**Bada badnaseeb hoon** by Rahim

by dead heart on February 19, 2010, 02:48:35 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 10268 times)
dead heart
Guest
Kuch mahine hogaye yeh kalam likhe...Ek sachai, ek dard, ek kahani hai yeh kalam...Maine yeh kalam ansuon ki sihai se likha tha...Ek dard ke saath likha tha...Aj halat kuch alag hai mager yeh kalam ek yaad hai unn lamhon ki jab koi saath hoke saath na tha...Jab ek dost pyaar main tabdil hone jaa raha tha...Umeed hai pasand ayega...

Bada badnaseeb hoon,
Jo hume chchta hai; wohi chorr jata hai,
Jisse pana chahta hoon; wohi dil torr jata hai,
Sabko apne mehboob ke saath dekta hoon,
Khushion ke saager main sabko doobte dekta hoon,
Bas ek main hi bada badnaseeb hoon…

Bada badnaseeb hoon,
Jisse na paa sakoun ussi se mohobat hojati hai,
Phir toh bas zindagi andheron main dhal jati hai,
Nadi ke kinare ponch kar bhi pyaasa laut ata hoon,
Jahan se pyaar mangoun bas thukraya hi jata hoon,
Aur dil yehi kehta hai ‘bada badnaseeb hoon…’

Bada badnaseeb hoon,
Jisse pasand aa bhi jaun who apne ehsason ko mar deta hai,
Kehke yeh ke usse koi bhavishya nazar nahin ata hai,
Kehne ko toh kafi logon ka aziz hoon,
Bas mohobat ki duniya main thorra sa gareeb hoon,
Sach hai yaaroon; bada badnaseeb hoon…

Lavson ka kadva teer mere seene main chuboya jata hai,
Ab toh apni zindagi ko kabrastan ki tarha veeran pata hoon,
Sone se pehle na uthne ki dua mang jata hoon,
Sache dil se ab uss Rabb ke pas laut jana chahta hoon,
Par kya karoun; maut se bhu thukraya hi jata hoon,
Dil se kehta hai Rahim; ‘bada badnaseeb hoon…’


~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bada Tanhaa Hoon Khudse.. by Alam Qazi in Shayri for Dard -e- Judai
Mai wohh Badnaseeb hoon... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
~Tarasta rehta hoon~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~Kuch adaein main khoob janta hoon~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Mujhe bada acha lagta hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2010, 02:55:59 PM »
Bohot Khoob Rahim...Bohot dard samete hai aapki ye shayari.....bas ek baat kehna chahti thi ki apne aap ko kabhi badnaseeb na kehna kyunki har insaan ka naseeb Khuda ne khud likha hai aur uske kaam main koi na koi maslihat ya aazmaish hoti hai.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2010, 03:01:48 PM »
Bahaut shukriya Talat di...Haan main bahaut shukar guzar hoon Allah ka...I just wanted to express pain so used 'badnaseeb' otherwise I don't think I am that...Allah ka shukar hai...
Logged
cara
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2010, 03:25:57 PM »
wah kya baat hai   rahim ji.....

JO BHI CHAHATA HUN MEH KABHI NAHIN PAATA HUN
JISKO BHI DIL SE CHAHA HAI USNE HI THUKRAYA HAI
KISMAT KA MEH  AJEEB HUN BADA BADNASEEB HUN

DEKH AURON KO APNE PYAR SE  MILTE GALE
JIYA MERA MAT PUCHHO KAISE HAI JALE
BUJA HUA IK DEEP HUN BADA BADNASEEB HUN
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: February 19, 2010, 08:23:25 PM »
Shukriya aur Nice lines Cara jee...
Logged
malli
Guest
«Reply #5 on: February 20, 2010, 02:09:06 AM »
Bahut acche  Thumbs UP

Too good Cara ji...as usual  icon_thumleft
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2010, 04:36:42 AM »
 :hatsoff:Wah Rahim bhai,bahut dard aur khoobsurti se apne dil ke ehsaaso ko likha aapne.dil ko chu gayi.bahut hi khoob.great lines by Cara ji icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 20, 2010, 08:50:24 AM »
Kuch mahine hogaye yeh kalam likhe...Ek sachai, ek dard, ek kahani hai yeh kalam...Maine yeh kalam ansuon ki sihai se likha tha...Ek dard ke saath likha tha...Aj halat kuch alag hai mager yeh kalam ek yaad hai unn lamhon ki jab koi saath hoke saath na tha...Jab ek dost pyaar main tabdil hone jaa raha tha...Umeed hai pasand ayega...

Bada badnaseeb hoon,
Jo hume chchta hai; wohi chorr jata hai,
Jisse pana chahta hoon; wohi dil torr jata hai,
Sabko apne mehboob ke saath dekta hoon,
Khushion ke saager main sabko doobte dekta hoon,
Bas ek main hi bada badnaseeb hoon…

Bada badnaseeb hoon,
Jisse na paa sakoun ussi se mohobat hojati hai,
Phir toh bas zindagi andheron main dhal jati hai,
Nadi ke kinare ponch kar bhi pyaasa laut ata hoon,
Jahan se pyaar mangoun bas thukraya hi jata hoon,
Aur dil yehi kehta hai ‘bada badnaseeb hoon…’

Bada badnaseeb hoon,
Jisse pasand aa bhi jaun who apne ehsason ko mar deta hai,
Kehke yeh ke usse koi bhavishya nazar nahin ata hai,
Kehne ko toh kafi logon ka aziz hoon,
Bas mohobat ki duniya main thorra sa gareeb hoon,
Sach hai yaaroon; bada badnaseeb hoon…

Lavson ka kadva teer mere seene main chuboya jata hai,
Ab toh apni zindagi ko kabrastan ki tarha veeran pata hoon,
Sone se pehle na uthne ki dua mang jata hoon,
Sache dil se ab uss Rabb ke pas laut jana chahta hoon,
Par kya karoun; maut se bhu thukraya hi jata hoon,
Dil se kehta hai Rahim; ‘bada badnaseeb hoon…’


~Rahim~

Bahut Bahut Khooob Rahim!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dard Se Bhara Aur Dil ko Chunne Wale Jazbaat The Aapki iss peshkash Mein..

Par main Aapko Kuch Zaroor Kuch Kehna Chahunga..

Yeh Koi Ashk Ka Katra Nahi Jo Aankhon Mein Tehar Jaayega
Waqt To Aakhir Waqt Hai,Ek Na Ek Din guzar Jaayega...

Apne Aap Ko kabhi Badnaseeb Na Kehna Dost!!!!
Beete Hue Kal Ko yaad Kar Tu Bhi kabhi Muskurayega...

Bichadna-Milna To Dastoor Hai Zindagi ka!!!
Aisa Bhi koi Shaks Hai Jo umar Bhar Tere Saath Nibha Payega...

"Khwaish" main Aaj Jo Bhi Hoon,Bas Uss Khuda Ka Shukar Hai!!!!
Eh Khuda!!! Teri Raza Ke Bin,Ek kadam bhi Na "Khwaish" Chal paayega....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2010, 12:53:21 PM »
Bahaut shukriya Madhu di, Malli jee, Khwahish jee aur Kaash bhaijan...

Khwahish jee...
Main kya kahoun sivae iske ke deewana hoon apni likhai ka...Bahaut khoob...Just know I am one of ur biggest fans..Ur that good a writer as good as the word good comes...I mean that...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 20, 2010, 01:09:16 PM »
Bahaut shukriya Madhu di, Malli jee, Khwahish jee aur Kaash bhaijan...

Khwahish jee...
Main kya kahoun sivae iske ke deewana hoon apni likhai ka...Bahaut khoob...Just know I am one of ur biggest fans..Ur that good a writer as good as the word good comes...I mean that...

Rahim, Aapne Itna Kuch Keh diya Mere Liye,jiske main Laayak Bhi Nahi..

Par Phir Bhi Teh Dil se Shukriya Aapka.. notworthy
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: February 20, 2010, 01:12:41 PM »
Arey Khwahish jee ap layak hai...Aur jo kaha dil se kaha...Im certainly your big fan...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #11 on: February 20, 2010, 01:15:06 PM »
 RAHIM JI,GREAT EXPRESSIONS.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: February 20, 2010, 01:15:57 PM »
Shukriya Suresh jee
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #13 on: February 20, 2010, 08:38:26 PM »
WAAH WAAH WAAH WAAH WAAH jitni waah waahi ki jaye kam hai..bahut hi khoob rahim ji..to gud...amazing.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut khoob likha hai cara ji n khwaish ji... Applause Applause

Khud ko iss kadar naa kos ae dost,
badnasib tou vo hai jo zindgi ki razaa nhi jante,
milte hai jinhe khushiyo k sagar..
vo gum mein dubne ka mazaa nhi jante......
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: February 21, 2010, 01:09:18 PM »
Bahaut shukriya Brokenbyluv jee...bahaut bahaut bahaut shukriya!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 07:22:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer