khushiyaan hi maangu
Woh mere dil ko dukhate jhijhakte hi nahin hain

Qayamat ke is safar mein kahan khud ko bhula baithe dekho
Aur unki yaadaon ke saaye hain jo humse bichadte hi nahin hain... {NM}

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aankh khuli hain to........ by sammu1984 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Tanha Baadal... by Amanush... in Shayri-E-Dard
baadal ki berookhi........................ by akela in Shairi - E - Zindagi
***baadal*** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Aankh mein aansu nam hain !! by RUHAANII in Shayri-E-Dard
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 18, 2008, 11:02:12 AM »
Bohat Badiya Likha Hai Kashish Ji,.
NIce One,.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #2 on: December 18, 2008, 11:09:57 AM »
Baadal hain aankh ke jo baraste hi nahin hain
Kuch beete lamhe hain jo guzarte hi nahin hain

Aaj hain woh to unka deedar kar lene do
Ki roz farishte aasmaan se utarte hi nahin hain

unko maaloom hai ki hans kar main gham ko chupata hoon
Yun dikhate hain ki jaise mujhko samajhte hi nahin hain

Jab bhi dau maangu unki khushiyaan hi maangu
Woh mere dil ko dukhate jhijhakte hi nahin hain

Qayamat ke is safar mein kahan khud ko bhula baithe dekho
Aur unki yaadaon ke saaye hain jo humse bichadte hi nahin hain... {NM}





DIYA

KUCH REH HI NAHI GAYA ABB KEHNEY KOH

KEHNEY KOH ABB KUCH REH NAHI GAYA HAI
ITNA PYARA JOH AAP NEH YAHA KAHA HAI

FARISHTOH KI BAAT DIL KOH CHU GAYI
YEH ANOKHI ADA, DIL KOH CHU GAYI

ABB KYA KAREY HUM KUCH BAYAAN
SAB KUCH TOH KEH DIA HAI AAP NEH MEHARBAAN


BUSS ISI TARAH HAMEY KHUSH KIA KARO
AISEY PYARE KALAAM LIKH DIA KARO


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 19, 2008, 01:21:17 PM »
Khushiyaan Meri, Baadalon Ki Tarah Hain,.
Jo Aate Hai Saaya bankar Aur Guzar Jaate Hain,.

Gham Hain Saare Zameen Ki Tarah, "Doston,.
Jahaan Hum Rukte Hain, Wahin Par Ye Tehar Jaate Hain,.

__________________________-Jaanasheen-
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2008, 01:33:59 PM »
Bohat Badiya Likha Hai Kashish Ji,.
NIce One,.

bahut bahut shukriya Azeem notworthy

Khushiyaan Meri, Baadalon Ki Tarah Hain,.
Jo Aate Hai Saaya bankar Aur Guzar Jaate Hain,.

Gham Hain Saare Zameen Ki Tarah, "Doston,.
Jahaan Hum Rukte Hain, Wahin Par Ye Tehar Jaate Hain,.

__________________________-Jaanasheen-

Nice one from ur side too Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2008, 01:38:11 PM »


DIYA

KUCH REH HI NAHI GAYA ABB KEHNEY KOH

KEHNEY KOH ABB KUCH REH NAHI GAYA HAI
ITNA PYARA JOH AAP NEH YAHA KAHA HAI

FARISHTOH KI BAAT DIL KOH CHU GAYI
YEH ANOKHI ADA, DIL KOH CHU GAYI

ABB KYA KAREY HUM KUCH BAYAAN
SAB KUCH TOH KEH DIA HAI AAP NEH MEHARBAAN


BUSS ISI TARAH HAMEY KHUSH KIA KARO
AISEY PYARE KALAAM LIKH DIA KARO


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com

Shukriya Jasbir ji
aapne bhi khoob likha hai
Applause Applause

Koshish karte rahenge aapko khush rakhne ki
bas ek zara saath humara diya karo

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2008, 08:04:50 PM »
Shukriya Jasbir ji
aapne bhi khoob likha hai
Applause Applause

Koshish karte rahenge aapko khush rakhne ki
bas ek zara saath humara diya karo



THANKS DIA


SAATH TOH HUM SAB KA DETE HAI
MILTA HAI JOH HASKEY
USI KEY SAATH HO LETEY HAI


AAP KOSHISH APNI JARI RAKHIYE
KUCH NA KUCH LIKH DIA KARIYE
SAATH AAP KA SAB YAHA DENGEY
SHABDOH KOH KALAM SEY UTARA KARIYE


JASBIR SINGH
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2008, 10:02:38 PM »
Really wonderful Diya
Aap ne mere mann ko bha liya
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2008, 10:23:23 PM »
...good one Diya and Jasbir...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 21, 2008, 10:47:05 AM »
Shukriya,.

Kuch To Log Kaheinge, Haal Tera Ghamzada Dekhkar,.
Kaise Phir Bataayein Inhe, Ke Tujhe Kya Huaa Hai,.

Aata Hai Gardeesh ka Waqt Sabpar, Saaya Bankar "Dost,.
Tu Ek Nahi, Yahaan Sab Ko Bhi To Gham Milaa Hai,.


Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: December 21, 2008, 11:01:23 AM »
Shukriya,.

Kuch To Log Kaheinge, Haal Tera Ghamzada Dekhkar,.
Kaise Phir Bataayein Inhe, Ke Tujhe Kya Huaa Hai,.

Aata Hai Gardeesh ka Waqt Sabpar, Saaya Bankar "Dost,.
Tu Ek Nahi, Yahaan Sab Ko Bhi To Gham Milaa Hai,.




BAHUT ACCHA LIKHA HAI AZEEM Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #11 on: December 21, 2008, 11:06:08 AM »
JASBIR JI AAPNE PHIR KAMAAL LIKHA HAI Applause

RAJESH JI AAPKA BAHUT BAHUT SHUKRIYA JO AAP IS THREAD PAR AAYE

JHL AAPKA BHI SHUKRIYA
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #12 on: December 21, 2008, 11:39:00 AM »
...good one Diya and Jasbir...

Thanks JHL


Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: December 21, 2008, 11:39:42 AM »
JASBIR JI AAPNE PHIR KAMAAL LIKHA HAI Applause

RAJESH JI AAPKA BAHUT BAHUT SHUKRIYA JO AAP IS THREAD PAR AAYE

JHL AAPKA BHI SHUKRIYA



Thanks Dia

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: December 22, 2008, 03:34:18 PM »
BAHUT ACCHA LIKHA HAI AZEEM Applause Applause

Shukriya Diya Ji,.

Baadal Khushiyon Ka Khafaa Hai Mujhse,
Mere Aangaan Mein Ab Ye Barasta Nahi,.

Ghamand Hain Ise Ke Main Iski Talab Karta Hoon,.
Agar Mujhe Meri Wafa Mil Jaati,
To Main Khushiyon Ke Liye Kabhi Tarasta Nahi,.

Baar Baar Dikhaata Hai,Mujhe Ye Chehra Uska,
Jab Bhi Uski Taraf Main Dekhta Hoon,.
Main Kaise Dil Ko Samjhaoon Ab, Dil Bhi To Mera Dhadakta Nahi,.

____________________________________-Jaanasheen-






Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:49:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer