bachpan ki ek barsat..............

by bulbul on July 10, 2008, 08:21:16 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1708 times)
bulbul
Guest
Bachpan ki ek barsat

Barish ka wo mausam ho
rim-ghim girti bundaen hoon
Nani ka wohi angna ho
paeroon main wohi payaliya ho

socha kaise bachauun khud ko
en pagli bundoon sae
tip-tip kar k, mare chahrae pae
moti girae to bawali hogae main
hawa k jhoonkae jo ae to
saundhi mitti ki khushbu nasha de gae mujh ko
chanchal payliya nae shoor machaya to
khud ko sambhal nae ko main bhagi
par na jana na samjha
chat par main kaise pahuch
phir wohi bachpan laut aya
phir wohi barish nachna
wo kagaz ki kashti main dujae des jana
phir wohi nani ki dant khana
nani ka wo kehna 'pardes sa aee char din ki mehman hai tu'
'ho na jae kahin bemar tu'
phir nani ki goodi main sir rakh kar
pariyon k des main ghumna
mamta ki us godi main methe nindiya main kho jana

kya kisi khab se hoon jage koi to batade
wakht ko koi to pechae modh dae
bita wo ek hi pal koi lauta de

pardes se phir ae hai yeh teri bitiya par
nani yeh ghar ab suna-suna lage
tere bin yeh barish bhi tufan lage
kis des ko ho gae ki ana hi bhuul gae

barish se huun bhigi ya
ansuoon main huun naha gae kya kahoon
bas woh bacnpan ki ek barsat laout aee
dil bas yahi dua mangae
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Barsat buhat hai by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Judai Ki Raat Aur Barsat Hai by fakharenaveed in Shayri for Dard -e- Judai
barsat kai mosam mai by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
yadoo ki bheer ma phoolo ki barsat ho by FArah in Shairy-E-Watan
BARSAT by bukhsh in Ghazals
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2008, 08:30:09 AM »
BulBul Bachpan Barsaat....

Kya Khoob Hai...!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #2 on: December 26, 2008, 09:17:07 PM »
Bachpan ki ek barsat

Barish ka wo mausam ho
rim-ghim girti bundaen hoon
Nani ka wohi angna ho
paeroon main wohi payaliya ho

socha kaise bachauun khud ko
en pagli bundoon sae
tip-tip kar k, mare chahrae pae
moti girae to bawali hogae main
hawa k jhoonkae jo ae to
saundhi mitti ki khushbu nasha de gae mujh ko
chanchal payliya nae shoor machaya to
khud ko sambhal nae ko main bhagi
par na jana na samjha
chat par main kaise pahuch
phir wohi bachpan laut aya
phir wohi barish nachna
wo kagaz ki kashti main dujae des jana
phir wohi nani ki dant khana
nani ka wo kehna 'pardes sa aee char din ki mehman hai tu'
'ho na jae kahin bemar tu'
phir nani ki goodi main sir rakh kar
pariyon k des main ghumna
mamta ki us godi main methe nindiya main kho jana

kya kisi khab se hoon jage koi to batade
wakht ko koi to pechae modh dae
bita wo ek hi pal koi lauta de

pardes se phir ae hai yeh teri bitiya par
nani yeh ghar ab suna-suna lage
tere bin yeh barish bhi tufan lage
kis des ko ho gae ki ana hi bhuul gae

barish se huun bhigi ya
ansuoon main huun naha gae kya kahoon
bas woh bacnpan ki ek barsat laout aee
dil bas yahi dua mangae
Bahoot Khoob Bulbulji

Aapne to Bachpan yaad dila diya
Baat hi baat me un dino ki yad dilayi
Aur aankho ko rula diya...

Ham to kho gaye the waqt ki dahleez pe khamoshi se kahin
Aapne to hame us muskurate huye bachpan se mila diya....
~Pank~
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: December 27, 2008, 04:51:08 AM »
BULBUL Ji.. Behad Pyaare Lafz Likhe Hain aapne..!! Bachpan Ki Yaadon Me Humen Bhi Gum Hone Ko Majboor kar diya aapne..!! Lajawab Kalaam hai.. Daad Kubool Karen.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 27, 2008, 05:03:25 AM »
good job Babul
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:35:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer