Barsaat ke badal

by nikki on July 02, 2005, 05:10:14 PM
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 30
Print
Author  (Read 20437 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #315 on: June 07, 2006, 03:21:30 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says.......


Gr8 Composition Nikki Ji & Gr8 again Janasheen Bhai!!!

Ye baarish bhi ajeeb khel dikha jaati hai,
Kisi ke ashqon ko apni boondon me mila jati hai......


Shukriya Guru Bhai,..

Barish Bhi Manaati Hai Matam Milke Mere Saath,..
Jab Aansoon Kam Pard Jaaye To Aankhon Mein Miljaati Hai,..
Kabhi Banke Aati Hai Ye Barish Kabhi Shabnam Bankar Dil Ko Choo Jaati Hai,..

_________________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
barsaat by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badal To Ghirr Ke Aaye The Barsaat Reh Gayi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
kapDe badal badal kar by zidd in Ghazals « 1 2  All »
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #316 on: June 07, 2006, 03:25:22 PM »
Quote from: "nikki"
thanx ..aapne to kamaal ka likha hai Jaanasheen ji...

mere samajhne pe na jao
jo dekha wahi samjha hai
tum mera dil dukhate ho ghadi-2
yeh kya khilona hai


Shukriya Nikki Ji,..

Jab Dukha Dil Apna To Kehte Ho Ke Ye Khilona Nahi,..
Jab Torda To Kya Tumne Samjha Ke Ye Kaanch Ka Bana Hai,...
Waise To Dard Dil Ka Kis Ko Maloom Hota Hai,..
Phir Ye Adat Poorani Hai Logon Ki, Ke Sab Se Haal-e-Dil Poochte Hain,..

______________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #317 on: June 07, 2006, 03:28:52 PM »
The Style Guru Says........


Exciting stuff Bro.......

Arz Hai,

Mujhe baarishon ki zaroorat nahi ashqon ke lihaaz se,
K kisi ko gham me shamil karna nahi hai mere andaaz me,
Maana unki yaad me beintehan bahe hain ashq,
Jab ye khatm honge-Tab Lahu bahega meri aankh se.......
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #318 on: June 07, 2006, 03:35:47 PM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says........


Exciting stuff Bro.......

Arz Hai,

Mujhe baarishon ki zaroorat nahi ashqon ke lihaaz se,
K kisi ko gham me shamil karna nahi hai mere andaaz me,
Maana unki yaad me beintehan bahe hain ashq,
Jab ye khatm honge-Tab Lahu bahega meri aankh se.......


Shukriya Bhai,...

Tujhe Is Taraah Se Yaad Karne Lage Hain,..
Lahoo Banke Aansoon Barasne Lage Hain,..
Khushi Ke Liye Hum Ab Tarasne Lage Hain,..
Lahoo Banke Aansoon Barasne Lage Hain,..
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #319 on: June 07, 2006, 03:49:48 PM »
The Style Guru Says.......


Hamari Khush naseebi Bhai!!!
Aapki nazm ko kuch apne haalaat-e-zindagi ke pehlu se rubaru kar rahe hain.
I hope u wont mind that


Arz Hai,

Tujhe is tarah yaad karne lage hain
Lahoo banke aansu barasne lage hain,

Na ab koi shab hai na seher hai meri,
Mere gham ab mujh hi me sisakne lage hain,

Main zaat ka wafa-shaar hoon isme mera kya dosh,
Par ab meri zindagi ke kadam behekne lage hain,

Main sun sakta hoon meri maut ki aahaten,
meri zindagi ke pal ab ghatne lage hain,

Tujhe is tarah se yaad karne lage hain,
Lahoo banke aansu barasne lage hain....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #320 on: June 08, 2006, 09:05:23 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says.......


Hamari Khush naseebi Bhai!!!
Aapki nazm ko kuch apne haalaat-e-zindagi ke pehlu se rubaru kar rahe hain.
I hope you wont mind that


Arz Hai,

Tujhe is tarah yaad karne lage hain
Lahoo banke aansu barasne lage hain,

Na ab koi shab hai na seher hai meri,
Mere gham ab mujh hi me sisakne lage hain,

Main zaat ka wafa-shaar hoon isme mera kya dosh,
Par ab meri zindagi ke kadam behekne lage hain,

Main sun sakta hoon meri maut ki aahaten,
meri zindagi ke pal ab ghatne lage hain,

Tujhe is tarah se yaad karne lage hain,
Lahoo banke aansu barasne lage hain....


Bahoot Khoob Bhai Nice One...

Tujhe Is Taraf Se Yaad Karne Lage Hain,..
Lahoo Banke Aansoon Barasne Lage Hain,..

Nafraton Se Dekhte Hain Sab Mujhe Yahan,..
Mohabbat Paane Ke Liye Hum Tarasne Lage Hain,..

Kehte The Jo Humsafar Mujhe Jaanasheen,.
Aaj Wohi Mujhse Daman Bachaane Lage Hain,..

Sab Dikhawe Ke Aansoon Bahaa Rahe Hain Yahan,..
Dekh Kar Haal Apna Sab Muskuraane Lage Hain,..

Jise Manaa Tha Main Apna Humnawaaz Kabhi,..
Aaj Wohi Mere Nishaan Mitaane Lage Hain,..

Kis Ko Sunaaon Main Apne Dil Ka Haal Jaanasheen,...
Sab Milkar Dil Ko Mere Jalaane Lage Hain,..

Kabhi Nata Tha Apna Roshan Sitaaron Se,..
Aaj Khud Hum Apni Khaakh Udaane Lage Hain,..

Lo Khatam Ho Gaya Apna Bhi Safar Zindagi Ka Yahan,..
Meri Mayyat Ko Ab Sab Uthaane Lage Hain,..

___________________-Azeem-________________
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #321 on: June 08, 2006, 09:07:20 AM »
Bhai Tum To Guru Ho Tumhare Aage Apne Nazm Ki Haisiyat Kya Hai,..
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #322 on: June 08, 2006, 09:39:35 AM »
The Style Guru Says.......


Bhai, Pls aisa mat bol. U r a genuine writer & I love 2 read ur compositions.
Its my pleasure that i got a chance 2 write with u!!
Carry On bro...


Arz Hai,

Tujhe is tarah se yaad karne lage hain,
Lahoo ban ke aansu barasne lage hain,

Wo din bhi kya din they jab hum saath the,
Aaj ek jhalak ko teri tarasne lage hain,

Ek khwab sa tha aankhon me aashiyana banane ka,
Ab mere khwab bhi dam todne lage hain,

Ab mere gham bhi sisakte hain mujhme,
Ab to mere zakhm bhi mehekne lage hain,

Wo jo kabhi mere raqeeb hua karte they,
Aaj wo bhi daaman bacha ke guzarne lage hain,

Tujhe is tarah se yaad karne lage hain,
Lahoo ban ke aansu barasne lage hain....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #323 on: June 08, 2006, 10:42:08 AM »
Waah Guru Bahoot Khoob,..Sach Bahoot Acha Likha Hai Tumne,..
Tumhari Wajah Se Main Kuch Seekh Raha Hoon,..
Aise Hi Likhte Raho Bhai,...

Tujhe Is Tarah Se Yaad Karne Lage Hain,.
Lahoo Banke Aansoon Barasne Lage Hain,..

Pehle To Khil Jaati Thi Kaliaan Apne Bahaar Ki,...
Ab To Gul Bhi Mere Haal Par Rone Lage Hain,..

Tu To Khush Hain Bahon Mein Apne Mehboob Ki,..
Hum To Tere Saath Ke Liye Har Pal Tarapne Lage Hain,...

Kabhi Sajti Thi Mehfilein Hamare Aane Se "Jaanasheen"
Ab To Ek Roshni Ke Liye Bhi Hum Tarasne Lage Hain,..

Tu Kya Jaane Kya Sitam Hua Mujhpar Zamaane Ka,..
Sab Mere Naam Ke Saath Meri Hasti Mitaane Lage Hain,..

Phir Bhi Khush Hoon Main Sehkar Itne Ghamon Ko,..
Jisne Dhaya Sitam Mujhpar Wo Sab Pachtaane Lage Hain,..

Mile Hain Itne Gham Mujhe Zindagi Mein Ye Teri Inayatein Hain,..
Behte The Aansoon Pehle Ab To Gham Bhi Muskuraane Lage Hain,..

_________________________-Azeem-____________________
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #324 on: June 08, 2006, 11:17:19 AM »
The Style Guru Says..........


Bhai Hausla afzai ka shukriya!!!

Sach me kamaal likha hai yaar
Logged
nikki
Guest
«Reply #325 on: June 08, 2006, 11:23:58 AM »
superbbbb Style_guru ji n Jaanasheen ji..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #326 on: June 08, 2006, 11:24:18 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says..........


Bhai Hausla afzai ka shukriya!!!

Sach me kamaal likha hai yaar

Shukriya Bhai,...

De Kar Gham Hume Wo Jaa Rahe Hain,..
Meri Lehad Par Mehfilein Sajaa Rahe Hain,..
Khuda Ki Karni Kaisi Hai Dekh "Jaanasheen"
Jisne Diya Tha Gham Kisi Ko Wo Ab Khushian Paa Rahe Hain,..

_________________________________________-Jaanasheen-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #327 on: June 08, 2006, 11:27:59 AM »
Quote from: "nikki"
superbbbb Style_guru ji n Jaanasheen ji..


Shukriya Nikki Sis,..

Barsaat Bhi Mere Haal Par Mataam Manaa Rahi Hai,..
Ro Kar Bheego Diya Anchal Sabka Ab Zameen Bhigaa Rahi Hai,..

_______________________________________-Jaanasheen-
Logged
Style_guru
Guest
«Reply #328 on: June 08, 2006, 11:38:26 AM »
The Style Guru Says......


Thanks Nikki Ji & gr8 again Janasheen Bhai!!


Arz Hai,

De kar gham hume wo ja rahe hain,
Ujaad kar hamari khushiyan wo muskura rahe hain,

Ye meri surkh aankhon ki Laali kehti hai,
Hum aaj bhi unhe dil se bula rahe hain,

Ye mari bad-kismati hi thi jo unse ishq hua,
Hum aaj apne haathon apni laash dafna rahe hain........
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #329 on: June 08, 2006, 11:46:58 AM »
Quote from: "Style_guru"
The Style Guru Says......


Thanks Nikki Ji & gr8 again Janasheen Bhai!!


Arz Hai,

De kar gham hume wo ja rahe hain,
Ujaad kar hamari khushiyan wo muskura rahe hain,

Ye meri surkh aankhon ki Laali kehti hai,
Hum aaj bhi unhe dil se bula rahe hain,

Ye mari bad-kismati hi thi jo unse ishq hua,
Hum aaj apne haathon apni laash dafna rahe hain........


Bahoot Khoob Bhai,...

Dekar Gham Ka Tohfa Hume Wo Muskuraa Rahe Hain,..
Hamari Yaadon Ko Dil Se Bhoolaa Rahe Hain,..

Khuda Unki Basti Ko Abaad Rakhe "Jaanasheen"
Wo Jo Mera Ghar Be-Dardi Se Jalaa Rahe Hain,..

Kabhi Jo Likha Tha Humne Naam Unka Darakhton Pe,..
Aaj Be-Rehmi Se Wo Sab Nishaan Mitaa Rahe Hain,..

Honge Wo Itne Bedard Kabhi Socha Na Tha Main,...
Wo Jo Khakh Meri Pairon Se Apne Udaa Rahe Hain,..

Nahi Aa Sake Wo Mayyat Par Bhi Meri,..
Jo Jab Ke Duniya Se Hum Jaa Rahe Hain,..

Kaisi Bedard Thi Wo Zalim Jis Se Maine Dil Lagaya,..
Aaj Wo Mera Charaag Kurbat Ka Bujhaa Rahe Hain,..

____________________-Azeem-__________________
Logged
Pages: 1 ... 18 19 20 21 [22] 23 24 25 26 ... 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 10:31:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer