badi shiddat se jaana... Intezar !

by Intezar on August 27, 2012, 02:27:10 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3075 times)
Intezar
Guest


Dekh jara mohabbat me kaise ishkaal hote hain
Jab girte hai kuch ashk to kitne sawaal hote hain

Shohrat hai unki bewafai se, hum tanha wafa se
Mohabbat mein bhi kaise kaise misaal hote hain

Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain

Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain

Gamgeen to hai har dard-o-sukoon jo tumne diye
zakhm hain atfaal abi, dekhiye kab Jamaal hote hain

badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !


Shukriya
Intezar !

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Badi shiddat se mile unse hum, sawal tha hosh mein reh payenge hum by thegrimreaper in Ghazals « 1 2  All »
shiddat tumhari... Intezar ! by Intezar in Miscellaneous Shayri
Dil mein kasak jo badi shiddat se hai...........................Iftakhar by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2  All »
Intezar me jaana... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
badi furshat se kiya he intezar by hide_shayar in Other Languages
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 27, 2012, 02:38:23 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
suman59
Guest
«Reply #2 on: August 27, 2012, 03:03:21 PM »
waahhh waah  Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2012, 07:14:32 PM »


Dekh jara mohabbat me kaise ishkaal hote hain
Jab girte hai kuch ashk to kitne sawaal hote hain
achaa kya sawaal hai tumharaab muj se. sirf shikaya hi rahti hai. babaa main masroof hoon aur har baar bulaane pe nahin aa sakti samjhe. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Shohrat hai unki bewafai se, hum tanha wafa se
Mohabbat mein bhi kaise kaise misaal hote hain
acha ab main bewafaa ho gayi.zaraa batanaa kya bewafaai ki hai maine yehi na ki tumhein chahti hoon aur khud ko bhulaa baithi hoon. Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased Embarrased
Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain
khyali pulaao mat pakaaya karo. kuch haqiqat mein bhi zindagi guzaaro. icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek icon_geek
Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain
tum mere khawaab mein to aate hi rahte ho aur kyaa chahiye drunken_smilie drunken_smilie drunken_smilie
Gamgeen to hai har dard-o-sukoon jo tumne diye
zakhm hain atfaal abi, dekhiye kab Jamaal hote hain
badaa hi haseen aur khoobsurat ilzaam hai mujh pe . khush hui tongue3 tongue3 tongue3 tongue3 tongue3
badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !

kar di na buzdilwali baat. itni jaldi haar maan gaye. abhi to main aur sataao.n gi tumhein. kya meraa tangg karna tumhein pasand nahin
BangHead BangHead

Shukriya
Intezar !



bahut khoob intezar......!
Logged
laaiba
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2012, 07:20:33 PM »
waah waah bohat khoob ....bohat c daad....
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 28, 2012, 02:42:58 AM »
wah wah, bahut khoob
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #6 on: August 28, 2012, 03:34:48 AM »


Dekh jara mohabbat me kaise ishkaal hote hain
Jab girte hai kuch ashk to kitne sawaal hote hain

Shohrat hai unki bewafai se, hum tanha wafa se
Mohabbat mein bhi kaise kaise misaal hote hain

Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain

Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain

Gamgeen to hai har dard-o-sukoon jo tumne diye
zakhm hain atfaal abi, dekhiye kab Jamaal hote hain

badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !


Shukriya
Intezar !

Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
WAAH WAAH INTEZR JI kya khoob lajwaab gazal likhee hai apne bahut umda ash'aar rahe sab ke sab ..... dheron daad aur mubarakbaad qabool kijiye.........
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 28, 2012, 03:53:24 AM »
waah sheba ji kee daad ke baad ab kyaa bachaa hai kahne ko
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 28, 2012, 07:49:25 AM »
Intezar Sahaab Aadaab!


bbahut khoob janab badi hi gehri fikra meiN likhi hai
yeH kalaam... behad khoob sabhi ashaar kafi umdaa rahe..

Par yeH qouted ashaar toh gazab ke rahe janab...

humari hazaaroN daad in khoobsurat ashaaroN par...
Aise hi likhate rahiye aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile







Kabhi to hai khwab-o-khayal rooh tak guftaar
to kabhi in jismo ke saaye bhi muhaal hote hain

Yun to ek muddat se wo bhi hain muntazir mere
Khuda jaane kab wo meri deed par nihaal hote hain

badi shiddat se batihe hain maut ke Intezar me jaana
Dekhte hain tukde ye kafan ke kab istemaal hote hain !


Shukriya
Intezar !

Logged
kirank
Guest
«Reply #9 on: August 29, 2012, 06:22:54 AM »
agar vo apki hai to jarur laut ayegi.... tadap rae hogi vo b apki yad mai....... de do ge jaan agr us k intejar mai... to kho doge vo ummeed us k laut aane ki ...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:55:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer