Barsaat ke badal

by nikki on July 02, 2005, 05:10:14 PM
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 30
Print
Author  (Read 20340 times)
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #165 on: April 05, 2006, 12:37:21 PM »
Thanks a lot all of you  and welcome too ...
Good job everyone ...
Keep it up all ...


Zindagi jaisi tamanna thi nahi kuchh kam nahi,
Har ghadi hota hai ehsaas kahi kuchh kam nahi,
Ghar ki taameer tasveer hi mein ho sakti hai,
Apne nakshe ke mutabik ye jarmi kuchh kam nahi ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
barsaat by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badal To Ghirr Ke Aaye The Barsaat Reh Gayi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
kapDe badal badal kar by zidd in Ghazals « 1 2  All »
nikki
Guest
«Reply #166 on: April 06, 2006, 04:36:05 PM »
too gud JHL n thanx...

aaj aankhon mein fir se badal chaye hain
kissi ne dil pe thes lagayi hai aaj fir
tabhi apne zakhm porane yaad aaye hain

kissi ki hassi mein khud ke gum bhool baithi thi
aaina dekha to haqiqat nazar aayi...
yeh jo khushiya hain tere liye khawaab hain nikki
teri jholi mein to be-intihaa gumon ke saye hain
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #167 on: April 06, 2006, 04:59:17 PM »
Barsaat ke badaloon mein khud ko bigata hoon
Koi dekh ne le so barsaat mein asqh bahata hon
Tum se milne ki tamm-na rakhta hoon dil mein
Tu aaye na aaye lekin tera intzaar kiye jata hoon !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #168 on: April 06, 2006, 05:01:12 PM »
Wahh bohat khoob nikki sis.Nice ones Tushar n JHL too.

"Barsaat me lagaya koi paudha kabhi bejaan nahi hota,
      barsaat me ki mohabbat kabhi bhulaayi nahi jaa sakti,
      narazgi hai rab se shayad jo banayi usne ye barsaat,
     mohabbat ki daastanein hain bohat in barsaat k baadalon me."
Logged
nikki
Guest
«Reply #169 on: April 06, 2006, 05:04:58 PM »
too gud both of u....

jab kissi ka sahara nahi rehta
to barsaar ke badal hi aa jaate hain saath nibhane
dil ki aag jab paani bankar behti hai
to barish mein bheegne lagte hain diwane

yeh sach hai dil ke dukh sunaye nahi jaata
humse to kissi ke saamne ashq bahaye nahi jaate
kabhi sochti hun agar yeh baarish na hoti to Nikki kis mausam mein roti??
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #170 on: April 06, 2006, 05:10:59 PM »
Tune di ahi iti ruwaai ke muuh chupa ke rota hoon
kabhi sir utha ke ti kabhi sir jukha ke rota hoon
Rona hi jab naseeb to auroon se gila kya karien
Mein apne gum ko dil mein bsa ke rota hoon !!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #171 on: April 06, 2006, 05:19:23 PM »
sad5 so nice.

"Sach hi hai jo na hoti barsaat to kya hota deewanon ka,
      na mil paata wo waqt tanhaaiyon me khud ko samjhane ka,
      kabhi waqt pe to kabhi bewaqt aake mera saath deti hai ye,
      laati hai baadalon ka dher chupa lete hain jo ashq apne anchal me,
      na kisi ko khabar bhi lag paati hai ki abhi main royi bhi thi,
      sach hi hai,agar barsaat na ho to kaun itna wafadaar saathi hai."
Logged
nikki
Guest
«Reply #172 on: April 07, 2006, 07:10:31 AM »
too gud Nidhi n Humtum...

ghir ke aaye kaale badal jaise barsenge
magar inke paimaane khali the...
kehne lage ...kya hua tum bahut dino se royi nahi?
yeh to kamaal ho gaya...kya abb badal bhi paani ke liye tarsenge
Logged
nandini
Guest
«Reply #173 on: April 07, 2006, 07:16:57 AM »
na tasweer he tumhaari jo deedar kiya jaaye,
na tum paas ho jo pyaar kiya jaaye,
ye kon sa dard diya he tumne ?
na kuch kaha jaaye na tum bin raha jaaye
Logged
nikki
Guest
«Reply #174 on: April 07, 2006, 08:08:20 AM »
very nice Nandini
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #175 on: April 07, 2006, 08:42:38 AM »
bahut khoob humtumji, nikki ji, nidhi ji, nandini ji...
Logged
nikki
Guest
«Reply #176 on: April 07, 2006, 09:24:51 AM »
thanx Gesu..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #177 on: April 07, 2006, 09:33:08 AM »
very  nice  Nikki.........Nidhi........... Nandani..........bahot accha aap  sabhi ne likha.....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #178 on: April 07, 2006, 09:35:26 AM »
Very Nice Nikki....Nidhi...Nandani and all......

Dekho aaj Barsaat ke badal mere ghar ko ghere hai.....
Tapkayenge yeh Ansoon Mere seene mein Dard ne liye phere hain.....!!!!
Logged
qayda
Guest
«Reply #179 on: April 07, 2006, 03:34:51 PM »
Quote from: "nikki"
Meri ek choti si koshish....hope aap sabko pasand ayegi


hum gaye the samander ke kinare
apne dil ko zara behlane
magar tabhi ghir aye kaale baadal
humara aanchal bhigaane

woh na jaante the hum ro rahe hain
woh naadan to hume bhiga kar khush ho rahe hain

unhe kya pata woh hume bhigaane ke saath -2
hamaare aansun bhi dho rahe hain

hum zamaane se khud ko chupana chahte the
akele mein baith kar apne gumon ka hisaab lagana chahte the

magar yeh baarish humein yaad fir se woh pal dila rahi hai
jise bhoolne aye the abb fir se unki yaad aa rahi hai

yeh kaisa kudrat ka karishma hai
jab bhi unhe bhoolna chaha
had se jiyada yaad kiya hai

in baadlon ki mehrbaani jinhone fir se
hamare dukh mein hamara saath diya hai

dho daale hamare woh aanso
log kehte hain jinhone hamara chehra kharaab kiya hai

dukh is baat ka hai ,woh laut kar nahi aya
jiska humne tamaam-umr intzaar kiya hai

[/b]



aapne kya likha hai ye shayad aapko bhi pata nahi hai...aapne wo bat likh daali hai jise padkar kam se kam main to ye hi kahoonga ki aapne apne dil ko nikalkar rakh diya hai, kabile tarif...kya kahoon...dua karoonga aapki koshish rang laye..aamin!
Logged
Pages: 1 ... 8 9 10 11 [12] 13 14 15 16 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:10:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer