Shadi huyi hai meri abhi abhi...
Yaad aati hai purani zindagi kabhi kabhi...
Kya tha pehle jo ab nahi..
sab to hai mere paas bus wo kal nai...
Wo waqt tha jab mere kapdo se koi muje nai pehchanta tha, padaai me avvaal hu issi se har koi muje manta tha.
Ab patti hai jo beshumar pyaar or samman deta hai..
mai kuch ban jaau uske liye har ek kaam karta hai ..
To fir andar ek akelapan kyu hai, sab kuch hote hai huye bhi wo apnapan kyu nai hai.
Maa ka chehraa dhundti hu saasu maa me
pita ka parotsahan khojti hu sasur me...
Wo kehte hai muje roti banana ache se nai aata
par mai jaanti hu muje kisi ka bewkoof banana bhi nai aata,
ghar ke kaam me bhi ab sabse agey hu ye hi tarkeeb thi unke paas aaney ki
bus dhundti rehti hu har raah pyaar paane ki.
Bdo ki izaat karti hu choto se pyaar karti hu
apne maa baap ka bhaar uthaati hu samaj seva karti hu, pdaai me gold medal bhi laati hu
par kyu koi ye sab na dekh ke dekhta hai mai apne saath maykey se kyaa kyaa laati hu.
Ghunghat daalne se nai sidh hoga ki mai izaat karti hu,
dahej ke Taney sunke mai aaj bhi bhot darti hu
Muje hasna khelna zindagi jeena pasand hai
par unka maan na hai ki bahu se zada haskey boley to wo sar chadd jaaegi...
kya aisi soch se ek bahu unhe apna bnaa paegi?
Apni veshbhusha badal daali ..
apne maa baap ka khyaal rakhugi kaha to bus mili muje gaali..
Duniya ke sabse bdey bank me kaam karti hu mai,
yaha tak jin maa baap ne pahunchaya aaj unse milne chup chup ke jaati hu mai.
Sar chadna kya hota hai muje bhi koi btaao
in dakiya nusi baaton ka sahi matlab to sunao
Jis din bahu ke chehre me dikh jaaega beti ka aks..
mere liye bn jaaegey bhagwan wo shaqs...
Sab kuch seh jaati hu par mai jab patti ka saath mil jaata hai..
unhe dekh kar chehra mera khil jaata hai
Shaadi huyi hai meri abhi abhi.
Par Yaad aati hai purani zindagi kabhi kabhi...