<>*Bas chal diya*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 07, 2010, 02:17:12 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1202 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Bas chal diya*<>

Jate hue mud mud k dekhte rahe hum
Wo fer k muh ko palat kar bas chal diya

Use jata dekh kar rok bhi na sake hum
Wo zakhm kuch aisa dekar bas chal diya

Ghut kar reh gai awaaz hamare gale me hi
Wo  humpar ilzam laga kar bas chal diya

Usse jine ki khwaish bhi na kar sake hum
Jo hume jeete jee maut dekar bas chal diya......!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pathar bana diya mujhe rone nahin diya ... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Chal Diya by Roja in Shayri-E-Dard
{Wo Chal Diya Hoga} by angel4u in Shayri-E-Dard
chal by ANAMAKA777 in Share:Funny Poetry
<>*Chal diya*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayeri for Dard -e- Bewafai
shah_a
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2010, 06:04:12 PM »
wah
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: October 07, 2010, 07:27:08 PM »



Kasak ji ab kya kahen... ehsaas to khubsoorat hai bahut aapke lekin... jo ehsaas jaate wakt hua hoga use, koshish ki hai k likh sakun....



Main munh pher kar chal to diya magar baat hi kuch aisi thi
apne aansu dikha kar tumhe tootata hua nahin dekh sakta tha,

ilzaam main tujh par kya lagata main to khud hi muzrim tha
bichhadne se pehle kaash ek baar tujhe seene se lagaya hota,

khwaahish to meri bhi thi saath jeene ki tumhaare “Kasak”
awaaj di hoti gar ek baar to aaj tera “Intezar”  laut aaya hota

Intezar
 
<>*Bas chal diya*<>

Jate hue mud mud k dekhte rahe hum
Wo fer k muh ko palat kar bas chal diya

Use jata dekh kar rok bhi na sake hum
Wo zakhm kuch aisa dekar bas chal diya

Ghut kar reh gai awaaz hamare gale me hi
Wo  humpar ilzam laga kar bas chal diya

Usse jine ki khwaish bhi na kar sake hum
Jo hume jeete jee maut dekar bas chal diya......!!!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 07, 2010, 07:32:47 PM »
hmmmm..... ek dum simple sa sweet sa ehsaas.. simple words , deep feelings..
just like "Kasak....Dil Ki".... bahut bahut khoobsurti se aapne saade shabdon me apne dil ke dard ko shabdon me utaara hai....

 Applause Applause Applause Applause Applause


chaaha bahut tha humne ki mudke dekhe tumhe hum,
kisi anjaane se darr ke kaaran khud ko rok liya,

laut ke aanaa chaahte the tumhaare paas us din hum,
par tumhaare baare me sochke khud ko rok liya,

mushkil to humein bhi hui thi dur jaane me tumse,
par tumhaare khushiyon ka sochke khud ko rok liya,

tumhaari khaamoshi ko bhi mehsoos kar lete hain hum,
jaanke bhi tumhaari haalat us din khud ko rok liya,

mumkin nahi hai hamaara milan ye jaante hain hum,
us anjaam me baare me sochke khud ko rok liya,

ye na kaho ki humne tumhe jeete ji maut diya hai,
humne to tumhaari zindagi ki khaatir khud ko rok liya...
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 07, 2010, 07:33:28 PM »
bahut bahut khoob likha hai aapne bhai... yunhi likhte rahiye... too good....!!!



Kasak ji ab kya kahen... ehsaas to khubsoorat hai bahut aapke lekin... jo ehsaas jaate wakt hua hoga use, koshish ki hai k likh sakun....



Main munh pher kar chal to diya magar baat hi kuch aisi thi
apne aansu dikha kar tumhe tootata hua nahin dekh sakta tha,

ilzaam main tujh par kya lagata main to khud hi muzrim tha
bichhadne se pehle kaash ek baar tujhe seene se lagaya hota,

khwaahish to meri bhi thi saath jeene ki tumhaare “Kasak”
awaaj di hoti gar ek baar to aaj tera “Intezar”  laut aaya hota

Intezar
 
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2010, 07:36:56 PM »
Kapil bhai aapne to humse bhi behtar likha hai... achha hai bahut... good keep writing sir ji... !

Intezar
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 07, 2010, 07:50:04 PM »
thanks a lot bro... par comparison mat karo.. tum apni jagah best ho aur main apni jagah... apna apna style hai bhai.... Usual Smile
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: October 07, 2010, 07:51:34 PM »
bhttttttttttttttttttttt hi pyara reply intezar ji..mazaa agaay padhke
 Applause Applause Applause Applause
kuch aapke jawab me humne bhi likha hai dekhiye zara

Nahin dikahye aansu tumne apne mujhe
mere dil se tumne apna dard chhupaya hota

Jane se pehle ek baar gar tumne mujhe kaha hota
Rok  leti tumko na maine tumhe fir jane diya hota

Jii leti main raahon me palkein bichaye karte tera *intezaar*
Gar ek baar tumne mujhe meri *kasak* kehke bulaya hota…
[/color]



Kasak ji ab kya kahen... ehsaas to khubsoorat hai bahut aapke lekin... jo ehsaas jaate wakt hua hoga use, koshish ki hai k likh sakun....



Main munh pher kar chal to diya magar baat hi kuch aisi thi
apne aansu dikha kar tumhe tootata hua nahin dekh sakta tha,

ilzaam main tujh par kya lagata main to khud hi muzrim tha
bichhadne se pehle kaash ek baar tujhe seene se lagaya hota,

khwaahish to meri bhi thi saath jeene ki tumhaare “Kasak”
awaaj di hoti gar ek baar to aaj tera “Intezar”  laut aaya hota

Intezar
 

Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2010, 08:08:23 PM »
Ji Shukriya Kasak ji, aap ne bahut khubsoorat likha hai,  aap ko padh kar raha nahin gaya aage likhne se...
ek nazar yahan bhi...

Tum reh gaye is kinaare aur main beech mazhdaar mein
Laut aata main tere liye gar ye dard baha na  le gaya hota,

Ab is judaai ke baad tu bhi hai tanha aur main bhi  jaan
Kaash ye andhera gham ka humaare beech na  aaya hota,

Sochta hu kyo nikla pal bhar ke liye bi teri aagosh se “Kasak”
achha hota ki tera “Intezar” tujhme hi kahin Samaayah hota… !

Intezar
bhttttttttttttttttttttt hi pyara reply intezar ji..mazaa agaay padhke
 Applause Applause Applause Applause
kuch aapke jawab me humne bhi likha hai dekhiye zara

Nahin dikahye aansu tumne apne mujhe
mere dil se tumne apna dard chhupaya hota

Jane se pehle ek baar gar tumne mujhe kaha hota
Rok  leti tumko na maine tumhe fir jane diya hota

Jii leti main raahon me palkein bichaye karte tera *intezaar*
Gar ek baar tumne mujhe meri *kasak* kehke bulaya hota…
[/color]


Logged
cara
Guest
«Reply #9 on: October 08, 2010, 06:55:00 AM »
WAH KYA BAAT HAI        KASAK....DIL KI JI....


CHALTE CHALTE BEECH RAHA MEIN ISTARAH MERA SAATH CHOD DIYA
JAANKAR BHI ANJAAN BANGAYE HAATH CHODKAR "BAS CHAL DIYA"..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:14:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer