Balaatkaar--- sharm aati rahi~~Saahil

by salil2002 on July 18, 2009, 06:24:51 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 9104 times)
salil2002
Guest
bahut se doston ko yeh topic shayad achcha na lage magar meinb yahan ashleelta nahin faila kar .sirf ek sachchai ko bayaan kar raha haoon

woh der tak madad k liye roti chillati rahi
har dar par chaukhat par sar ko takraati rahi
thak haar kar phir oosne khudko bhediyo k hawale kar diya
oon haiwaano kii hansi fiza ko dehlaati rahi

phir woh manjar jab thama, ek majma lag gaya
phir badi der tak woh bheed aapas main batyaati rahi
kissii ne na haal poochha oos masoom ka
lalchi aankhen har kissii ki laar tapkaati rahi

bahut royi manaavta apni beti kii asmat lutti dekhkar
is napunsak samaaj ko gaali barsaati rahi
kaanp jaati thi woh oos ladki kii khamoshi dekhkar
aankhon mein jiski maut kii parchhayi mandarati rahi

agle roz akhbaar mein ek tasveer aayi laash kii
jiski surat logon ko uski yaad dilaati rahi
koi bola karti bhi kya woh bechari ji kar
sun kar yeh baat mujhe khud pe sharm aati rahi
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: July 18, 2009, 06:28:17 AM »
I am speechless to comment over here but this for you  Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: July 18, 2009, 06:48:04 AM »
Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: July 18, 2009, 06:49:46 AM »
I am speechless to comment over here but this for you  Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
bahut bahut shukriya shally and sophi dear
aapki taareef ne hosla badaya mera...magar agar aap dono bhi is mudde par kucch kehte toh badiya lagta
Logged
k.shael
Guest
«Reply #4 on: July 18, 2009, 09:15:36 AM »
Salil aap ne kaha to dil se bhi aawaj aayi ki iss topic pe kuch likh doo.n, par mein yahi likhna chahti ho ki aab aurat ko jagna chahiye, bahut ho gaye ye tamashe, aab use khud apni daal banna hoga na ki marna hoga.. bass isi ke upar kuch lines add kar rahi hoo.n, umeed hai kuch aacha likh pao.n..


Kab tak sahogi tum log ye sab kab tak marti jaogi,
Kyun inn haiwano ki lalsa ko apni mout banati jaogi..

U marne, rone bikharne se kya hoga batlao mujhe,
Kab talak khud ki kamjori ko majboori naam deti jaogi,

Parda tha kabhi teri shaan, maryada ka gawah,
Par iss parde ki aad me kab talak sehmi chipi reh paogi..

Tum Naari ho, saari duniya tere hi haath me hai,
Aaj khud ko marogi to kaise kal kisi aur ko bachaogi..

Kyun aise darindo ki lalsi nazron ka jawab nahi deti,
Kab tak u doult ban ke inn kamino ke haath lut.ti jaogi,

Aaj agar inke aage haar kar khud ko maar dogi to
batao mujhe kaise kal ko kisi aur ko bachaogi..

Shally.

Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: July 18, 2009, 09:19:43 AM »
Superb Shally... bahoot bahoot inspiring likha hai... bahoot khooob!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: July 18, 2009, 09:56:50 AM »
Salil aap ne kaha to dil se bhi aawaj aayi ki iss topic pe kuch likh doo.n, par mein yahi likhna chahti ho ki aab aurat ko jagna chahiye, bahut ho gaye ye tamashe, aab use khud apni daal banna hoga na ki marna hoga.. bass isi ke upar kuch lines add kar rahi hoo.n, umeed hai kuch aacha likh pao.n..


Kab tak sahogi tum log ye sab kab tak marti jaogi,
Kyun inn haiwano ki lalsa ko apni mout banati jaogi..

U marne, rone bikharne se kya hoga batlao mujhe,
Kab talak khud ki kamjori ko majboori naam deti jaogi,

Parda tha kabhi teri shaan, maryada ka gawah,
Par iss parde ki aad me kab talak sehmi chipi reh paogi..

Tum Naari ho, saari duniya tere hi haath me hai,
Aaj khud ko marogi to kaise kal kisi aur ko bachaogi..

Kyun aise darindo ki lalsi nazron ka jawab nahi deti,
Kab tak u doult ban ke inn kamino ke haath lut.ti jaogi,

Aaj agar inke aage haar kar khud ko maar dogi to
batao mujhe kaise kal ko kisi aur ko bachaogi..

Shally.


awesome reply shally dear
.......i m speech less

Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: July 18, 2009, 10:02:18 AM »
Superb Shally... bahoot bahoot inspiring likha hai... bahoot khooob!

Shukriya Sophi dear..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: July 18, 2009, 11:34:58 AM »
awesome reply shally dear
.......i m speech less



Shukriya Salil Ji..

Shally.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #9 on: July 18, 2009, 11:35:32 AM »
waah bahot khoob likha hai aapne Salil  Applause Applause Applause Applause
ek naye aur alag topic pe khoob likha hai
very nice

aur Shael ji aapne bhi bahot khoob likha hai  Applause Applause Applause
bahot khoob,behatreen


Shukriya Kaash Ji,..

Shally.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2009, 11:40:56 AM »
Wah Saahil ji really sad and touching creation.excellent.samajh mein nahi aati kya kanhu. Applause Applause Applause
Shally ji aapne bhi bahut khoob likha. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: July 18, 2009, 01:57:49 PM »
kya baat hai saahil ji.......

luti meri izzat,mera hua balaatkaar,
khadi beed ne mujhko aise dekha,
jaise khud main hun iski zimeindaar.

koi mard  na mere saamne aaya,kisi ne na kaha,
ham un bhediyun ko pakar kar ,un ko sazaa dila degen.
ulta luti izaat meri dekh kar,
mujhe aur kar rahete sharamsaar.

kya fayeda aisi duniya main jeekar,
jahan mardo ki mardani hai,kisi ki izzat lut na,
aur zindagi bhar tak,usko uska ehsaas dilana.


shally ji aapne bhi  bahut hi badiya likha hai.


Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: July 18, 2009, 02:44:03 PM »
kya baat hai saahil ji.......

luti meri izzat,mera hua balaatkaar,
khadi beed ne mujhko aise dekha,
jaise khud main hun iski zimeindaar.

koi mard  na mere saamne aaya,kisi ne na kaha,
ham un bhediyun ko pakar kar ,un ko sazaa dila degen.
ulta luti izaat meri dekh kar,
mujhe aur kar rahete sharamsaar.

kya fayeda aisi duniya main jeekar,
jahan mardo ki mardani hai,kisi ki izzat lut na,
aur zindagi bhar tak,usko uska ehsaas dilana.


shally ji aapne bhi  bahut hi badiya likha hai.




Bahoot Khoob Cera ji.. Wakai.. bahoot khoob kaha hai aapne...

Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #13 on: July 18, 2009, 04:32:58 PM »
Wah Saahil Ji
touching poem
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #14 on: July 18, 2009, 04:33:20 PM »
Wah wah Shally Ji
nice addition
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:44:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer