Barsaat ke badal

by nikki on July 02, 2005, 05:10:14 PM
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30
Print
Author  (Read 20260 times)
nikki
Guest
«Reply #375 on: July 02, 2006, 09:06:08 AM »
thank u so much Majid, Jaanasheen bro, Vicky n JHL.....aap sabne bhi bahut hi acha likha hai...too good...keep writing..

abb to baadal bhi barasne ko taiyaar nahi hain
jab se chala gaya mera yaar kahin hai

uski yaad mein aanso bhi to baha nahi sakti
vaada jo kar baithi hun hass ke yaad karne ka

abb to tanhaiyon mein bhi khud ko akela nahi paati
jab bhi usse sochti hun..uski yaadein mere paas hain chali aati

na jaane kyon woh mujhse rootha hai
na koi khabar hai uski, na hi pata thikana
kyon mujhse itna pyar kiya karta tha
jab nahi tha nibhana..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
barsaat by mrkotians in Shayri for Khumar -e- Ishq
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Badal To Ghirr Ke Aaye The Barsaat Reh Gayi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
kapDe badal badal kar by zidd in Ghazals « 1 2  All »
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #376 on: July 02, 2006, 11:23:43 AM »
Very nice Nikki ...
Really fantastic one ...
Keep it up ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #377 on: July 02, 2006, 11:26:55 AM »
thank u so much JHL...aapne kuch nahi likha? is everything ok at ur end?

yaadon ke saaye ghere hain mujhko
din ke ujale mein bhi andhera sa chaya rehta hai
mujhe bhool nahi payega ek pal ke liye
jo kehta tha mujhse
abb to yun lagta hai..kabhi yaad hi nahi karta hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #378 on: July 02, 2006, 11:31:34 AM »
Ya its everything ok here ...
Nothing to worry ...

Arz kiya hai ...

Jo dard bhulane mein apna maahir hai,
Wo hi maikhane mein baithkar aansu apne pita hai,
Na khona apni muskaan ko apne hotho se,
Kyunki koi usi ke sahare apni poori zindagi jeeta hai ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #379 on: July 02, 2006, 11:35:31 AM »
too good JHL

uski yaad mein muskuraon kaise
usse dekhe bina ek pal kaatna mushqil hai
poori zindagi akele bitaon kaise

woh to maikhane mein aanson peeta hai
magar uski yaad mein koi hai jo har pal mar-2 ke jeeta hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #380 on: July 02, 2006, 11:39:00 AM »
Jeene de use bhi mar mar ke ye zindagi,
Judaai ke dard se use bhi waakif hone de,
Jee le kaise bhi ye zindagi akele tu,
Muskurane mein use bhi taklif hone de ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #381 on: July 02, 2006, 11:53:14 AM »
pyar mein hum khud to gum seh lenge
magar usse badua kaise dein
kabhi chaha tha jisse khuda ki tarah
abb usse bura bhala kaise kahein
woh khush rahe main uske liye ro lungi
uski duniya bassi rahe
main khud apne dil mein udasiya piro lungi
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #382 on: July 02, 2006, 11:56:38 AM »
Aapke pyaar ki hum kadr karte hai,
Gum to hai par hum sabr karte hai ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #383 on: July 02, 2006, 12:05:26 PM »
jaane kaise pyar mein aapne sabar karna seekh liya hai
dil mein dard chupa kar muskurana seekh liya hai

yeh ada humein bhi sikha do
hum bhi aankhon mein aanson chupa liya karein
koi aisi tarkeeb bata do..
mera dil khoon ke aanson roye
aur mere hoothon pe hassi muskuraye
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #384 on: July 02, 2006, 12:08:18 PM »
Good one Nikki ...
Keep it up ...
Logged
nikki
Guest
«Reply #385 on: July 02, 2006, 12:12:54 PM »
thank u Jhl..Thanx for the nice company..now i m leaving..u take care

kabhi dil na haarna dosto
dard bhi aaye to ghabrana nahi
jab khushi nahi tikti kissi ke daaman mein
to bhala gum kaise tikk payega
agar hai andhera aaj raahon mein
to yaqenan kal ujala bhi ayega
Logged
ranjana
Guest
«Reply #386 on: July 02, 2006, 04:26:13 PM »
bahut khub Nikki jaan and JHL........VERY NICE
Logged
nikki
Guest
«Reply #387 on: July 04, 2006, 05:01:59 PM »
thanks a lot di ..aapne kuch nahi likha?
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #388 on: July 05, 2006, 09:24:02 AM »
bohot ache nikki and JHL

bhram me jeena chod diya  hai humne,
ke gum ke andhero se aab wasta hai mera,
koi umeed nahin, koi aas nahin dil me aab,
bin manzil ka aab rasta hai mera.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #389 on: July 10, 2006, 05:06:55 PM »
Dil mein jo khushi hai use zaahir kar de,
Judaai ke dard se apne aapko maahir kar de,
Use bhi judaai ka dard hoga tujhe jeete dekhkar,
Pyaas uski bujh jayegi tujhe apne hi aansu peete dekhkar ...
Logged
Pages: 1 ... 22 23 24 25 [26] 27 28 29 30
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:50:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer