banaaye ret ke ghar humne saahil meiN khayaaloN ke (zarraa)

by zarraa on October 24, 2012, 08:03:03 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1456 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
aseeree meiN jiye jaate haiN zindaaN meiN malaaloN ke
gunahgaar aaj ke haiN aur mujrim guzre saaloN ke

(aseeree = captivity, zindaaN = prison, malaaloN = regrets/remorse)


safar ki daastaaN kehte koyee manzil agar paate
chalo kisse suna dete haiN kuchh pairoN ke chhaaloN ke


jalee hai baaraha bastee ye apne hi charaaghoN se
n iskee or karna rahnuma tum rukh mashaaloN ke

(baaraha = repeatedly, rahnuma = guide/leader)


mitaane ke liye isko kahaaN tum dhooNdhtee lehreiN
banaaye ret ke ghar humne saahil meiN khayaaloN ke


kaha kya-kya naheeN humne bhi apne aap ko ab tak
lageNge kya bure alfaaz humko kehne-waaloN ke


firaaqoN ke zamaanoN meiN rahe naashaad dil lekin
magar jis waqt ye toote wo mausam the wisaaloN ke

(naashaad = sad/depressed)


sawaal uth’te gaye jitne jawaab utne gaye dete
jawaaboN se bhala muNh band kab hote sawaaloN ke


kabhi pee leiN bahar saara kabhi ik booNd meiN doobeiN
humeiN hairaan chehre achchhe lagte duniya-waaloN ke

(bahar = ocean)


naye is daur meiN kya-kya n jaane kis-liye hoga
wagarna qadr-daaN hum bhi puraane the misaaloN ke

(wagarna = otherwise)


bahaut dekha inheiN par aaj bhi karte gumaaN paida
nasha mayy ka sukhan “zarraa” ka ghamze mah-jamaaloN ke

(gumaaN = doubt/supposition, mayy = liquor, sukhan = poetry, ghamze = amorous glances, mah-jamaaloN = moon faced beauties)


- ZARRAA
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #1 on: October 24, 2012, 08:03:44 AM »
aseeree meiN jiye jaate haiN zindaaN meiN malaaloN ke
gunahgaar aaj ke haiN aur mujrim guzre saaloN ke

(aseeree = captivity, zindaaN = prison, malaaloN = regrets/remorse)


safar ki daastaaN kehte koyee manzil agar paate
chalo kisse suna dete haiN kuchh pairoN ke chhaaloN ke


jalee hai baaraha bastee ye apne hi charaaghoN se
n iskee or karna rahnuma tum rukh mashaaloN ke

(baaraha = repeatedly, rahnuma = guide/leader)


mitaane ke liye isko kahaaN tum dhooNdhtee lehreN
banaaye ret ke ghar humne saahil meiN khayaaloN ke


kaha kya-kya naheeN humne bhi apne aap ko ab tak
lageNge kya bure alfaaz humko kehne-waaloN ke


firaaqoN ke zamaanoN meiN rahe naashaad dil lekin
magar jis waqt ye toote wo mausam the wisaaloN ke

(naashaad = sad/depressed)


sawaal uth’te gaye jitne jawaab utne gaye dete
jawaaboN se bhala muNh band kab hote sawaaloN ke


kabhi pee leiN bahar saara kabhi ik booNd meiN doobeiN
humeiN hairaan chehre achchhe lagte duniya-waaloN ke

(bahar = ocean)


naye is daur meiN kya-kya n jaane kis-liye hoga
wagarna qadr-daaN hum bhi puraane the misaaloN ke

(wagarna = otherwise)


bahaut dekha inheiN par aaj bhi karte gumaaN paida
nasha mayy ka sukhan “zarraa” ka ghamze mah-jamaaloN ke

(gumaaN = doubt/supposition, mayy = liquor, sukhan = poetry, ghamze = amorous glances, mah-jamaaloN = moon faced beauties)


- ZARRAA
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 24, 2012, 08:28:49 AM »
Zarra Jee Aadaab!


Janab aapke khayaalaat behad gehre aur pur asar hai.... Kafi achchi
kalaam meiN aapne khoob khayaaloN ko baNdha hai... Usual Smile


Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe janab.. Is khoob aur umdaa kalaam
par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #3 on: October 24, 2012, 09:20:33 AM »

Aadaab Parwaaz ji ... Waqt dene ka aur pasand karne ka bahaut bahaut shukriya janaab !

Zarra Jee Aadaab!


Janab aapke khayaalaat behad gehre aur pur asar hai.... Kafi achchi
kalaam meiN aapne khoob khayaaloN ko baNdha hai... Usual Smile


Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe janab.. Is khoob aur umdaa kalaam
par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
anmolarora
Guest
«Reply #4 on: October 24, 2012, 09:35:28 AM »
Bahut khoob bahut khoob likha hai aap ne
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #5 on: October 24, 2012, 10:15:42 AM »
Bahut khoob bahut khoob likha hai aap ne

Apka bahaut bahaut shukriya Anmol ji
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: October 24, 2012, 10:47:27 AM »
bahut hee khoob peshkash dheron daad aur ek rau
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #7 on: October 24, 2012, 11:03:08 AM »
bahut hee khoob peshkash dheron daad aur ek rau

Saini sahab ... Hauslafzaayee ke liye tah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:39:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer