Barsaat ke badal

by nikki on July 02, 2005, 05:10:14 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 30
Print
Author  (Read 20254 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: July 03, 2005, 12:11:55 AM »
Asmaan pe, baadalon mein, jaane kya saazish huwi
 Mera ghar mitti ka tha, mere hi ghar baarish huwi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
barsaat by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badal To Ghirr Ke Aaye The Barsaat Reh Gayi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
kapDe badal badal kar by zidd in Ghazals « 1 2  All »
Aryaan
Guest
«Reply #16 on: July 03, 2005, 02:52:22 AM »


Suno, Tumhein Barasti Baarish Bohat Pasand Hai Na
Tau, Aao Dekho
Aaj muQaabla hai
Rim Jhim Barasti Baarish Ka
Mere Behtey Aansuon Se..
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #17 on: July 03, 2005, 05:41:12 AM »
wah wah wah...............u all r just GR8........good work !!!!!!
Logged
dolly
Guest
«Reply #18 on: July 03, 2005, 06:44:58 AM »
Quote from: "nikki"
Meri ek choti si koshish....hope aap sabko pasand ayegi


hum gaye the samander ke kinare
apne dil ko zara behlane
magar tabhi ghir aye kaale baadal
humara aanchal bhigaane

woh na jaante the hum ro rahe hain
woh naadan to hume bhiga kar khush ho rahe hain

unhe kya pata woh hume bhigaane ke saath -2
hamaare aansun bhi dho rahe hain

hum zamaane se khud ko chupana chahte the
akele mein baith kar apne gumon ka hisaab lagana chahte the

magar yeh baarish humein yaad fir se woh pal dila rahi hai
jise bhoolne aye the abb fir se unki yaad aa rahi hai

yeh kaisa kudrat ka karishma hai
jab bhi unhe bhoolna chaha
had se jiyada yaad kiya hai

in baadlon ki mehrbaani jinhone fir se
hamare dukh mein hamara saath diya hai

dho daale hamare woh aanso
log kehte hain jinhone hamara chehra kharaab kiya hai

dukh is baat ka hai ,woh laut kar nahi aya
jiska humne tamaam-umr intzaar kiya hai

[/b]


wow wow....NIKKI sis....bahut bahut achha likha hai yaa......very very nice.....!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #19 on: July 03, 2005, 09:13:02 AM »
Quote from: "nikki"
gud gud Thy......

koshish karke dekh li
magar in aankhon mein aanson nahi aye

abb kahan se bahar niklenge woh paani ke katre
jo humne khud apni aankhon mein the chupaye


very  nice   nikki..................aryan................  bahot  accha aap  dono  ne likha.....
Logged
nikki
Guest
«Reply #20 on: July 03, 2005, 09:15:55 AM »
thanx a million Aryaan, Isha n Dolly sis ......jab likhi thi to pata na tha aap sabko itni pasand ayegi.

bahut hi acha reply kiya hai aapne Aryaan..
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: July 03, 2005, 11:01:03 AM »
Quote from: "nikki"
Meri ek choti si koshish....hope aap sabko pasand ayegi


hum gaye the samander ke kinare
apne dil ko zara behlane
magar tabhi ghir aye kaale baadal
humara aanchal bhigaane

woh na jaante the hum ro rahe hain
woh naadan to hume bhiga kar khush ho rahe hain

unhe kya pata woh hume bhigaane ke saath -2
hamaare aansun bhi dho rahe hain

hum zamaane se khud ko chupana chahte the
akele mein baith kar apne gumon ka hisaab lagana chahte the

magar yeh baarish humein yaad fir se woh pal dila rahi hai
jise bhoolne aye the abb fir se unki yaad aa rahi hai

yeh kaisa kudrat ka karishma hai
jab bhi unhe bhoolna chaha
had se jiyada yaad kiya hai

in baadlon ki mehrbaani jinhone fir se
hamare dukh mein hamara saath diya hai

dho daale hamare woh aanso
log kehte hain jinhone hamara chehra kharaab kiya hai

dukh is baat ka hai ,woh laut kar nahi aya
jiska humne tamaam-umr intzaar kiya hai

[/b]


Bohot hi khoob Nikki dear !!!

Aur Humtum...Amit..Waheed...Aryaan ne bhi bohot achcha likha hai....
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: July 03, 2005, 11:03:00 AM »
Jab bhi cha jaa te hain aasmaan main baadal
Ek chote se ghar main andhera ho jaata hai
Aasmaan rota hai kabhi raat kabhi din bhar
Jaane kya soch ke dil mera chupchap rota hai !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #23 on: July 03, 2005, 11:06:02 AM »
Thanx a lot Talat sis....aapne bahut hi acha likha hai............

ise badlon ki aadat kahun
ya main apni kismat
jab bhi ghar banaya tinko ka
baarish ne tod diya

abb to hum galiyon ke musafir ho gaye hain
gharon mein rehna hi chod diya
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: July 03, 2005, 11:14:49 AM »
Thanks Nikki....phir se  bohot achcha !!!!

Ashiaana jab bhi dekhti hoon main kisi ka
Ek chota sa ghar mujhe yaad aa jaata hai
Jaane kyun dushman hue ye badal ye hawaain
beh gaye saare tinke toot gaya gharonda !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #25 on: July 03, 2005, 11:23:03 AM »
nice one as always.....n thanx Talat sis.......

kissi ki kashti doobi to mujhe mera fasaana yaad aya
woh toofan woh hawayein, woh pyar poorana yaad aya
kissi pe karke bharosa,dil diya tha humne
magar woh uska bedardi se dil mera tod ke jaana yaad aya
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: July 03, 2005, 11:44:46 AM »
Usual Smile

Kashtiyaan toot jaati hain is toofan-e-ishq main
Aur chiraagh-e-zindagi bujha jaati hain hawaain
Bhoolne waale phir door basa lete hain basti dil ki
Aur hum ko milti hain ta umr dil lagane ki sazaain !!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #27 on: July 03, 2005, 11:48:16 AM »
its simply beautifully Talat sis.........

woh mujhe dil lagane ki saza de gaya hai
na samajh tha jo karke pyar daga de gaya hai
samajhta hai bhool jaongi usse
nahi jaanta, kabhi na bhoolne ki saza de gaya hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #28 on: July 03, 2005, 11:50:46 AM »
Wow ...
What a fantastic caompetition ...
That was cool one Nikki and Talat ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #29 on: July 03, 2005, 11:53:23 AM »
thanx a lot JHL, magar yeh compitition nahi ho raha hai....just shayari chal rahi hai...aap bhi contribute kijiye na............
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:59:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer