Barsaat ke badal

by nikki on July 02, 2005, 05:10:14 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Author  (Read 20435 times)
Aryaan
Guest
«Reply #105 on: August 03, 2005, 11:28:41 PM »
Quote from: "nikki"
wowww very nice Aryaan n JHL.....

barsaat ke badal kissi ke liye khushiyan laye
to kissi ke liye gum
jab humne apna hissa manga....to dhaane lage sittam

"shayad hamare liye unke paas paani kum tha..
yeh kya kissi sittam se kam tha.."

Thanx Nikki....& Nice Reply.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
barsaat by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badal To Ghirr Ke Aaye The Barsaat Reh Gayi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
kapDe badal badal kar by zidd in Ghazals « 1 2  All »
nikki
Guest
«Reply #106 on: August 04, 2005, 06:25:19 PM »
thanx a lot Aryaan ............................................
Logged
Pooja
Guest
«Reply #107 on: August 04, 2005, 06:35:28 PM »
good job Aryaan, niki and JHL JI...................................
Logged
nikki
Guest
«Reply #108 on: August 04, 2005, 06:37:46 PM »
thanks to  u sis.............................................. .............
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #109 on: August 04, 2005, 08:16:27 PM »
Quote from: "Pooja"
good job Aryaan, niki and JHL JI...................................

Shukriya Pooja...
Logged
ajnabi musafir
Guest
«Reply #110 on: August 05, 2005, 04:26:00 AM »
Very nice Nikki Ji. sabdo ko pirona to koi aapse sekhe!!!!!!!!!!!

Pradeep



Quote from: "nikki"
Meri ek choti si koshish....hope aap sabko pasand ayegi


hum gaye the samander ke kinare
apne dil ko zara behlane
magar tabhi ghir aye kaale baadal
humara aanchal bhigaane

woh na jaante the hum ro rahe hain
woh naadan to hume bhiga kar khush ho rahe hain

unhe kya pata woh hume bhigaane ke saath -2
hamaare aansun bhi dho rahe hain

hum zamaane se khud ko chupana chahte the
akele mein baith kar apne gumon ka hisaab lagana chahte the

magar yeh baarish humein yaad fir se woh pal dila rahi hai
jise bhoolne aye the abb fir se unki yaad aa rahi hai

yeh kaisa kudrat ka karishma hai
jab bhi unhe bhoolna chaha
had se jiyada yaad kiya hai

in baadlon ki mehrbaani jinhone fir se
hamare dukh mein hamara saath diya hai

dho daale hamare woh aanso
log kehte hain jinhone hamara chehra kharaab kiya hai

dukh is baat ka hai ,woh laut kar nahi aya
jiska humne tamaam-umr intzaar kiya hai

[/b]
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #111 on: August 06, 2005, 05:35:10 PM »
Thanks a lot Nikki and Pooja ...
And you too were good Nikki ...
Keep it up ...


Pyaasi thi zameen lahu pila diya,
Waqt ka karz tha use bhi chuka diya,
Main bola tha ek chirag jalaane ko,
Aapne isi bahaabe mera ghar jalaa diya ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #112 on: August 08, 2005, 05:41:18 PM »
thanx a lot Pradeep ji n JHL............n nice one again

jinke khud ke ghar ujde hain
woh kissi ka ghar ka jalayenge

jo har mausam mein roya ho
usse bhala barsaat ke baadal kya bhigayenge
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #113 on: August 08, 2005, 05:49:59 PM »
Quote from: "ajnabi musafir"
Very nice Nikki Ji. sabdo ko pirona to koi aapse sekhe!!!!!!!!!!!

Pradeep



Quote from: "nikki"
Meri ek choti si koshish....hope aap sabko pasand ayegi


hum gaye the samander ke kinare
apne dil ko zara behlane
magar tabhi ghir aye kaale baadal
humara aanchal bhigaane

woh na jaante the hum ro rahe hain
woh naadan to hume bhiga kar khush ho rahe hain

unhe kya pata woh hume bhigaane ke saath -2
hamaare aansun bhi dho rahe hain

hum zamaane se khud ko chupana chahte the
akele mein baith kar apne gumon ka hisaab lagana chahte the

magar yeh baarish humein yaad fir se woh pal dila rahi hai
jise bhoolne aye the abb fir se unki yaad aa rahi hai

yeh kaisa kudrat ka karishma hai
jab bhi unhe bhoolna chaha
had se jiyada yaad kiya hai

in baadlon ki mehrbaani jinhone fir se
hamare dukh mein hamara saath diya hai

dho daale hamare woh aanso
log kehte hain jinhone hamara chehra kharaab kiya hai

dukh is baat ka hai ,woh laut kar nahi aya
jiska humne tamaam-umr intzaar kiya hai

[/b]


wow  so  sweet  Nikki.................kya baat hai...........bahot  khoob  aap  ne  likha.............

Kuch Taluq Jo Agar Na Hota,To Khafa Kyon Hotay...
Be-Rukhi Unki, Mohabbat Ka Pata Deti hay...!!!,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,nm
Logged
nikki
Guest
«Reply #114 on: August 09, 2005, 07:34:18 PM »
thanx a lot Waheed n nice one........................................
Logged
pandit
Guest
«Reply #115 on: August 09, 2005, 07:41:43 PM »
aah baaki hai karaah baaki hai,
tumnse mi9lne ki chah baaki hai,
zindagi ne saza suna de hai .
ab to karna gunaah baaki hai.
Logged
nikki
Guest
«Reply #116 on: August 09, 2005, 08:01:57 PM »
too gud Pandit........................................... .................................
Logged
Just_Hate_Love
Guest
t
«Reply #117 on: August 16, 2005, 05:14:04 PM »
Quote from: "nikki"
thanx a lot Pradeep ji n JHL............n nice one again

jinke khud ke ghar ujde hain
woh kissi ka ghar ka jalayenge

jo har mausam mein roya ho
usse bhala barsaat ke baadal kya bhigayenge



Thanks a lot Nikki and nice one too ...


Zulm ke paavo se jo phool masle jaate hai,
Khaar bankar wohi patthar pe nikal jaate hai,
Dhoop thi tej to saaye bhi the pairo tale,
Iske dhalte hi rukh inke bhi badal jaate hai ...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #118 on: August 16, 2005, 06:06:59 PM »
Quote from: "nikki"
thanx a lot Waheed n nice one........................................


Thanx  Alot  Nikki................   very  nice  pandit......... jhl.................  tongue3
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #119 on: August 21, 2005, 11:28:14 AM »
Thanks a lot Waheed for appreciation ...


Saath chal rahe hai paas aa sakte nahi,
Ek nadi ke do kinaro ko mila sakte nahi,
Raaz jab dil se apna bahar hua to,
Ret pe gire aansu ko utha sakte nahi ...
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 09:57:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer