- Badkismati -

by Meena is back on July 13, 2006, 07:07:47 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3380 times)
Meena is back
Guest
Ek koshish...

aye kash agar tumne mera haath tamma na hota,
to bahana na milta badkismati ko tumare pas ane ka,

yuh gherne lage tumhe bhi meri badkismati ke saye,
jaise mil raha ho tujhe tofa mujhse rishta nibane ka,

badla mere ashqon ko muskaan mein hamesha tumne,
lekin, meri kismat ne mauka nahin choda tujhe rulane ka,

kash mai tumari zindagi me na ayi hoti aye dost,
to tujhe bhi mauka milta apne  sapne haqiqat banane ka!


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
badkismati ne(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Apni Badkismati by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: July 13, 2006, 07:29:41 PM »
Very Nice Meena as usual..
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2006, 09:00:23 PM »
nice meena ji.........good good after so long yaar.......where have u been!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 14, 2006, 03:07:07 AM »
bahut khoob Meena ...

bhatak raha hai  kab se mera jeevan ka carvaan
kabhi mujhe raha pasand na aayi aur kabhi humsafar na bhaaye
tune jo chhora mujhe kismat ke sahare
toh mere khawab bhi aa ke mujhe har dam hain rulaaye
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2006, 04:12:17 AM »
Wah kya baat hai Ranju and Meena ji......bahut accha likha hai....
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #5 on: July 19, 2006, 11:59:24 AM »
Quote from: "Meena is back"
Ek koshish...

aye kash agar tumne mera haath tamma na hota,
to bahana na milta badkismati ko tumare pas ane ka,

yuh gherne lage tumhe bhi meri badkismati ke saye,
jaise mil raha ho tujhe tofa mujhse rishta nibane ka,

badla mere ashqon ko muskaan mein hamesha tumne,
lekin, meri kismat ne mauka nahin choda tujhe rulane ka,

kash mai tumari zindagi me na ayi hoti aye dost,
to tujhe bhi mauka milta apne  sapne haqiqat banane ka!


waah waah Meena -Ji ... kya baat hai ... bhaut khoob... aaj bahut der baad aana hua iss mehfil mein ..... kuch likhne ka irada na tha lekin aap ki gazal dekh kar bhalla kassey apne aap ko rokte ... lijiye kucch pesh hai !!


Chodenge na tera daman aye yaar zindgi mein
Jeena bhi ashiqi mein aur marna bhi ashiqi mein

Na mila hota tu mujhye to aye mere humnasheen
Marne ki tammna hamare dil ko hoti zindgi mein

Tu na hota to yun jata mere zindgi ka tamam safar
Na gum hota gum mein na khushi hoti khushi mein

Hai meri ashiqi ka januun, meri tammnao ka sagar
Aata hai tera hi chehra nazar mujhey har kissi mein !!

HumTum
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: July 19, 2006, 12:05:10 PM »
aryaan ji....thank u!  :D

ishu kuddiye...thanx...arree yaar have been busy na!  :D

BS ji...shukriya! :D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: July 19, 2006, 12:08:25 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob Meena ...

bhatak raha hai  kab se mera jeevan ka carvaan
kabhi mujhe raha pasand na aayi aur kabhi humsafar na bhaaye
tune jo chhora mujhe kismat ke sahare
toh mere khawab bhi aa ke mujhe har dam hain rulaaye


shukriya ranjana ji... nice one!

zindagi ki raha par bin rukhe yuh chalte rahe,
kuch log mille kuch humsafar bichadte gaye,
kaise sambalte khud ko, ke te to hum tanha,
Khuda ki khudai me hum to bas badakte rahe!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #8 on: July 19, 2006, 12:17:21 PM »
Quote from: "HumTum is back"

waah waah Meena -Ji ... kya baat hai ... bhaut khoob... aaj bahut der baad aana hua iss mehfil mein ..... kuch likhne ka irada na tha lekin aap ki gazal dekh kar bhalla kassey apne aap ko rokte ... lijiye kucch pesh hai !!

Chodenge na tera daman aye yaar zindgi mein
Jeena bhi ashiqi mein aur marna bhi ashiqi mein

Na mila hota tu mujhye to aye mere humnasheen
Marne ki tammna hamare dil ko hoti zindgi mein

Tu na hota to yun jata mere zindgi ka tamam safar
Na gum hota gum mein na khushi hoti khushi mein

Hai meri ashiqi ka januun, meri tammnao ka sagar
Aata hai tera hi chehra nazar mujhey har kissi mein !!

HumTum


humtum jiiiii... so nice to c u back...kaha te aap? aab mat jayigea kahi pe regular ban jao phir se aap!  sad5
apki reply ke bare me kya kahe...as usuall too gud! ek koshish meri taraf se bhi:

ashqui me ashiquo ko bhalla kya milta hai,
ek pal kushi ke liye umar bhar ka dard apnate hai,

haqiqat ki duniya se sab rishte tood dete hai,
bas sapno ki duniya me apna sansar sajate hai,

zindagi to kabhi nahin rukhegi kisi ke jane se yaha,
phir kyu log kisi ke se bichadne ke baad maut ko bulate hai,

pyar to woh hai jo apne chahanewale ko jeena sikhaye,
bichad kar bhi jo has ke jeete hai,woh sache ashiq kehelate hai!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: July 19, 2006, 02:41:12 PM »
wah kaya baat hai bahoot khoob Meena.... nice Ranju, humtum ji app to hamesha hi kamal ka likhty hai...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: July 19, 2006, 03:10:44 PM »
Quote from: "Meena is back"
Ek koshish...

aye kash agar tumne mera haath tamma na hota,
to bahana na milta badkismati ko tumare pas ane ka,

yuh gherne lage tumhe bhi meri badkismati ke saye,
jaise mil raha ho tujhe tofa mujhse rishta nibane ka,

badla mere ashqon ko muskaan mein hamesha tumne,
lekin, meri kismat ne mauka nahin choda tujhe rulane ka,

kash mai tumari zindagi me na ayi hoti aye dost,
to tujhe bhi mauka milta apne  sapne haqiqat banane ka!




This is really very beautiful Meena ji......


Ranju di... as usual Superb....

Humtum ji..... I have read u first time... Marvellous Reply...
[/b]
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2006, 07:15:49 PM »
shkriya pooja didi...par apne kuch likha hi nahin sad5

shiku kuddide....thanx! :D
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #12 on: July 20, 2006, 02:49:21 PM »
Shukriya Pooja ji and Shikha ji !!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #13 on: July 20, 2006, 02:50:02 PM »
Meena – JI ….. aaj kal hum ik alag hi duniya mein hai ….. iss mehfil mein aana bahut kum hota hai ….. lekin yaqeen manniye aap ke har sher har gazal ke nazar hai hum…. Hamesha ki trah aap ne bahut acha jawab diya hai …. Meena –JI shayad aap ne who song suna hoga:

“Zindgi ki na tutee laadi pyaar kar le gadhi do gahdi
Lambi lambi umriya ko chodo, pyar ki ik ghadi hai badi “

So ashiqo ke liye pyaar ka ik lamha hi puri zindgi se badkar hai …..  kucch jawab mein pesh-e-kidmat hai !!


Ik lamhe mein ‘ta umr ki khusiya pa lete hai
Who sapno mein hi apni duniya bsa lete hai

Hota hai yun bhi ashiqoN ki zindgi ka sabab
Gum ko kar mehmaan dil mein bitha lete hai

Jante hai ke marne wala kabhi lout-ta nhi
Jab aati hai yaad unki, mout ko bula lete hai

AshiqoN ke jeene ka dang kya kahiye allaah
Dil mein hai gum, labo se muskura lete hai!!

HumTum
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: July 20, 2006, 04:18:34 PM »
Wah kaya baat hai HumTm ji, bahoot khoob likha hai apne!!!  Meena ji apk shikayat door karne ki koshish ki hai...

Mil kar jab wo bichar gaya
Kismat se vishwaas hi uth gaya

Kuch mithi aor kuch kadvi yaandein
Jeevan bas isme simat kar rah agaya

Lout ayye wo dard-e-dil ki bas yahi iltzaa rahi
Dekhun na chehra uska kabhi, yah bhi dil kahta gaya

Badkismati kis tarah se Pooja ka naseeb hui
Nafrat bhi ussi se, jise tamam umar dil payaar karta gaya
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:42:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer