- Bahu -

by Meena is back on July 24, 2007, 02:30:26 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 6776 times)
Meena is back
Guest
raat ko neend nahin ayi to raat bar sochti rahi ke kis topic pe aur likha jaye to mere dimag me yeh topic aya jo ke aab bhi hota hai india me. dahej ki lalach me log bol jate hai ke woh kisi aur ke angan ke phool ko leke aye hai aur unke sath acha saluk nahin karte. ek koshish pesh hai:

Ek ghar chodti hai ladki, ek ghar basane ke liye,
Gairon ko apnaati hai ladki, naye rishte nibane ke liye,

Kuch sapne, kuch tamanye leke ati hai kisi ki ladli,
Kismat naya rukh lati hai uski zindagi dikhane ke liye,

Tarasti hai who hurdum pyar ki kuch mithi baato ke liye,
Par sirf gaaliyon ka shor hi hota hai sunane ke liye,

Do waqt ki sukhi roti mil hi jati hai hai usse,
Par laati ki mar bhi hoti hai saath me khilane ke liye,

Sehe leti hai sab kuch woh, apne gareeb maa baap ki katir,
Unhe hi yaad karti hai who zindagi me thoda muskurane ke liye,

Kisi ek ki nahin, bohot ki yeh kahaani hai “Meena”,
Shayad bahuyen hoti hi hai, zinda jalane ke liye!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Saas aur bahu~~.... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
KYUNKI SAABHI KABHI BAHU THI.......... by unicorn_girl in Movies, TV and Entertainment
Bahu ka affair by aashu in SMS , mobile & JOKES
khushi ooNche gharaane ki bahu hai...!! by ghayal_shayar in Urdu Poets
Bahu Ka Dil... by Mohira in Shayri-E-Dard
sanya310
Guest
«Reply #1 on: July 24, 2007, 02:34:18 PM »
this is beautiful Meena, cant even express how wonderfully uve written .. im in love with this one! Its amazing how uve put so much emotion..aankhon mein aansu agaye..
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: July 24, 2007, 02:55:40 PM »
thanks sanya kuddiye for liking it!!! bas is topic ke bare me soch rahi ti phir woh ek movie yaad aa gayi mujhe "Saajan ka ghar" aur poem ban gayi  :D
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 24, 2007, 05:00:24 PM »
good one...bahut achi soch hai aapki
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #4 on: July 24, 2007, 07:37:26 PM »
That is nicely knitted Meena !
What I want to say that it is reality of many but not of all. WE should see other half too where women are happy.. they married !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: July 24, 2007, 09:40:55 PM »
wah kaya baat hai, bahoot khoob Mena!!! bahoot acha likha hai..
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: July 25, 2007, 12:02:52 AM »
Quote from: "Meena is back"
raat ko neend nahin ayi to raat bar sochti rahi ke kis topic pe aur likha jaye to mere dimag me yeh topic aya jo ke aab bhi hota hai india me. dahej ki lalach me log bol jate hai ke woh kisi aur ke angan ke phool ko leke aye hai aur unke sath acha saluk nahin karte. ek koshish pesh hai:

Ek ghar chodti hai ladki, ek ghar basane ke liye,
Gairon ko apnaati hai ladki, naye rishte nibane ke liye,

Kuch sapne, kuch tamanye leke ati hai kisi ki ladli,
Kismat naya rukh lati hai uski zindagi dikhane ke liye,

Tarasti hai who hurdum pyar ki kuch mithi baato ke liye,
Par sirf gaaliyon ka shor hi hota hai sunane ke liye,

Do waqt ki sukhi roti mil hi jati hai hai usse,
Par laati ki mar bhi hoti hai saath me khilane ke liye,

Sehe leti hai sab kuch woh, apne gareeb maa baap ki katir,
Unhe hi yaad karti hai who zindagi me thoda muskurane ke liye,

Kisi ek ki nahin, bohot ki yeh kahaani hai “Meena”,
Shayad bahuyen hoti hi hai, zinda jalane ke liye!


Meena aapne bahut accha likha hai...sach ...Kadwa sach...!! :cry:
Hum sirf bathein karte hai... There are many Women still
suffer a lot..,  ghar main ... baher duty jagah main... her jagah
main aaj bhi auraton ko peeda utani padti hai.
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #7 on: July 25, 2007, 07:54:26 AM »
khwais ji.... shukriya ji!!!

ricky ji... well definitly it does not apply to all women in india. its just one topic about few women. aaab agar koi bewafa sanam ke bare me likhta hai to iska matlab yeh bhi to nahin hota ke duniya ka har ashiq bewafa hai. its just a topic which i picked up!!

Pooja didi....thank u ji thank u didi!!! Usual Smile

Roja ji... dhayawad!!! Usual Smile
Logged
paani
Guest
«Reply #8 on: July 27, 2007, 08:39:24 AM »
Kya bayaa kiya hai aapne bahu ka dard...

SACH...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: July 30, 2007, 08:51:25 AM »
Waah Meena bahoot Khoob aar Superb,...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 30, 2007, 09:01:55 AM »
Chordkar Angan Apna Gairon Ka Ghar Basaati Hai,..
Pait Nahi Bharta Do Roti Se Jab,. Tab Galiyaan Bhi Khaati Hai,..

Dehaj Ke Lalji Log Bhool Jaate Hain Ke Unke Bhi Beti, Behne Hain,..
Jinhe Rukhsat Unhe Bhi Karna Hai Phir Ye Baat Unke Samajh Kyun Nai Aati Hai,..

Mazloom Bahu Par Karti Hai Saas Zulm Bahoot Pati Bhi Marta Hai,..
Mooh Se Kuch Kehti Nahi ye Dil Se Aah De Jaati Hai,..

Naukraani Ki Halat Behtar Hain Inse Wo To Zabaan Chalaati Hai,..
Par Ye Bahuyein Lachaar Hain Jo Sab Seh Jaati Hai,..

_______________________-Azeem-______________________

Logged
Meena is back
Guest
«Reply #11 on: July 30, 2007, 12:28:37 PM »
thanks pani ji...and azeem ji...bohot hi khoobsurat likha hai apne!!

 :D
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 31, 2007, 02:36:27 PM »
Quote from: "Meena is back"
thanks pani ji...and azeem ji...bohot hi khoobsurat likha hai apne!!

 :D

Shukriya Ji,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:08:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer