Baat hai dil ki: bataaou to bhalaa, kis sey kaheyn?

by abdbundeli on October 10, 2008, 01:24:28 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 1957 times)
abdbundeli
Guest
«Reply #15 on: June 15, 2009, 09:08:01 AM »
Sabse Pahle To Aap Hume Shihab Ji Nahi
Sirf Shihab Bulaaye Abd Babu Kyon Ki
Aap Humse Umar Aut Tazurbe Done Mein Hi
Bohat Bade Hai So Plz Sirf Shihab Thik Rahega.!

Aur Kya Khoob Baat Kahi Hai Aapne Abd Babu
Ab Aage Hum Aur Kya Kahen Bhala Khair
Phir Bhi Koshish Karte Hai Ji Galti Maaf Ho...

Rehkar Khamosh Apne Hontho Ko Kab Tak Siye Koi
Jab Dost Hi Dushman Ban Baithe To Kaise Jiye Koi.!

................................................. .
Raat Raat Bhar Chand Taron Se Teri Baatein Hoti Hai
Bas Aisi Hi Khoobsurat Roz Mujhse Khataein Hoti Hai.

Bhoolne Ko Kuch Pal Main Unhe Bhool Bhi Jaata Shihab
Magar Unki Yaadein Phir Khwahishon Ke Bij Bo Jati Hai.!

Shukriyah Shihab!

Saath chhorheygaa na woh, itnaa itmeenaan rahey!
Jis ko kahnaa hai, na roko, 'abd', woh jo bhi kahey!!
Tarhap to hogee, anaasir hain muttahid jab tak;
Laakh laakhoun ney, azal sey tamaam dard sahey!!

                        - abd bundeli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bataaou, tumhain, mein kahaan paauun? Sainyan! by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Ab ham kis sey kyaa kaheyn? by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
-----/// Kyun bhalaa ///----- Hriday by ~Hriday~ in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Wo hamain laakh kaheyn, 'Hamko bulaayaa na karo!' by abdbundeli in Ghazals
abdbundeli
Guest
«Reply #16 on: June 16, 2009, 03:05:18 PM »
wah Abd Babu Again
Bohat Hi Umda Ji...

Mashroof Teri Yaad Mein Har Waqt Rahe Hum !
Tu Hi Bata e Sanam Ye Doorie Kaise Sahe Hum !

Kaas Ki Aa Jaao Kabhi Chhan Chhan Karti Tum
Aakhir KabTak Bhala Yun Muntazir Rahe Hum!

Thanks a lot, Shihab ji!

Koun kahey, kab aayengey
Wo saniyaan key paas?
Deykh rahaa: mein hee naheen,
Sab hain aaj udaas!

           - 'Ramwatiya'
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #17 on: June 17, 2009, 04:55:12 AM »
Abd Babu Plz Sirf Shihab Bulaye Aap?

Ek Tere Naa Hone Se Dekh Kya Haal Hai Mera
Har Manzar Aey Dilbar Mere Udaas Kyun Hai.

Aakar Sabhi Guzarte Hai Nazron Ke Saamne Se
Par Aankhon Ko Lagta Tu Hi, Khaas Kyun Hai.!!


Dear Shihab!

Kuyen hazaar hain, zamzam naheen magar sab mein!
Laakh hain bheerh mein, waham naheen magar sab mein!
Yuun to sab mein hai usee kaa jamaal-e-tukhm, 'abd',
Talaash keejiye, sanam naheen magar sab mein!

                        - abd bundeli


Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: June 17, 2009, 07:50:00 AM »
 Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob Majid brother and Uncle ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #19 on: June 17, 2009, 04:07:17 PM »
 
    Ab Thik Hai Abd Babu..Shukariya.


  
   Dil Me Rehkar Hi Dil Ko Jalaate Hai Wo
   Door Rehkar Bhi Kitna Sataate Hai Woh.

  Jab Ki Anjaan Nahi Hain Ab Mere Haal Se
  Phir Bhi Is Qadar Mujhe Aazmaate Hai Woh.

You're welcome, Shihab!

Ibtidah hai ye, aagey safar hai nayaa,
'Na-nukar' ko na yuun itnee tarjeeh do!
In lamhoun par baneygee wo taameer-e-nou
Ishq kee; gar, na ye sirf tafreeh ho!!

                      - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #20 on: June 18, 2009, 12:07:48 PM »
Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob Majid brother and Uncle ji
Lot many thanks, Roja!
           - abd bundeli
Logged
shab
Guest
«Reply #21 on: June 18, 2009, 12:17:04 PM »
  WAAH WAAH ABD JI,BAHUT ACHCHE
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #22 on: June 18, 2009, 12:19:19 PM »
Good One Abd Babu....


Imtehaan Mere Hauslon Ka Ye Zamaana Aur Kya Lega
Azal Se Humne Zindagi Ko Daanv Pe Laga Rakha Hai.

Woh Aaye Yaa Na Aaye Abd Baabu Ye Unki Marzi Hai
Humne To Khud ko Bas Unka Muntazir Bana Rakha Hai.


Thanks Shihab!

Aayegaa eik din jab aayengey wo bhi khud hee,
Noor-o-jamaal sey khil utthheyegaa pahloo-e-dil!
Lamhoun mein nisf shab kee taaseer aur hogee;
Ikdam hazaar taarey rukh par kareyngey jhilmil!!,

                                 - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #23 on: June 18, 2009, 12:22:18 PM »
  WAAH WAAH ABD JI,BAHUT ACHCHE
Shabana Ji! I'm happy you are reading my poems with interest! Thanks a lot!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #24 on: June 19, 2009, 01:37:52 PM »

Dil Ke Murzaye Hue Phool Phir Se Khil Jaayenge
Munzatir Aankhon Se Kuch Aanshu Nikal Jaayenge.

Lillha Woh Pal Bhi Kya Pal Honge Bhala Shihab
Jis Pal Hum Jab Apney Dilbar Se Mil Jaayenge.!!!



Baad-e-mashriq mein lahartee phuhaar hai mouzoon!
Dil sey hon dil kee nisbateyn, to pyaar hai mouzoon!
Raah mein aankh garhaaye huye ham hain mushtaaq;
Wasl-e-dilbar key liye intizaar hai mouzoon!

                            - abd bundeli


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #25 on: September 25, 2011, 09:31:45 AM »
Ghutan Si Mehsoos Hoti Hai In Khuli Hawaao,n Mein
Tadapta Hai Dil Aur Ik Shaola Sa Hai Aaho,n Mein.

Kaas Ki Me Haath Uthaun Aur Woh Daude Chale Aaye
Yaa Khuda Itna Asar Ho Jaaye Meri In Duaao,n Mein.!



Kahaan jaayegaa? Aayegaa
Lout yaheen mahboob!
Ab bas uskee yaad mein
Gahrey jaaou doob!

          - abd bundeli
Logged
awais_007
Guest
«Reply #26 on: September 25, 2011, 12:29:17 PM »
Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #27 on: September 26, 2011, 02:24:28 PM »
Applause
Thanks!
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:18:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer